Part 30

907 78 17
                                    

Not proof read, sorry for mistakes!

ShivOmRu goes to Shivika's room, leaving the ladies in Om's room.

O: I don't believe this, inke dimaagh mein kya kya chal raha hota hai kuch pata nahi.

He sits down on the bed, holding his head.

S: Seriously, main bilkul bhi yeh expect nahi kar raha tha... matlab how can they even think about it.

O: Exactly.

R: Arre jo hona tha ho gaya, ab yeh sab sochne ka faida. Aap yeh socho ke Salman Khan se kaise milwanaoge.

ShivOm look at each other, then Shivaay also sits with Om and Om again holds his head.

O: Wohi to samajh nahi aa raha.

R after thinking: Bhaiya kyun na aap Anika Bhabhi se baat karen ke woh Gauri di ko samjhaen.

Om looks up and then pleadingly looks at Shivaay.

O: Haan, Shivaay, please tum Bhabhi se baat aro.

S: Main to kar longa lekin mujhe yakeen hai ke koi faida nahi hai.

R: To try karne mein kya hai, kar lo.

O: Haan.

S: Ok fine, main abhi jaata hoon.

The trio leave for Om's room, Shivaay goes in while, OmRu stand outside the room listening to their convo. The ladies were still discussing about different actors and movies.

S: Uh... Anika.

A looking towards him: Ji.

S: Woh, mujhe tumse baat karni hai, zara bahar aana.

A: Kya hua Shivaay, yahin kar lijiye na.

S: Yahan nahi, tum aao na.

A: Main abhi yahin baithi hoon, karni ho to yahin kar len warna baad mein kar lijiyega.

S: Kitni ziddi ho, kabhi to baat maan liya karo.

Anika glares at him.

S: Main yeh kehne aaya tha ke tum badi ho, tumhe Gauri ko samjhana chahiye ke yeh nahi ho sakta, lekin tum khud shamil ho gayi ho. Aur Mom, Badi Maa aap bhi.. Aap to samjha sakti hain inhen.

Anika, Jhanvi and Pinky kind of felt pity for Om and were about to agree with Shivaay but Gauri stops them by holding their arms and signs them through eyes to look outside, without getting caught by Shivaay. They found OmRu outside sneakily trying to hear their conversation. They understood their plan and stick to their decision.

A: Kyun Mr, SSO? Saari tadi nikal gayi itni si baat mein.

J: Aur tum shayad bhool rahe ho ke hum Oberois hain and Oberois never quits.

S shocked: Badi Maa?

P: Jethaniji corrects bol rahi hain Shivaay aur mere bete ke liye to kuch bhi impossibles nahi hai na.

S: Mom?

B: Bhaiya aap koshish to kariye ho jaega.

G loudly so that Om can hear her clearly: Haan Bade Bhaiya... Lekin agar Omkaraji se nahi ho paega to haar maan len na, aise aap ko bhej ke apna time kyun zaya kar rahe hain.

Hearing her OmRu gets shocked and enter the room knowing that they are aware of their presence.

O: Kya kaha tum ne haar maan loon, hum Oberois hain aur Oberois kabhi haar nahi maante, samjhi?

G: Acha to phir kar ke dikhaiye... nahi to haar maan...

O: Never, ab main tumhe bataunga ke Oberois kya kar sakte hain.

Rikara- Ishq, Junoon, DeewanagiWhere stories live. Discover now