JIN KA PYAR (PART 57)

48 13 28
                                    

Assalamualaikum,
Jin ka pyar,
Online novel by;
Chahat Akhtar Shaikh💖.

Asad hotel me baith kar farah ka wait kar raha hota hai, wo farah ko call bhi karta hai par uska phone band batata hai. Kuch der baad farah ati hai.

Farah,
Sorry wait karne k liye wo actually ek argent kaam me phas gayi thi.

Asad,
It's ok, batao kya baay karni thi tumhe.

Farah,
Itni bhi kya jaldi hai pahle kuch order kar le, waiter 2 coffee.
Or kuch (wo Asad ki taraf dekh kar kehti hai)

Asad,
No.

Farah,
Ok bas do coffee le aye.

Asad,
Jab tak coffee a rahi hai ap bataye k ap ne mujhe yaha q bulaya hai.

Farah,
Hmm ap ariha se pyar karte hai na.
(Ye sun kar Asad chok jata hai or Farah ko dekhne lagta hai)

Asad,
Ye apko kaise pata,
Ariha ne bataya hai apko.

Farah,
Nahi bas pata chal gaya or ap wahi Asad hai na jiske rishte ko ariha ne inkar kiya tha, uske bawajood bhi ap uske age piche ghomte rahte hai.
Is baat se andaza lagaya.

Asad,
Ohh acha toh ye pochne k liye ap ne ye meeting rakhi hai.

Farah,
No no ap bahot jaldi me hai lagta hai, ok mai saaf saaf kehti ho ap ariha se pyar karte hai or mai arab se pyar karti ho jab se maine usse college me pahli baar dekha hai mai usse khud se jayada chahne lagi ho.
Par mai apni mohabbat ka izhar karti usse pahle ye sab hogaya.
Mai nahi dekh sakti arab ko kisi k bhi sath mai bas itna chahti ho k q na hum dono mil kar dono yani arab or ariha ko alag kar de phir arab mera or ariha apki.

Asad,
Wait wait break lagao zara itna kuch bol diya , tumne ye q socha k mai tumhara sath donga.

Farah,
Q k tum har haal me ariha ko pana chahte ho ye mujhe pata hai.

Us engagement wale din tumne ariha se jo bhi kaha wo bataya usse mujhe.

Asad,
Ohh tum arab k bare me sab janti ho.

Farah,
Kya sab.

Asad,
Kuch nahi wo ariha k alawa kisi se bhi shadi nahi karega.

Farah,
Maine apko apni baat keh di ab mujhe jana hai ap is bare me soch kar mujhe jawab dena, agar hum dono mil kar unhe alag kar toh unhe alag hona hi hoga.
Coffee pi kar hi jayega.
(Ye keh kar Farah waha se chali jati hai, or Asad usse jate hous dekhta hai)

Yaha ariha k ghar par sabhi mulana surah bakra padh rahe hote hai.

Takreeban ek ghanta padhne k baad sabhi log chale jate hai.

Ariha,
Ammi ye achanak se surah bakra q padha rahe hai.

Ammi,
Ye isliye k tujh par or is ghar par jo bhi bala hai wo khatam ho jaye.

                            jin ka pyarजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें