Part 10

1.4K 91 8
                                    

Guys the above video music suits for this part, so I decided to add it because I loveeeee this song.

Richa's House!!

After dinner Richa and Gauri were having some friendly talks in Gaur's room.

R: Gauri, ek baat puchu, bura to nahi mane gi?

G: Pagal hai kya, puch.

R: T..tu mera matlab hai kya tu Omkaraji se pyaar karti hai?

G shocked: Kaa?

R: Haan, kya tu un se pyaar karti hai?

G: Pta nahi... (lost) sayad nahi.

R: To phir tujhe itni takleef kyun hoti hai jab bhi unki shaadi ki baat hoti hai?

G confused: pata nahi... sayad iss liye ke woh humare pati hein aur har patni ko dukh hota hai agar uske pati kisi aur se saadi kar rahe hon.

R: matlab tujhe takleef sirf iss liye hoti hai kyun ke aik patni ko honi chahiye, aur kuch nahi?

G: Haan, sayad, aur humein iss bare mein sochna bhi nahi hai, Omkaraji ne hum se dosti ki hai aur hum ee dosti poore mann se nibhayen ge aur kuch nahi.

R: Pakka?

G: Haan aur tu bhi iss bare mein na soch, aur ja so ja varna phir Mukes hum se kahe ga humari biwi ki jaan hi nahi chodti.

R: acha, aur tu bhi so ja.

Richa leaves and Gauri lays on her bed to sleep but was not able to. Richa's questions were playing in her head.

G thinks: Nahi, hum un se pyaar nahi kar sakte, aur humein iss bare mein sochna bhi nahi chahiye. Woh saadi kar rahe hein aur hum sankarji se yehi kahen ge ke wo hamesa khus rahen... Aur iss pyaar vyaar ke chakar mein parh ke humein apni jindagi aur muskil nahi karni. Richa to pagal hai. Gauri, so ja ab subah kaam pe bhi jana hai aur angreji bhi to seekhni hai.

She forces herself to sleep. After about an hour of thinking, she finally went to sleep.

Orphanage!!

Next morning, Om comes to meet Ridhima and tell her about his and Gauri's marriage. On the way to Ridhima's cabin, he sees Gauri sitting on bench in the garden alone with papers around her and she is busy talking to herself. Om walks towards her and quietly sits beside her. She was very busy with her work that she didn't notice him.

G talking to herself: Kaisi ajeeb juban hai ye angreji, ek hi sabd ke itne sare matlab, isse achi to humari hindi hi hai. Hey sankarji, humari madad karo varna hum pagal ho jayenge.

O smiles: ahmm, shankarji ka to pata nahi lekin mein kuch madad karon?

G jerks and looks at Om: Aap? Apne to humein dara hi diya.

O: Kyun? Itna bhi darawna nahi dikhta hoon.

G speaks in a flow: nahi aisi baat nahi hai, ap to bohut ache dikhte hain.

O teasingly: Oh to tumhe main acha lagta hoon?

G realizing: na..nahi humara woh matlab nahi tha.

O: To tumhara matlab hai main bura dikhta hoon?

G: Hum ne aisa kab kaha.

O: To?

G nervous: To...to yeh ke humein parhna hai, plij humein tang mat kijiye.

O: Haan... tumhe koi madad chahiye?

G: Nahi, koi baat nahi hum kar len ge.

O: Dekho Gauri, hum dost hain aur dost ek doosre ki madad karte hain, tum chaho to main tumhe English seekhne mein madad kar sakta hoon.

Rikara- Ishq, Junoon, DeewanagiWhere stories live. Discover now