Episode 71

1.6K 188 19
                                    

Shivaay and Annika are shocked to see the respective letters..

Annika : A..aapne.. is liye bulaya tha..

Shivaay : hmmm!

Annika : ab?

Shivaay : matlab?

Annika : Kiya socha hai aapne? aage kiya karna hai?

Shivaay : I really don't know.. i mean.. tumhe kiya lagta hai..

Annika : Dekhiye main sirf itna janti hoon ke mere papa mere liye sab kuch the.. unho ne hamesha meri har cheez ka khayal rakha meri har wish poori ki aur ab meri baari hai unki yeh khuahish poori karni ki...aage aapki marzi..

Shivaay : OmRu hamesha kehte the dada jee mujhse ziada payar karte the... kehte the ke main unka favourite hoon shayad is liye ke main unki har baat manta tha aur OmRu wo dono shaitani ziada karte the... Mazaq karte the ke dada jee mere liye larki bhi dhoond layenge aur main uske liye bhi maan jaun.........
*he was so lost in his childhood memories, expressing his thoughts in front of Annika and didn't realise anything*

Annika : aapne.. aapne apne ghar mein kisi aur ko is baare mein bataya hai?

Shivaay : Nahi.. tumne?

Annika : Nahi.. socha tha per himmat nahi hui.. per ab bata denge kiya.. hum dono to koi faisla kar nahi paa rahe shayad wo loog hi kuch madad...

Shivaay : I guess its not right.. matlab hum dono ke liye itna shocking tha pata nahi wo loog kese react karen..

Annika : Mujhe kuch nahi pata Shivaay.. mera dimaagh bilkul kaam nahi kar raha.. main bas itna janti hon ke dad mere liye yeh chahte the to aesa hi hoga.. atleast meri taraf se to poori koshish hai.. aage aap ko jo theek lage..*she said is one breath*

Shivaay : Okey than lets deal..

Annika : Deal? matlab?

Shivaay : Tumhare dad aur mere dada jee dono ek hi cheez chahte the to phir theek hai.. lets do it...lets get married!

Annika : Shivaay yeh koi khel nahi hai.. shaadi hai.. aapki aur meri poori zindagi ka sawaal hai aur aap apne conference room mein bethe koi meeting nahi kar rahe jo aese baat kar rahe hain..

Shivaay : Annika main in sab mein believe nahi karta..payaar shaadi yeh sab mere liye exist nahi karte.. mere liye har rishta ek deal hai.. chahe wo aapke life partner se ho ya bussiness associates.. agar dekha jaye to humara rishta bhi ek deal hi hai.. i mean hoga.. hum shaadi kar bhi le to uski waja humare bare honge... tumhare dad aur mere dada jee to phir kyun yeh sab faltu ki baaten karna..

Annika : Faltu ki baat? Shivaay appke liye hogi yeh faltu ki baat mere liye nahi hai... shaadi koi.....

Shivaay : Seriously Annika? tum to aese bol rahi ho jese hum ek dosre se payar karte hain aur humari families shaadi ke liye maan nahi rahi..

Annika : to phir theek hai.. shaadi tab hi chalti hai jab dono partners efforts karen lekin humare case mein aesa nahi hai.. agar appke liye yeh rishta deal hoga to mere liye bhi deal hi hoga! app apne dada jee ke liye yeh rishta jorege aur main apne dad ke liye to.

Shivaay : Naa tum mujhse kabhi kuch expect karogi aur na main tumse koi expectations rakhunga..

Annika : ghar walo ke liye aur duniya ke liye hum husband wife honge per....

Ishqbaaazजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें