Assalamualikum,
Jin ka pyar,
Online novel by,
chahat Akhtar Shaikh💖
Ariha ko awaz ati hai jaise koi uska naam bahot dheere se keh raha ho
Ariha, ariha
Wo dar kar apne charo taraf dekhne lagti hai par usse kuch dekhai nahi deta, ariha lagi jayada der jati hai.
Ariha,
Kkkk kon hai,
Tabhi usse aisa lagta hai k koi uske samne se bahot tezi se gaya ho, wo ghabra jati hai.
Wo farah ka bheja hoa ek jin hota hai, jo ariha ko darane ki koshish kar raha hai, wo jin ariha ko dhakka dene k liye ariha k kareeb ata hai wo usse dhakka dene k liye usse hath lagata hi hai k usse bahot zor dar shok lagta hai or wo door ja kar ek ped se takra jata hai ek zordaar chekh k sath.
Wo jin itni zor se chekh ta hai k uski awaz saaf saaf ariha ko toh sunai deti hai hai, iske alawa baki k student ko bhi tant me sunai deti hai, arab ko bhi awaz ati hai wo awaz sunte hi apne ankhein band karte hai usse sab kuch dekhai deta hai k ariha kaha hai or uske sath kya hoa raha hai.
Wo hawa sir tez raftar se ariha k pass ane lagta hai, wo jin jab girta hai toh wo bahot gusse me a jata hai, wo apne akhon se ishara karta hai or ariha k bazi me majood ped toot kar ariha k upar girne lagta hai, wo der k mare apni jagah se hilna bhi bhool jati hai, or us ped ko dekh ti rahti hai.
Tabhi Arab waha a jata hai or us ped ko tham leta hai , Or us ped ko dusri taraf dhakka de deta hai ariha sara manzar dekh kar hairan or dar jati hai , wo kuch der tak kuch keh nahi pati bas but bani Arab ko hairani se dekhti rahti hai.
Arab ped ko dusri taraf phek kar us jin ki taraf palat ta hai , wo itne gusse me hota k usse ye tak khayal nahi hota k ariha waha maujood hai, uski aankho ka rang badal kar laal ho jata hai , Or wo tezi se us jin k pass ata hai or uska gala pakad kar usse zameen se uchai me kar deta hai.
Arab,
Teri himmat kaise hoye meri ariha ko nuksan pohchane ki aj toh mai sara kissa hi khatam kar donga tum logo ka.
Jin zor se hasta hai , wo dikai nahi deta par ariha ko uski awaz saaf saaf ati hai, tum humara kissa khatam karoge, hum tumhari kahani hi khatam kar denge, is ladki ko khatam kar k hi rahenge akhir kab tak bacha paoge tum isse har waqt toh iske pass nahi rah sakte ho na, issi k dam se hai na tumhari kahani toh ye khatam Or tumhari kahani bhi khatam.
Or wo Arab ko dakka deta hai, Arab piche ho jata hai , Arab gusse se us jin ko dekhta , Or wo jin bhi gusse se Arab ki taraf ata hai Arab par hamla karne k liye dono ek dusre ki taraf hawa me chalang laga kar ek dusre se ladte hai , kafi der baad ladne k baad arab ek jhatke se us jin ki gardan mud deta hai, ek zordar awaz k sath wo jin khatam ho jata hai.
Arab usse zameen par phenk ta hai , Or ariha ki taraf palat ta hai, ariha bahot dari hoti arab ko apne pass ata dekh kar jaise usse hosh ata hai . Wo piche hatne lagti hai.
Ariha,
Door raho mujhse, hath bhi mat lagana mujhe k ko kon ho tum?
Wo dare ho andaz me sawal karti hai.
Arab rok jata hai ,Or ariha ki taraf dekhta hai wo mehsoos kar sakta hai k ariha kitni dari hoyi hai.
Arab,
Dekho ariha tumhe mujhse darne ki koi zarurat nhi hai , mai tumhe kuch nhi karonga.
Or wo ariha ki taraf badhta hai.
आप पढ़ रहे हैं
jin ka pyar
फ़ैंटसीye kahaani hai ek Jin or insan k pyar ki , the magical journey of love , Jo k impossible Hoti hai .
