" aur phir Anubhav sir ne mujhe Rani ki tarah Palkhi mein baitha ke puri Haweli ghumaiee, fir humne khana khaya aur last mein firse Palkhi mein bitha ke hume bahar tak chhoda gaya", Haseena Narrated entire incident of her date with Anubhav to Karishma while sitting in the canteen area of the school.
Karishma: Nice.
Haseena: kya nice? Itna pheeka ka sa reaction diya tune.
Karishma: Dekh ab Haseena, iss mood mein na iss se accha reaction tu mujhse expect mat kar.
Haseena: Oho! Kya hua hai tujhe? Sir Jealous nahi hue kya?
Karishma: huee.
Haseena: toh ye good news huee na! Kyu mu sada ke baithi hai?
Karishma: kyu ki ...unhe seriously laga ki mai kisi aur ke saath relationship mein hu aur ab unhe sirf isiliye ignore kar rahi hu kyu ki mujhe koi aur mil gaya hai.
Haseena: Are toh... obviously ye reaction expected hai, Jealous hai vo, tu kyu chid rahi hai.
Karishma: kyu ki mujhe hurt hua hai, I mean... I mean unhe kya laga hai ki Mai itni cheap hu ki like kisi aur ko Karu aur relationship mein kisi aur ke saath rahu?
Haseena: Karishma...tujhe pata hai ki unhone ne vo sab sirf ghusse mein, only out of possessiveness. Tu over react kar rahi hai.
Karishma: mai over react nahi kar rahi hu, unhone over react kiya hai aur ab na mujhe ispe koi behes nahi chahiye.
Karishma left from there.
Haseena: (pov) iss stupid se baat karne ka koi point nahi hai, kyu ki maddam jab ghusse mein hoti hai toh kisi ka nahi sunti, mujhe Anubhav sir se he baat karni hogi.
__________________________________
A
t afternoon, Anubhav was at Vishal's house.
Anubhav: bolega?
Vishal: kya bolu? Bata toh kya bolna hai mujhe?
Anubhav: yahi ki subha se itna ukhda ukhda kyu hai?
Vishal: kuch nahi hai Anu...bas... tabiyat kuch theekh nahi hai, thoda Aram karuga toh sab theekh ho jayega.
Anubhav: dekh Vishal ye bahane na tu mere samne toh bana he mat, tujhse acche se jaanta hu mai tujhe.
Vishal: Anu mai...
Suddenly Anubhav's phone started ringing. It was Haseena.
Anubhav picked it up and it eventually went on speaker.
Anubhav: Haseena abhi nahi mai thode der baad call karta hu.
Haseena: suniye toh.
Anubhav: kaha na baba, baad mein baat karta hu n.
Haseena: mujhe Karishma ke baremein baat karni hai.
Vishal looked at the phone while listening attentively.
Anubhav: kya bat hai?
Haseena: vo...nahi...pehele ap promise karo ap ghussa nahi karoge.
Anubhav: ab kya kar diya tum dono ne?
Haseena: pehele promise karo n!
Anubhav: accha baba promise. Bolo ab.
Haseena: vo, Karishma na Vishal sir ko leke thoda upset thi, kyu ki Vishal sir humesha usse ignore karte rehete hai na toh maine usse ek plan bataya jis se hume ye pata chale ki Vishal sir Karishma keliye kuch feel karte hai ya nahi.
Anubhav: kya?
Anubhav looked at Vishal.
Haseena: ap ghussa mat karna...
Anubhav: aage bolo.
Haseena: toh maine usse kaha ki tu Vishal sir ko jealous feel karane keliye imaginary relationship mein aa ja aur unke samne pretend kar.
Vishal now started getting things and Anubhav too was getting some hints.
Anubhav: toh?
Haseena: toh usne Kiya aur uska kehena hai ki, sir jealous huee bhi the.
Anubhav looked at Vishal and he looked at other side.
Anubhav: toh vo Jealous hua tha?
Haseena: haa... matalab Karishma ne toh yahi bola hai aur vo jhut toh bolegi nahi.
Phir... Karishma ko sir ne bas ghusse mein itna keh diya ki usse vaise bhi ab sir ke ignore karne se farak nahi padega kyu ki uske life mein koi aur aa gaya hai, toh Karishma ko lag raha hai ki sir ne usse cheap samajh liya.Both: kya?
Haseena went shocked.
Haseena:Vishal sir?
Vishal: tum dono pagal ho kya?
Haseena: humne toh bas yun he...
Vishal: Haseena tum...tum phone rakho, mai abhi tumhe datna nahi chahta.
Haseena: sir vo mai...
Anubhav: Haseena... please abhi rakho hum baad mein baat karte hai n.
Haseena : Ok.
The call ended.
Vishal: teri behen ye sochti hai mere baremein? I mean usko Aisa lagta hai ki meri thinking itni cheap hai?
Anubhav: kya hai yaar? Relax! Tu aur Taran mujhe Haseena ko leke kya samjhate rehete ho? Yahi na ki mai mature hu aur vo teenager toh obviously same goes with you, Karishma bhi teenager hai.
Vishal: Teri aur Haseena ki baat alag hai yaar.
Anubhav: kaise alag hai.
Vishal: tum dono...ek dusre se pyaar karte ho aur ek dusre ke saath relationship ho aur aage shadi bhi karne wale ho.
Anubhav: par Haseena ke baaton se toh pata chal raha tha ki tu bhi Karishma se...
Vishal: aisa kuch nahi hai Anu.
Anubhav: aisa nahi hai?
Vishal: nahi.
Anubhav: are you sure?
Vishal: absolutely sure.
Anubhav: toh theekh hai na, itna chid kyu Raha hai? Dekh vaise bhi itne time se meri behen ka tujh pe crush hai, tu of course irritat ho jata hai par kabhi tune uss se aise ladaiee nahi ki, toh ab bhi mat kar na, jaise mai usse haar baar samjha deta hu vaise he iss baar bhi samjha duga.
Vishal: Baat yaha irritate hone ki nahi hai Anu, baat ye hai ki...usse ye dikha ki mai naraz ho gaya par usse ye nahi dikha ki meri narazgi ke peeche uske liye chinta thi.
Anubhav: ek taraf bolta hai ki tujhe uske liye kuch feel nahi hota aur dusri taraf bolta hai ki tujhe uski chinta thi?
Vishal: haa toh Teri behen hai aur meri student hai, obviously I will be concerned.
Anubhav: toh tune mujhe aa ke kyu nahi bataya?
Vishal remained silent.
Anubhav went to him and kept his hand on his shoulder.
Anubhav: Vishal...are you double sure ki tujhe meri Behen keliye kuch feel nahi hota?
Vishal looked at Anubhav for a minute and then took a deep breath.
Vishal: vo sab mujhe nahi pata Anu, mujhe bas itna pata hai ki Karishma ne jo kiya na, vo sahi nahin kiya.
Vishal left from there.
Anubhav: yaar...ye dono hum dono se bhi gaye beete hai!
__________________________________
Precap: Virishma have a talk
__________________________________