Mr. Bajaj

1.4K 58 10
                                    

Hey guys so sorry I haven't updated in a long time, but here is the latest update.  Hope you like it.

Just as they finished their talk the doctor came out.

Aap Bijoy Bose?- Prerna asks.

Ji haan aur aap?- the doctor asks.

Main Prerna. Prerna Bajaj, Mr. Bajaj ki wife.- Prerna answers.

Oh okay. Acha hua aap aa gayi. Aap sari formalities puri kar dijiye phir main aapko unke bare main batata hoon.- he says.

Ji thik hai.-Prerna says and the doctor leaves.

Aap logo ko chahiye to mere driver ke saath ja sakte hai. Main ghar pe inform kar dungi.- Prerna says.

Nahi, aap ye kya keh rahi hai. Hum ruk jayenge aap ke saath. Aur ghar saath hi jayenge.- Nandini says as everyone nods agreeing with her.

Okay aap rukiye yaha pe main abhi aati hoon.- Prerna says and leaves to do all the formalities. When she comes back she sees the doctor walking over.

Ji maine sari formalities puri kar di hai. - Prerna tells the doctor worried for Rishab. And the doctor's expression wasn't helpful. Fab4, Navya and Nandini come there as well. The girls standing right by Prerna.

Wo kaise hai?-Cabir asks taking lead.

Ji abhi humne unhe ek private ward main shift kar diya hai lekin unke sir par chot lagi hai aur agar unhe agle char ghanton main hosh nahi aaya to wo coma main bhi ja sakte hai.- the doctor says with a sympathetic face.

Prerna was shocked to hear that. She lost her balance and was about to fall when the others caught her and made her stand up properly.

Ye kaise ho sakta hai? I mean hum kuch to kar sakte hai na? Unhe hosh kaise aayga?- She frantically asks all these questions.

Wo bhale hi abhi behosh hai lekin wo sab kuch sun sakte hai. Unhe ye batana bahut zaroori hai unki care aur parwah karne wale log hai. Unhe hosh main aane ke liye ek wajah deni padegi.-The doctor says.

Prerna nods and asks where Rishab's ward is. And then all of them shift there. Fab4, Navya and Nandini stay outside as Prerna goes in. They stand outside and watch as right beside the door there is a big window.

Prerna goes in and is shocked to see Rishab. He has a cast on his arm, his forehead wrapped in the white bandage, wires attached to him and an oxygen mask. She goes and sits on a chair beside his bed.

She didn't know how to start. She knew he could listen to her, but their relation isn't that casual for her to start saying things or hold his hand. Tough right now that's all she wants to do. She decided she wants to be honest and say everything she is feeling right now. They will discuss it later.

Mr. Bajaj you know aaj subha se lag raha tha kuch bura hone wala hai. Lekin phir socha kya hoga. Aur jab aapka phone aaya ye kehke ki aaj aap late honge tab mujhe bahut uncomfortable feel hua lekin tab bhi maine chod diya. Phir jab almost bara baaj gaye tab mujhe bahut chinta hone lagi. I mean I know aap bahut baar late aaye ho lekin kabhi bhi itna late nahi hua aapko. Tab mujhe aapka phone aaya. I was so relaxed ki maine phone uthake aapse baat karna shuru kar diya. Aur phir un doctor ne mujhe roka aur bataya ki aap hospital main hai. Us waqt mujhe pata bhi nahi chala ki kya hua hai. Uske baad to mujhe sirf ye yaad hai ki maasi aur Tanvi kamre main the aur unhe bhi saab pata tha. Mujhe samaj hi nahi aa raha tha ki main kya karu. I mean main Kukki ko akela chod ke nahi aa sakti. Wo agar raat ko uth gayi to uske saath aap ya main hone chahiye. Lekin mera yaha aana bhi zaroori tha isliye maine maasi aur Tanvi ko Kukki ke saath chod diya aur yaha aa gayi. Main yaha aa to gayi lekin zyada der ke liye nahi, kyunki aap ko mere saath ghar jana hoga. Mere liye nahi to Kukki ke liye. Aap ko pata hai na ki wo aap se kitna pyaar karti hai. Sirf Kukki ke liye nahi lekin maasi ke liye aur Tanvi ke liye bhi. Wo sab aap pe dependent hai. Agar aap nahi aaye to unka kya hoga. Sabse zyada Kukki ko aap ki zaroorat hai. Wo aap ke bina nahi reh sakti. Aapko to pata hai na agar raat ko use aap jab tak goodnight kiss nahi dete, bhale hi wo pehle se hi so rahi hai, wo raat ko thik se nahi soti. Wo beej main hi uth jati hai aur phir aapke liye roti hai. Kya aap yahi chahte hai ki Kukki roye. Arrey hai aap ye nahi chahenge kyunki aap ko to Kukki ke aansoon se nafrat hai. Aap ko bilkul pasand nahi hai uska rona. Sirf uska kya aapko to mera rona bhi pasand nahi hai. Jab bhi main roti hoon aap aajate hai mujhe thik karne. Aur sirf aap hi mera rona band kar sakte hai. Lekin ab kon ye karega. Dekhiye na main abhi bhi ro rahi hoon aur aap kuch nahi kar rahe. Aur kisi ke liye nahi to mere liye uth jaiye. Please Mr. Bajaj uth jaiye. Parivar walo ko aap ki zarurat hai, mujhe aapki zarurat hai. Agar ap nahi hoge to main kiske saath ladungi, kiske saath baate katungi, kiske saath aapne problems share karungi? Aap ko uthna padega. Aap ko mere liye uthna padega. Mr. Bajaj. Maine aap ko pehle maaf kar diya lekin agar aaj ap nahi uthe to main aap ko maaf nahi karoongi. Aur main janti hoon aap ko iss baat se farak padta hai ki main aapse naraz hoon ya nahi. To please uth jaiye, please mere liye- Prerna says all of this while crying. Unknowingly in between this she holds Rishab's hand.

And now when she is done she just holds his hand more tightly in both her hands and puts her head on it. She is still crying and saying things to make him react.

Outside the ward-

Everyone was watching her and they felt bad for Prerna. They could clearly see that Prerna loves her husband. They don't know the truth of Prerna and Rishab's relation tough. So for them this was perfectly normal.

Like this 3 hours pass by. And Rishab still hasn't woken up. Everyone is asleep, but Prerna is still awake speaking to Rishab. In between this time maasi had called and Prena informed them. Kukki as said had woken up and was crying, but no one could quiet her. So she got so tired from crying that she fell asleep. They only had half an hour left now.

Even at home the Basus' were worried as Prerna left so suddenly, but didn't show it. They don't know what happened. Everyone at home is also asleep by now.

Prerna still hasn't given up though. She believes that Rishab cares so much about his family that he won't do this to them.

There were only five minutes left and the doctor came in to see Prerna crying and talking to him. Fab4, Navya and Nandini come in as well. If Rishab doesn't wake up now there is a chance he might never wake up.

Mr. Bajaj please uthiye. Aapko meri kasam, aap ko Kukki ki kasam hai. Please....-Prerna finally says, trying for the last time.

And then.........

Hey guys hope you like it.  Please tell me what you think.  I am sorry for leaving it here, but this update has gone longer than my usual ones and it seemed like a good spot to stop at.  Please, please, please vote and comment.  Tell me if you like it or if you are excited for the next update.  It will mean a lot to me.  And again I am sorry that is took me so long to update this.

PreRish-ForeverWhere stories live. Discover now