JIN KA PYAR (PART 16)

297 33 20
                                    

Assalamulaikum
Jin ka pyar,
Online novel by;
Chahta Akhtar Shaikh❤💕.

Arab khud se batein kar raha hota hai k arab ka mobile ring karta hai, uski ammi ka call hota hai , arab call receive karta hai,

Arab ki ammi,
Kaha ho beta itni der ho gai ab tak tum ghar par nahi aye?

Arab,
Wo meri dost ka accident ho gaya hai mai uske pass hospital me ho, shayed mujhe deer ho jayegi ghar ane me.

Arab ki ammi,
Kya hoa tum thik ho na,

Arab,
Kaise baat kar rahi hai ap ammi mai jin ho insan nahi jo mujhe in choti choti cheezo se chot lag jayegi waise bhi mera nahi meri dost ariha ka accident hoa hai.

Arab ki ammi,
Acha ab kaisi hai ariha ki halat?

Arab,
Better hai pahle se par abhi hosh nahi aya hai.
Acha ammi mai baad me baat karta ho.

Ammi,
Ha thik hai par mujhe call karte rahna, Allah hafiz.

Arab,
Allah hafiz.

Asad apne ghar ata hai , ghar me uski ammi, uska intezaar kar rahi hoti hai.

Asad ki ammi,
Kaha the beta tum phone bhi band hai tumhara?

Asad,
Ammi wo hospital me tha ghar ate time raste me do ladkiyu ka accident hogaya tha unhi ki help ki or unhe hospital le kar gaya tha, isliye late ho gaya or phone ki battery daed hai isliye call nahi lag rahi thi.

Asad ki ammi,
Acha thik hai jao tum fresh ho jao phir sath me khana khate hai.

Asad,
Ha thik hai, ali or nasir kaha hai un dono ne khana khaya?
Nazar nahi a rahe?

Asad ki ammi,
So gayi wo dono, tumhara wait karte karte fres, tum jao fresh ho jao mai unhe bhi bola leti ho.

Or asad apne room me fresh hone chala jata hai or uski ammi ali or nasir ko bulane k liye unke room me jati hai.

(Asad ki family me uski ammi, noorjaha or do bhai ali or nasir hai, unke abba ka intekal ho chuka hai wo ek business man the, ab unke baad business ko Asad ne sambhala hai,    nasir asad se do saal or ali 3 saal ka chote hai par arab ne kabhi bhi bhai nahi samjha asad unhe apni aulad ki tarah rakhta tha, unki har choti badi zid pori karta or ammi ko bhi sar ankho par rakhta.

Asad ki ammi nasir or ali ko jagati hai, chalo utho khana kha lo chal kar Asad a gaya hai, or wo dono bhi muh hath doh kar khane ki table par ate hai, or Asad ki family dinner karti hai or phir sab sone chale jate hai.

Hospital me arab invisible ho kar ariha k room me jata hai , or room me jane k baad visible ho kar ariha k karib kursi par baith kar ariha ko dekhta rahta hai or sochta hai k akhir mai ariha ko touch q nahi kar pa raha ho.

Tabhi kisi k ane ki awaz ati hai toh arab invisible ho jata hai ariha ki dadi or abba hote hai wo ariha k pass ate hai, ariha ki dadi roti hai ki akhir kya ho raha hai meri bacchi k sath q iske sath itne hadse ho rahe hai, Allah meri bachi ki hifazat karna. Ariha k abba dadi ko chup karate hai or kehte hai ap sab ghar jao mai ariha k sath hospital me hi rokta ho  arab ye sab sun kar bahar ata hai, or jab ariha k abba dadi or ariha ki ammi ko ghar le jane k liye nikalne lagte hai .

                            jin ka pyarजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें