Richa's house!!
All were having breakfast when Richa broke the silence.
R: Gauri, Aunty, main aur Mukesh aaj kuch dino ke liye bahar ja rahe hain...
G: Ka aur kitne dino ke liye?
R: Bas do teen din ke liye, woh darasal Mukesh ki bua kuch theek nahi hain to unhein dekhne jana hai.
S: Kya hua unko?
M: Aunty bas stress vgera leti hain.
R: Lekin Gauri tu akele Aunty ke saath reh legi na?
G: Haan haan tu chinta na kar, aur waise bui hum soch rahe the ke ab Maa ko leke koi chota sa ghar ya flat le loon, aur kitne din tujh pe aur Mukesjiju pe bojh ban kar rahenge.
M: Tum meri behen jaisi ho to aap log jab tak chahein yahan reh sakte hain, aur waise bhi Gauri ke aane ke baad ghar ki ronak aur badh gayi hai.
G smiles: hum to hain hi aise...
S cutting her: Beta lekin Gauri theek keh rahi hai, iss tarah acha thodi na lagta hai ke main apni beti ke sasural baithi rahoon, Richa meri beti se kam thodi na hai.
M: Theek hai, jaisa aap ko sahi lage.
R: Lekin Gauri humare aane tak to ruk ja, ghar ka khayal bhi rakh legi to mujhe koi chinta nahi hogi.
G: Theek hai baba... Lekin tu jaldi aana.
R: Haan pakka.
They smile and hug, bidding bye. After they left, Gauri and Shilpa started doing some house chores.
G: Maa tu araam kar, hum kar lenge na.
Shilpa was cleaning the mess in the lounge when she felt weak and dizzy, but she ignored it. While, Gauri was busy in the kitchen.
S: Nahi, bas ho gaya.
G from kitchen: Hey Sankarji.. aap ko kaise samjhayen (coming to lounge) aap ko doctor ne araam karne...
Her sentence left incomplete when she saw her mother laying unconscious on the floor. She stood shocked, it took her a minute to realize what had happened. She immediately ran towards her, putting her head on her lap she tries to wake her up with fresh tears in her eyes.
G: Maaa.. Maa.. ka ho gaya hai apko..uth Maa... Pa..paani.
She quickly ran to get some water to sprinkle it on her, but there was no response.
G: Maa..maa... (wiping her tears) Omkaraji... Omkaraji ko...
Saying this she called Om who picked up after two rings, and started speaking before her.
O teasing: Kya hua? Raat ko to dhakke de rahi thi aur ab...
He stopped when he heard her crying and got extremely worried.
O: Gauri..Gauri, Kya hua? Tum ro kyun rahi ho? Sab theek hai na?... Kuch to bolo.
G:M..Maa
O: Aunty? Kya hua unhein?
G: Maa... woh...be..hosh...humain..bohut chi..nta ho rahi hai.
O: Kya? Main abhi aa raha hoon, tum pehle rona band karo aur Aunty ke paas raho, theek hai... Main aata hoon abhi.
G: J..ji
Om immediately left but was stuck in traffic, while Gauri restlessly waited for him for about more than half an hour, but no sign of him. But, thankfully, Abhishekh reached there and got shocked to see them.
YOU ARE READING
Rikara- Ishq, Junoon, Deewanagi
FanfictionAll the characters are same as the show except I am adding an old character of Ridhima as Om's fiancé. My ff starts when Om marries Gauri and leaves accusing her a characterless girl. In my ff there is no Svetlana track for now but I am yet not sure...
