Prerna and Rishab's Plan

991 51 7
                                    

Hey guys here's the next part.  Hope you all like it.


Prerna was about to go in and ask Anurag what else he wanted to do, but Rishab stopped her.

He pulls her out of the house and takes her to their car. He made her sit in the car while she was yelling at him to let her go.

Once they were away from the house he stopped the car. As soon as the car stops Prerna gets out of it. She was planning on walking back to Basu's house and yelling at Anurag, but Rishab catches up with her quickly and stops her.

Mr. Bajaj chodiye mujhe. Mujhe Anurag se milna hai aur usse puchna hai ki wo aisa kaise kar sakta hai?- Prerna says.

Mrs. Bajaj aap ne shayad notice nahi kiya ki Mr. Basu kuch aur bhi khena chate the. Aur jab tak wo pata nahi chal jata hume nahi pata ki wo aur kya kya karenge.- Rishab says.

Lekin..- Prerna starts to say something, but Rishab cuts her off.

Mrs. Bajaj aap ne dekha na sirf mujhe picture se nikalne ke liye unhone apna khud ka accident karwaya. To phir pata nahi wo aur kya karenge apne aage ke plan ke liye. Hume unka maksad kya hai ye jana zaroori hai taki hume aage kya karna hai ye soch sake- Rishab says. Prerna somewhat looked convinced.

Ha lekin Anurag aisa kaise kar sakta hai?- Prerna asks, finally letting go of her anger. Her voice held confusion.

Mrs.Bajaj aap ko honestly batana hoga aap ke maan main kya ho raha hai?- Rishab asks.

Honestly kahu to mere mann bahut sari bate chal rahi hai. I mean main janti thi ki Anurag badal agya hai lekin wo itna niche gir gaya hai ye pata nahi tha. Aur expected bhi nahi tha. Mujhe gussa aa raha hai. Iss baat pe ki main kabhi Anurag se pyaar karti thi. Mujhe apne aap pe gussa aa raha hai ki meri wajah se aap ko aur Kukki ko itna kuch shena padh raha hai aur padhega- Prerna says.

Rishab looked like he wanted to say something but Prerna doesn't let him.

Mujhe Anurag pe gussa aa raha hai ki ye sab karne se pehle usne Kukki ke baare main ek baar bhi nahi socha. Mujhe bura lag raha hai ki main aap ko jail jane se rok nahi sakti. Mujhe acha nahi lag raha ki aap ko aaj raat ko jail jana padega wo bhi meri wajah se. Aur main kuch nahi kar sakti other than kal aap ke ghar aane ka intzar- Prerna says. She finally stops speaking. In between this she had taken Rishab's hand in her one and held onto it tightly.

Prerna, isme aapki koi galti nahi hai.- Rishab says.

Lekin Mr. Bajaj Anurag ye sab meri wajah se to kar raha hai. Agar....- before Prerna could say anything else Rishab cuts her off.

Ye sab meri galti hai. Agar maine aap ko mujhse shaadi karne ke liye majboor nahi kiya hota to ye sab nahi hota. To agar kisi ko blame karna hoga to aap mujhe blame kijiye.- Rishab says.

Lekin aap ke saath rehna mera faisla tha. Maine pehle jo kiya wo Anurag ko bachane ke liye lekin main chahti to is shadi se bahar nikal sakti thi lekin maine aisa nahi kiya. Maine aap ke aur Kukki ke saath rehne ka faisla kiya tha. Main chhathi to Anurag ko saach bata sakti thi lekin maine nahi kiya. Pehle main shayad karti lekin nahi kiya. Especially jab mujhe Kukki ke bare main pata chala. I mean maine aap se pehle bhi kaha tha. Aap chahe auro ke liye kaise bhi insaan ho lekin aap ne family ke liye aap best ho. Aap Kukki ke liye best Papa ho, maasi ke liye unke best bete ho aur Tanvi ke liye best bhai- Prerna says.

Rishab who was shocked at her confession wanted to know more. He knew she thought of him as the best father but she never said anything about family. He was getting distracted from the topic.

Aur..?- he wanted her to continue. Prerna knew she had to say it now. She should have just said best father not that he is the best man for any family.

Aur mere liye best pati- Prerna whispers, finally saying it and admitting it to herself.

Kya?- Rishab asks not expecting her to say it.

Ji. main nahi janti meri life kya hoti agar meri shaadi aapse nahi hoti, lekin main janti hoon ki right now meri perfect hai. Meri ek bahut hi pyaari bachi hai, mere ek bahut hi caring pati hai aur mera ek aur bacha bahut jald humare saath hoga- Prerna says putting her hand on her stomach and smiles. She looks up to see Rishab smiling at her.

Phir ab Mr. Basu ka kya karna hai?- Rishab asks her.

Usse jo chahiye wo dena hai- Prerna says. Rishab looks at her with an expression that asks her to elaborate.

Wo chahta hai ki hum dono dur ho jaye. To phir kyun na hum usse yeh hi dikhaye. And main unke ghar main reh sakti hoon.- Prerna says.

Unke ghar main reh kar unka plan janengi aap?- Rishab confirms.

Haan, aur jab pata chalega ki wo ye sab kyun kar raha hai tab hum kuch kar sakenge.- Prerna says.

To phir kal jab main bahar aa jaunga main aapko Basu badi main chod ke jaunga.- Rishab says.

Lekin Kukki ka kya?- Prerna says, really worried.

How about this kal hum pura din uske sath spend karte hai aur phir sham ko main aapko Basu Badi chod dunga aur Kukki ko massi aur Tanvi ke paas chod aaunga. Main kuch din waha ruk kar aa junga. Okay?- RIshab asks, continuing the plan.

Okay- Prerna finally says.

When they get home Prerna and Rishab have dinner together before the police come and take him with them.

Prerna Kukki ka, apna aur baby ka dhyan rakhna. Jyada stress mat lijiye. Aur ab aap Basu Badi jake ke Mr. Basu se miliye. Ghar aa jaiye kal sham ko main aap ko waha le jaunga.- Rishab says and then goes with the police.

Prerna stands there for sometime thinking about the changes that are going to happen in her life tomorrow. After sometime she goes to Kukki's room and lays down beside her, not knowing when is the next time she will see Kukki. She pulls Kukki towards her and tries to sleep, but can't thinking about Rishab in the jail where he won't be sleeping either.


There it is.  Hope you guys like it.  Do tell me what you think by commenting. Please vote and comment.

PreRish-ForeverWhere stories live. Discover now