She's back!!!

1.1K 50 3
                                    

Hey guys here's the new update.  Hope you like it.

Anurag went to Mumbai for a week.

Flashback-

Anurag was sitting in a restaurant having his dinner when suddenly a woman comes and sits in front of him.

Tum?- Anurag exclaims angry at this woman in front of him.

Tum shayad bhul gaye ki mujhse picha chudana itna asan nahi hai Anurag- The girl says.

Tum yaha kya kar rahi ho?- Anurag asks angrily.

Relax Anurag. Itna mat chilao. Tumhare reaction se I am guessing ki tum mujhe bhule nahi. I am glad to know. You know maine tumhe bahut miss kiya.- the girl says.

Baas karo Komolika. Saaf saaf batao kya chahti ho tum?- Anurag asks angrily.

Main kya chahti hoon? Bahut bada question hai, right? Chalo bata hi deti hoon. You know main jab waha se chali gayi tab maine tumhare bare main bahut kuch pata kia. Or should I say ki maine Manik Malhotra ke bare main bahut kuch malum kiya. Mujhe ye bhi pata hai ki Prerna ab Rishab Bajaj ki biwi hai. Mujhe ye bhi pata hai ki tumhare liye apne dosto yani Fab5 se badhkar aur kuch nahi hai. Aur iska mere paas saboot bhi hai jo tum bhul gaye ho us accident main. Am I right?- Komolika asks.

Tumhe kya chahiye?- Anurag asks worriedly.

Mujhe tum chahiye lekin saath hi saath Prerna ki barbadi- Komolika says.

Warna?- Anurag asks.

Warna tumhare dost aur woh jise tum bhul gaye ho unhe bachana mushkil ho jayga. And believe me jab tumhe sab kuch yaad ayega tab you will regret it.- Komolika says.

She was right. For Manik nothing is more important than Fab5, so unwillingly he agrees to do as she says. As he knows she will not hesitate to do anything to make Prerna suffer. He could see it in her eyes.

Main chati hoon ki tum Prerna aur Rishab ko alag kar do aur fir usse apne paas wapas le ao. Uske baad tum uska dil todo aur usse maar do. Fir tum mujhse shaadi kar lo.- Komolika says.

Main ye nahi kar sakta. Main kuch bhi karunga lekin Prerna ko maar nahi sakta- Anurag says.

You know ye baat sirf tumhare dosto tak seemit nahi hai. Main tumhare family ko bhi nahi chodungi- Komolika says.

Okay fine- Anurag says with a heavy heart.

And jab tum wapas jaoge aur Bajaj aur Prerna ko alag kar rahe hoge tab tum ye sirf Prerna ko apne paas wapas lane ke liye kar rahe hoge na ki isliye kyunki maine tumse kaha hai- Komolika says.

Back to present.

Rishab and Prerna were back in their own house. Kukki was really happy. It's been a week since they moved out.

Mr. Bajaj aapne Basus' ka jo ghar hai wo apne abhi tak unhe wapas nahi diya hai right?- Prerna asks one night. Rishab looks at her shocked.

Aap ko kaise pata hai?- Rishab asks, worried that she might take it in a wrong way.

Wo I know hum ek dusre ko bahut time se nahi jante hai lekin I think main aap ke bare main itna to janti hoon to know ki aap ek deal ko aise hi nahi jane de sakte.- Prerna says softly.

This time she had decided to hear him out before reaching any conclusions.

You are right. Unke jo shares mere paas the jo maine kharide the wo unhone kisi aur company main invest kiya hai. And wo company meri second company hai. Wo mere naam se nahi chalti.- Rishab tells her the truth.

Iska matlab....?- Prerna asks him to continue.

Iska ye matlab hai ki Basus' ne unke shares mujhe diye hai for a loan. Iska ye matlab hai ki unka ghar aur 60% company pe mera control hai. Unke profit se hume profit hota hai aur hamare profit se bhi hume profit hota hai kyun ki humara uss company pe jyada haq hai. Unhone unke ek naye project ke liye humse deal ki hai. Lekin I swear main unhe takleef pahuchane ke liye ye sab nahi kiya. Agar karna hota to hum wo ghar kabhi nahi chodte.- Rishab says trying to convince her.

Prerna takes a deep breath and look into his eyes.

Okay.- Prerna says.

Okay?- Rishab asks confused.

Yes. I believe you. Aap apna promise nahi todenge. Main aap pe bharosa karti hoon kyunki even after your goal being to destroy them aap piche haate ye jane ke baad ki mujhe farq padta hai.- Prerna says.

Yea- Rishab says happy that she trusts him.

Bas aap mujhse promise kijiye ki aap Basus' se related koi bhi cheez mujhse nahi chupayenge.- Prerna says.

I promise- Rishab says.

Okay ab jab hum baat kar hi rahe hai to I want to be honest. Hum jab waha pe reh rahe the tab pehle mujhe laga tha ki Anurag ke hone se mujhe bahut farq padega lekin no mujhe farq nahi pada. But you wanna know mujhe farq kis baat se pada?- Prerna asks him. He nods waiting to hear what she wants to say. He had started to have feelings that were new to him for her.

Mujhe is baat se farq pad raha tha ki aap mere bare mein kya soch rahe hai.- Prerna says. She was confused and shocked as to why she is saying all of this, but she wanted to say this. She wanted him to know what's going on in her brain. She didn't know what she was feeling.

Mujhe laga ki kahi us ghar main kuch aisa na ho jaye jisse aap aur Kukki mujhse door ho jaye. I mean waha pe Anurag tha aur kisi bhi wajah se main Kukki se door nahi hona chatiti.- Prerna says. She looks down waiting for him to say something.

You know ab jab aap itni honest ho rahi hai to main bhi bol deta hoon. Jab hum pehle waha gaye rehne tab mujhe dar tha ki kahi aap Mr. Basu se mil kar unke saath na chali jaye. Kahi aap Kukki aur mujhe na chod de. Mujhe Kukki ki chinta to thi. Lekin sath hi sath mujhe ye dar tha ki agar aap chali gayi to mera kya hoga. Mujhe aap ki aadat ho gayi hai.- Rishab says.

Ab kya karna hai?- Prerna asks.

I don't know.- Rishab says.

Mr. Bajaj aap ko ek baat bata deti hoon. Kuch bhi ho jaye main aap ko aur Kukki ko chod ke nahi jaungi. Mujhe bhi is pichle ek mahine main aapki aadat ho gayi hai. Aur rahi baat Anurag ke paas jane ki to mujhe bhi laga tha. Lekin jab main waha gayi to maine realize kiya ki main jis Anurag se pyaar karti thi ye wo nahi hai. Ye wo Anurag hai jo abhi apni ma ke bato se influenced he. Jab wo is sab ke bare main khud se soche ga to wo samaj jayga ki main ab apki biwi hoon aur main kabhi bhi uske paas wapas nahi jaungi.- Prerna says.

They don't know when in this conversation they came close to each other Prerna was holding Mr. Bajaj's hand in hers and he covered her hand with his other hand.

Prerna I want to ask you something.- Rishab says.

Puchiye.- Prerna says.

Kya kabhi bhi hum dono ke life mein ek normal husband wife relationship hogi?- Rishab asks. He was scared to listen to the answer to this question. He was afraid what if this is how they will be spending their whole life with each other.

Hey, guys here is the update.  Hope you like it.  Do tell me what you think and vote please.  I don't know anything about business so I just put a random explanation Rishab gave.  I will try to update soon.

PreRish-ForeverWhere stories live. Discover now