Assalamualaikum,
Jin ka Pyar,
Online novel by;
Chahat Akhtar Shaikh💖Farah apni baat keh kar phone rakh deti hai Farah k phone rakhte hi Asad sochne lagta hai k akhir Farah ko usse kya baat karni hai. Dekhte hai kal ki kya baat karni hai usse. Or asad so jata hai wo kafi thaka hoa hota hai.
Yaha jannat ki duniya me khalbali machi hoti hai k do din baad arab jino ka sardaar banne wala hai kafi jin is baat se khush hote hai toh kai jin is baat se na khush bhi hote hai, jashan ki taiyari ki ja rahi hoti hai, or sardaar apne maqsaad ko kamyab karne k mansube bana rahe hote hai k kaise or kya karna hai.
Raat ho jati hai ariha k ghar me sab khana kha kar apne apne room me sone chale jate hai, ariha ko bahot uljhan ho rahi hoti hai, wo dua padhti hai namaz padhti hai quran padhti hai k ye uljhan khatam ho jaye magar uski uljhan khatam hone ka naam hi nahi leti usse samajh me nahi ata k wo kya kare wo ghar me bhi kisi ko nahi batati k function ki wajah se sab bahot thake hoye hote hai in dono kisi ne sahi se aram bhi nahi kiya hota isliye wo kisi ko jagana nahi chahti hai, phir usse arab ka khayal ata hai wo apna cell phone bhi uthati hai magar phir ruk jati hai.
Ariha,
Nahi agar arab se kahongi toh wo bina kuch soche yaha a jaye ga or jayega bhi nahi jab tak mai thik nahi ho jaongi, or usse toh apni duniya me jana hai.
Sana ko call karti ho.
(Ye soch kar wo sana ko call lagati hai, ring bajti hai par sana call receive nahi karti q k uska phone slient par hota hai.)Ariha,
Ye call q nahi utha rahi hai.
Wo bed par baith jati hai or sone ki koshish karti hai par usse neend bhi nahi ati. Kafi der ho jati hai kareeb raat k char baje usse neend ati hai or wo so jati hai ariha ko so kar abhi kuch der hi hoyi thi k waha arab a jata hai wo ariha k sad k paas khada hota hai.Arab,
Kitni pyari ho tum, or saafdil bhi isliye toh ye arab raza khan tum par marta hai.
(wo dheere dheere jaise khud se hi kehta hai, or muskurata hai wo bas ariha ko dekhta rahta hai usse jagata nahi hai uske jagne ka kafi der tak wait karta hai par ariha nahi uthti, fajar ki azan ho jati hai arab k jane ka waqt ho jata hai wo ariha k mathe par bosa leta hai or chala jata hai)Arab apne ghar par a jata hai, waha uski sari family apni duniya me jane k liye ready hoti hai wo Arab ka hi intezar kar rahe hote hai.
Arab,
Oh toh ap sab jane k liye ready hai,
Mujhe bass 10 min de mai namaz ada kar lo phir chalte hai.Arab k abba,
Ha thik hai jao padh lo namaz phir hum chalte hai.
(Arab apne room me chala jata hai wazu kar k namaz ada karta hai or dua mangta hai .
Ya Allah meri gair mujodgi me meri ariha ka khayal rakhna , or usse har musibat se door rakhna wo dua mang kar uthta hai , or neeche ata hai sab waha uska wait kar rahe hote hai. Arab k ate hi sab ek dusre ka hath pakadte hai or apni ankh band kar lete hai, kuch hi pal me wo log jinnat ki duniya me a jate hai waha ate hi arab ki ankhein surkh lal ho jati hai , sab usse dekhte hai or wo khud bhi samajh nahi pata k akhir uski ankhein aisi q ho gai hai.Arab apne room me chala jata hai aram karne.
Yaha farah bhi apne kamre me hoti hai, intezar kar rahi hoti hai k jaldi se din ho or wo asad se milne ja sake waise bhi arab in dino bahot busy rahne wala hai usse kisi par diyan dene ka waqt hi nahi milega.

आप पढ़ रहे हैं
jin ka pyar
Fantasíaye kahaani hai ek Jin or insan k pyar ki , the magical journey of love , Jo k impossible Hoti hai .