JIN KA PYAR (PART 40)

162 19 30
                                    

Assalamualikum,
Jin ka pyar,
Online novel by;
Chahat Akhtar Shaikh💖.

Farah k abba Farah k room se chale jate hai unke jane k bad Farah rone lagti hai  , wo kafi der rone k baad chup hoti hai or so jati hai.

Arab ki ankh Adhi raat ko khulti hai , wo phir se sone ki koshish karta hai but usse neend nahi ati wo lown me ja kar baith jata hai or apni zindagi me ho rahe Sare maslo k bare me sochne lagta hai k akhir wo kis tarah inhe sahi kare.
Tabhi waha sufiyan a jata hai.

Arab,
Toh yaha wo bhi abhi soya nahi?

Sufiyan,
(Uske pass baith jata hai)
Nahi neend hi nahi a rahi thi, toh socha tere pass a jao baith kar batein karenge.

Arab,
Acha agar mai so gaya hota toh?

Sufiyan,
Toh kya mai tujhe jaga deta or phir tujh se batein karta.
(Wo hasta hai)

Arab,
Acha very fanny.
Acha ek bataye ga sach sach pochu?

Sufiyan,
Ha sach hi bataonga, nahi batana hoga toh nahi bataonga par tujhse jhoot nahi bolonga.

Arab,
Tujhe bura nahi lagta Tu Farah se bachpan se pyar karta hai or wo mujhse pyar karti hai, or uska behavior bhi tere sath acha nahi hota phir bhi tu hamesha uske sath ache se rahta hai. Tujhe gussa nahi ata uske upar.

Sufiyan,
Hmm,
tune toh dil k zhakhmi taaro ko ched diye yaar , Toh baat aisi hai mere yaar k bura toh bahot lagta hai par mai ye baat jante hoye k wo tujhse pyar karti hai meri ander himmat hi nahi hoti k usse apni mohabbat ka izhar karo, uske age piche deewano ki tarah ghoom kar khud ko zalel nahi kar sakta Mai.

Mara manna hai k agar koi apse pyar karega toh usse apki khushi ki parwa hogi wo khud apko takleef dene se gurez karega magar agar wo apse pyar nahi karta to usse koi fark nahi padega chahe ap uske liye mar bhi jaye.
Isliye yahi better hai k apni feelings ko apne ander hi kahi daffan kar do. Or tujhe pata hai toh mujhse pyar karta hai isliye tujhe meri itni fikar hai . (Uski aankho me ansu hote hai )

Arab,
(Arab ki bhi ankho me ansu hote hai)
Sorry yaar sufiyan meri wajah se..

Sufiyan,
Nahi teri  wajah se kuch nahi ho raha hai sab likha ja chuka hai or wahi ho raha hai or mai itna bewakoof nahi ho k iske liye tujhe zemedar samjho.

Arab uske gale lag jata hai.
Sufiyan,
Acha thik hai chal namaz padh lete hai azan bhi jone wali hi hai or dono namaz padhne k liye chale jate hai.

Yaha ariha college se ghar ati hai wo bahot thaki thaki rahti hai. Wo  apne kamre me chali jati hai.

Ariha ki ammi,
Beta a gayi tum , ao khana kha lo ready hai kha garam garam hai .

Ariha,
Nahi ammi abhi maan nahi hai thodi der aram kar k kha longi.

Uski ammi chali jati hai or sab khana kha le hai.

                            jin ka pyarजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें