JIN KA PYAR (PART 69)

67 8 14
                                    

Assalamualaikum,
Jin ka pyar,
Online novel by;
Chahat Akhtar Shaikh💖.

Farah asad se milne k liye nikal jati hai. Sufiyan dawa ki wajah se abhi tak soya hoa hota hai asad farah ko kehta hai aj ariha k college me uska last practicle hai, 4 baje khatam hoga exam or arab bhi hoga ab tumhari zeemedari hai k tum dono ko batayi hoyi jagah par kaise lati ho mai thi 3baje waha pohanch jaonga. Or ha is baar koi gadbad nahi honi chahiye.

Farah,
Ha thik hai, par yaad rahe arab ko kuch karna mat.

Asad,
Mujhe order mat do apna kaam karo.

Ye keh kar asad chala jata hai yaha sufiyan ko hosh ata hai wo chok k uthta hai .

Sufiyan,
Ariha ariha wo thik toh hogi na mai itni der tak so kaise gaya .
(Wo jaldi se uthta hai or farah ko dhoondh ne lagta hai. Tabhi farah usse loan me nazar ati hai ye abhi tak yahi hai pahle mai ariha ko dekh kar ata ho wo thik hai na or sufiyan jaldi se apni ankhein band karta hai or ariha usse college me nazar ati hai arab me wahi hota hai)

Sufiyan,
Allah ka shukar hai ariha save hai, mujhe farah par nazar rakhni hogi taki wo ariha ko koi nuksan na pohcha paye.
Kya arab ko bata do. Nahi yaar shadi hone wali hai bahot khush hai wo ab mai nahi chahta k wo kisi kism ka koi tension le.

Arab or ariha college me hote hai dono canteen me baithe coffee pi rahe hote hai .

Arab,
(Ariha ko gour se dekhta rahta hai phir uska hath pakad kar apne hatho me leta hai ariha Arab ko dekhne lagti hai)

Ariha,
Aise q dekh rahe ho.

Arab,
Ariha I love you so so much , mai tumhe bata nahi sakta k ye ek ek pal jo tumhare sath guzar rahe hai na mere liye kitne special hai.
Mai kya feel kar raha ho wo mai tumhe bata bhi nahi sakta ya yu keh lo k koi word hi nahi hai mere pass apne jazbaat ko zahir karne k liye

Ariha,
I know tumhe pata hai mai bahot lucky hi k mujhe tum mile ho , ha bas agar insan hote toh or acha hota but mai adjust kar longi.

Arab,
Acha toh tum adjust kar rahi ho.

Ariha,
Ha off course.

Arab,
Hmm (wo udas ho kar kehta hai)

Ariha,
Are baba mazak kar rahi ho mai tum toh itne ache ho k mujhe pata hai zindagi bhar tum hi adjust karoge or meri sari baat bhi manoge .

Arab,
Acha.

Ariha,
Ha q nahi manoge .

Arab,
Manoga na tum bas mere sath raho mai tumhari har baat manoga bas shart ye hai k tum zindagi bhar mere sath rahogi Or mujhse pyar karti rahogi.
(Arab muskura kar ariha ka hath apne hath me le kar kehta hai ariha sharma jati hai or apna hath choda leti hai)

Ariha,
Ab chale class me .
(Wo Arab ka hath pakad kar khadi hoti hai tabhi Arab hath kheech kar usse baitha deta hai)

                            jin ka pyarजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें