Assalamualikum
Jin ka pyar,
Online novel by,
Chahat akhtar shaikh💓💓.Arab apni abbu ki awaz sun kar ariha ki call rakh deta hai, or apne abba k pass jata hai.
(Arab) _ ji abba ap ne mujhe bulaya.
(Arab k abba) _ ha kuch baat karni thi tumse. Chalo mere sath study room me.Or dono study room me jate hai.
(Arab) _ kahiye abba
(A abba) _ tum pata kiya ki un ladko ko kisne mara hai?
(Arab) _ nai abba maine bahot khushish ki apni power se bhi pata karne ki koshish ki par kuch nai pata chal raha hai.
(A abba) _ ha pata tha mujhe sun jin ne bahot pakka kam kiya hai.
Par wo bhul gaya ki humare sardar k nazar se wo nahi bach sakta.
Mai aj raat ko humari duniya me ja kar apne sardar ko sab kuch bata k un se pochne wala ho k akhir ye kisne kiya hai or wo bas kuch hi pal me hum sab sach bata denge.Un ki power se kuch nai chup sakta.
Tum bhi sath chalna or ha is bare me ghar me bhi kisi ko nai batana.(Arab) _ ji abba.
Ye apne pahle hi q nai kiya ab tak hume pata chal jata ki wo kon hai.(A abba) _ ab ja rahe hai na bas jayada sawal mat karo jao ab ja kar khana kha lo or aram karo adhi raat ko hume jana hai.
Arab waha se chala jata hai, or Arab k abba sochte hai ab toh pata chal hi jayega ki wo kon hai . Or wo bhi khana khane k liye chale jate hai.
Khane ki table par sab hote hai bas Farah nahi hoti, Farah ki ammi usse buland k liye servant ko bhejti hai, par wo nahi ati tab us ki ammi khud jati hai par tab bhi Farah nahi ati.
Arab ki ammi poch time hai ki Farah kaha hai toh Farah ki ammi kehti hai apne kamre me hai kab se bola rahi ho par nahi a rahi hai gusse me muh pola kar baithi hai or bata bhi nahi rahi ki q gussa hai.
Arab ki ammi kahti hai mai bola kar lati ho toh, sufiyan kehta hai ap baithe chachi mai jata ho.
Or sufiyan Farah k kamre ki taraf jata hai, knock karta hai Farah door open karti hai .
(Sufiyan) _ kya yaar tum bhi Arab ki baat par itni der se muh polaye baithi ho, chodo usse chalo khana khane.
Or wo Farah ka hath pakad kar usse chale k liye kehta hai.
Tabhi Farah gusse me us ka hath jhatak kar us se kehti hai.
(Farah) _ tumhari himmat kaise hoyi mera hath pakadne ki, apni haad mat bholu tum se hans kar baat kya kar li toh mere jayada karib ane ki zarurat nahi hai
Dubara kabhi mujhe hath bhi mat lagana warna acha nai hoga.Sufiyan usse hairan ho kar dekhta hai.
(Sufiyan) _ ye kya bol rahi ho tum hosh me toh ho.
(Farah) _ pore hosh me ho, or tumhari harkate bhi khub samajhti ho, itni care q kar rahe ho meri,?
Kahi pyar toh nai hogaya hai na mujh se?
![](https://img.wattpad.com/cover/219051840-288-k710989.jpg)
आप पढ़ रहे हैं
jin ka pyar
Fantasyye kahaani hai ek Jin or insan k pyar ki , the magical journey of love , Jo k impossible Hoti hai .