JIN KA PYAR (PART 68)

69 8 9
                                    

Assalamualaikum,
Jin ka pyar,
Online novel by;
Chahat Akhtar shaikh💖.

Arab k abba ammi apne ghar a kar fresh hote hai phir ariha k ghar k liye nikal jate hai nikah ki baat karne k liye uske ghar pohanch kar dono ki family ye tai karti k practicle k khatam hone k baad dono ka nikah sadgi se kar denge.

Ariha k abba,
Muh meetha kijiye , mubarak ho.

Arab k abba,
Apko bhi mubarak ho. Bahut khush honge bacche ye jan kar.

Ariha k abba,
Ha sahi kaha apne.
(Dono k parents kuch der baat karte hai phir arab k ammi abbu apne ghar chale jate hai.
Apne ghar a kar wo apne kamre me aram karne chale jate hai kuch der baad arab college se ata hai.

Arab,
Ammi abbu nahi aye ab tak. Ye sochte hoye arab unke room me jata hai.

Arab ki ammi,
A gaye beta tum.

Arab,
Ha mai fresh ho jata ho phir ariha k ghar chalte hai.

Arab k abba,
Kis liye, mujhe issi bare me tumse baat karni hai.

Arab,
Kya baat karni hai apko pahle chalte hai phir baad me baat kar lenge.

Arab k abba,
Maine kaha na ki mujhe abhi baat karni hai.

Arab,
Hmm bolo ye.

Yaha asad pori planing kar chuka hota hai k usse kaise kya karna hai .
Asad,
Ab bas decided karna hai k is plan ko anjam kab dena hai. Or wo farah apna kaam ache se kar de phir mai ariha or Arab ki kahani ka the end kar k hi rahonga.
Arab Arab Arab.

Tabhi ek employe ata hai.
Sir meeting k liye log a gaye hai.

Asad,
Tum chalo mai a raha ho.
(Tabhi zehra ki call ati hai )
Ab ye q call kar rahi hai.
Hello.

Zehra,
Assalamualaikum.

Asad,
Walekumassalam.
Bolo q call kiya tumne.

Zehra,
Wo mai chahti ho k hum lunch k liye kahi bahar chale, maine ammi se bi keh diya hai.

Asad,
Hmm thik hai tum ready rahna mai tumhe pick karne a jaonga. Abhi mai rakhta ho meeting me ja raha ho.

Zehra,
Ok bye.

Asad,
Bye.
Asad meeting me chala jata hai.
Yaha farah apne room me baithi rahti hai tabhi sufiyan ata hai sufiyan k ate hi farah room k bahar jane lagti hai tabhi sufiyan farah ka hath pakad leta hai.

Sufiyan,
Kya baat hai farah mai dekh raha ho shadi k baad se tumhara behavior bahot change ho gaya hai.koi baat hai toh batao mujhe hum baith kar baat karte hai.

Farah,
Mujhe koi baat nahi karni tumse jis insan ko mujh par bharosa hi nahi hai us se kya baat karo mai.

Sufiyan,
Tum bhi janti ho mai sach bol raha tha toh phir ye sab darama q kar rahi ho.

                            jin ka pyarजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें