Rajeev ki shart

66 3 0
                                    

Kavya made Adhi sit on her bed and sat beside him.... he intervined his fingers with hers and looked at her.." jo hogaya hum usey badal nahi sakte jo aney wala hai usko zaroor theek kar sakte hai" said kavya.. "ek sach batana hai tumko" said Adhi.. kavya nodd her head asking him to proceed "tumhari behen ke maut ke zimmedaar mere hi ghar wale hai, aur isiliye tumhare peeche pade hai ke tum unka barso pehle wala raaz is duniya ke samne na lao.. Omi bhaiya ne hume kayi baar chetavni di thi tumse door rehne ke liye, hume alag krne ke liye bhi bhaiya ne hi wo poster lagwae the.." said Adhi in between his short anxious breath.. "Hume ssab pata hai Adhi" said Kavya looking at Adhi surprising him, "Tumko pata hai?" Asked Adhi in deibelief "Omi bhaiya ne khud bataya tha jab hume kidnap kiya tha" said Kavya.."Tum sab jaante hue bhi humse?" Asked Adhi with shock expressions on his face.."Kyu ki tumhari galti kabhi thi hi nahi" said her caressing his shoulder.."Kavya hum tumse bahut pyaar karte hai" said Adhiraj with tears rolling his eyes.. "Hum jaante hai, aur hum bhi tumse bahut pyaar karte hai.. lekin abhi hume ye samjhna hai ke kispe bharosa krna hai" said Kavya bringing Adhi to reality..
Rajeev knocked on kavya's door startling them.. "me kuch kehna chahta hoon" said Rajeev.. "boliye papa" said kavya getting up from bed giving him place to sit.. "Adhiraj beta abhi Kuldeep tumhare baarey me bata raha tha.. bahut ache ho tum, bas tumhare halat sahi nahi hai" said Rajeev keeping his hand on Adhi's shoulder.. Adhi looked at Rajeev with sadness in his eyes.."Ek waqt mera bhi aisa hi tha.. me bhi intelligence officer tha under cover cop.. lekin meri posting aur ye jhooti pehchaan sirf duniya ke liye hai.. kabhi kabhi mujhe bas ek message ata hai ke kisi neta kisi officer ke barey me pata lagwane ke liye aur me kardeta hoon.." said Rajeev.. " meh maanta hoon ke tum ko intelligence me shamil krne ka tareeka galat tha.. tum yaahan apni marzi se nahin ana chahte the lekin jab agaye ho to desh se gaddari nahi karsakte.. " said Rajeev.. "Me nahi darta apni duty nibhane se sir, lekin uske badle agar kavya ya kisi ki jaan khatre me ati hai to..." said Adhi.. " kuch nahi hoga Kavya ko.. jaise tumhari training time pe hum ne khayal rakha tha waise hi vaada karte hai, hum usko protect krenge.. lekin tumko jo task diya jaega wo poora krna padega" said Kuldeep.. "Kya task?" Asked Adhi.. "tumhare baap ko sab pata chal chuka hai, unko marna padega lekin tumhare hatho" said kuldeep.. "kyaa?" Asked Adhi in disbelief.. kavya came near Adhi for support.." wo Adhi ke papa hai" she protested.. "Wo gaddar hai" said Kuldeep.. "mere hi hatho kyu?" Asked Adhi.. "tumko is force me lane ki wajah aur mission hi yehi tha, pehle uske saare galat kaam ka pata lagana aur phr usko thikaane lagana" said kuldeep "haan to insaaf dilwaiye jail bhijwaiye, humare hatho khoon kyu?" Asked Adhi.."Kyu ke jail se wo nikal ayega" said Kuldeep.."Aap chahe to hume mardijie gaddar kehkar lekin hum apne baap ko nahi marenge" said Adhi showing his disagreement.."Adhi task to tumhe krna pdega varna hume dusra rasta apna na padega" said Kuldeep.." kya karenge aap? Maardenge na hume, maardijie" said Adhi.. "tumahre har faisle ka asar kavya pe hoga" said Kuldeep in a stern voice.. making Adhi and Rajeev worried.."Sorry dost lekin tum jaante ho intelligence officer kisi ka sagga nahi ho sakta" said Kuldeep looking at a tensed Rajeev "Sir, apke bete ki maut kaise hui thi?" Asked Adhi getting up from his place all frustated with kuldeeps conversation.. Kuldeep took a deep breath "Humne apne hathon se maara tha usey kyu ke wo army me rehkar desh se gaddari kar raha tha" said kuldeep.."Isliye keh rahe hai, apne kaam se gaddari na karo, jo task mila hai poora karo warna humare hath kaanpenge nahi" said kuldeep.."Aaj raat ka waqt de rahe hai tumko, kavya ya Giriraj sochlena" said Kuldeep and left leaving a baffled and hurt Adhiraj behind..
Adhi sat numb on floor and kavya trying to pacify him..

"Kya matlab hai apka? Itna sab hoga aur aap kuch nahi karenge?" Asked Anjali "Anjali hume kuch samjh nahi aa raha" said Rajeev with a tensed face.."Kriye na phir se jo aap ne kuch saal pehle kiya tha humare liye humare bacho ke liye" said Anjali.."Hum isi baat se darte the isliye kabhi apni badi beti ka insaaf mangne nahi gaye chahte to Giriraj ko sazaa de sakte the lekin dobara mara hua officer dhruv wapas nahi aa sakta tha sab ke samne" said Rajeev.."Kya aap Officer Dhruv hai? Wo jisko terrorist attack me mara hua bataya tha?" Asked a confused Kavya.."Haan beta, hum us attack se bach gaye the jab wapas laute to Anjali bahut darr gayi thi..Navya 8 saal ki thi  tum bhi paida hone wali thi.. Isliye isne hume kasam thi ke hum wapas na laut kar jayien.. Kuldeep humare sath kaam karta tha, wo hume dhoondte hue ghar tak pahunch chuka tha.. meine ussey bahut minnate ki thi ki mujhe mara hua maanlene de, tab jake wo maana aur ek nayi pehchaan ke sath ek nayi govt job dilwayi is vaade ke sath ke hum uske khabri banke rahenge.. us din ke baad wo aaj humse mila hai.. ab tak sirf message aya karta tha khabar lene ke liye.. aur aaj hume samne se dhamki de kar chala gaya" said Rajeev.. Kavya sat beside him.. "Papa hum Adhi se bahut pyar karte hai, aur wo humse, lekin humari wajah se wo apne papa ko kaise?" Asked a confused kavya.."Hum jaante hai beta, apne baap ko kaise koi maarsakta hai chahe wo kitna hi bura insaan kyu na ho" said Rajeev.. "Lekin iska ye matlab nahi hai ke hum tumhare uper koi bhi khatra aney denge.." said Rajeev.."Sir, humare jeete jee hum kavya ko kuch nahi hone denge" said Adhi "apne baap ko maroge?" Asked Rajeev " Nahi maar sakte.. na hum kuldeep sir jaise hai jo apne hatho apno ka khoon karsake aur na hi itne kamzor hai ke kavya ko wo target bnae aur hum chup rahe" said Adhi.. "tum agar is force ki takat jante ho to ye bhi smjhte hoge, ke tum task nhi karpae to wo kavya ko nuksaan pahunchaenge, tum bhago ge to bhi aur tum peeche hatoge to bhi, lekin wo tumhara peecha nahi chodenge" said Rajeev.. "Aaj mera sawal officer Dhruv se hai, aap agar meri jagah hotey to kya karte" asked Adhi...Rajeev took a pause and looked at Kavya.."Barso pehle force chodne ki wajah kavya hi thi.. lekin aaj me tumko bhaagne ya chupne ki salah nahi doonga kyu ke waqai me tumhare Papa gaddar hai, wo meri beti ke khatil hai.. isliye mera jawaab shayad tumhare hit me nahi hai, ek beti meine uski wajah se khoyi hai dusri ko uske bete ki wajah se nahi kho sakta" said Rajeev..
"Papa aap relax hojaiye hum koi solution dhoondte hai" said Kavya trying to calm Rajeev down.."Nahi kavya faisla hona hai.. agar tum humari beti ke liye apne gaddar baap ko sazaa nahi dilwasakte to hum apni beti ko tunhare liye kurbaan nahi hone denge" said Rajeev..
"Hum unki saza ke khilaaf nahi hai.. lekin hum unko maar nahi sakte, kanoon bhi to apna kaam karsakta hai.. hum sare saboot pesh krenge ke wo jail se bach naa sake.."said Adhi.. " is corrupt desh ki wajah se hi humara dpt bana hai Adhiraj" said Rajeev.."Theeke phr hum challenge lete hai.. agar hum Giriraj Pradhan ko kanooni saza na dil wa sake to unko saza. E maut apne hatho se denge" said Adhi.. "Theeke aur agar tumhari wajah se meri beti per kharoch bhi ayi to tum hamari beti se hamesha hamesha ke liye door chale jaoge" said Rajeev.. "Papa plz aise na boliye hum Adhi alag nahi ho sakte" pleaded kavya.. "Humne apna faisla suna diya Kavya, dekhte hai tumlog ki kismat me kya likha hai" said Rajeev and stood in between Adhi and kavya.."Jao Adhiraj, tumhara aur kavya ka future ab tumhare uper depend karta hai" said Rajeev.. Adhi noded and peeped to have a glance at Kavya who was looking at him with teary eyes.. Adhi left from there without saying anything while kavya tried to run behind him but Rajeev stopped her and closed their main door.. "Kavya tumko hamari kasam hai.. tum ussey nahi milogi"said Rajeev and went in his bedroom..Kavya fell on the floor helpless.. as she was scared of losing Adhi either way.. and she cant go and help him either because of Rajeev's kasam..

Adya - Ek kahaniWhere stories live. Discover now