Assalamualaikum,
Jin ka pyar,
Online novel by;
Chahat Akhtar Shaikh💖.Ariha,
Tumhe kya lagta hai ye sab kar k tum proof kya karna chahte ho, are agar baat hi karni thi toh mai baat toh karne ayi thi na phir ye sab kya hai q kar rahe ho tum ye sab, dekho yehi acha hoga k tum mujhe jane do.Asad,
Acha agar na jane do toh kya hoga, kya kr logi tum, Or tumhari family ki toh itni haisiyat nahi hai k wo mera kuch bigad sake, ohh acha arab uske dam par itni batein kar rahi ho.Ek baat bata do tumhe wo bas tumhare sath time pass kar raha hai tumhare jaise ladkiya uske liye koi mayne nahi rakhi, tumhe gumaye ga phirega phir chod dega.
Ariha,
Dekho tum apni limits cross kar rahe ho.Asad,
Agar yehi sab pasand tha toh mujhe bata deti mai bhi tumhe ye sab de sakta tha or plus tumse shadi bhi karta tumhe chod ta nahi.
(Asad ariha ka hath pakad k kehta, hai , mai tumse pyar karta ho or wo toh bas ameer baap ka bigda hoa beta hai or)Ariha Asad ko dhakka deti hai , bakwas band apni (Or wo darwaza pitne lagti hai koi darwaza kholo.
Asad,
(Asad ariha ka hath pakad kar usse apni taraf khichta hai)
Kya hai yaar mai tumhe apne dil ki baat bata raha ho or tum badtamizi kar rahi ho, dekho tum paise se matlab hai na phir chahe wo paise tum par arab kharche ya mai kya fark padta hai.
I love you ariha bahot pyar karta ho tumse mar jaonga tumhare bina..Ariha,
(Ariha apna hath choda kar Asad ko zordar thappad marti hai)
Door raho mujhse ghatya insan, mai toh tumhe ek acha insan samjhti thi par tum toh ek inhat hi ghatya insan ho, mujhse pyar k dawe karte ho or mere hi character parAsad,
Ye chup, bilkul chup, tumhari himmat kaise hoyi mujh pe hath uthane ki, mai yaha tumse baat kar raha ho or tum ho k akad dekha rahi ho.Ariha Asad ka ye roop dekh kar khabra jati hai or thoda piche hoti hai, or apne dil me kehti hai arab kaha ho tum uski aankho me ansu hote hai.
Asad ariha ki taraf badhta hai , gusse se apne sar par hath rakhta hai or apna sar hilane lagta hai,Nai nai yaar ariha mai aisa nahi ho tumne mujhe aisa banne par majboor kar diya hai, dekho tumse juda hone ka khayal mujhse kya kya karwa raha hai, maan jao meri baat hum shadi kar lete hai, tum jo chaho gi wo tumhare kadmo me rakh donga.
Ariha ka hath pakad kar kehta hai.
Tabhi arab waha a jata hai or piche se Asad ko pakad kar dhakka deta hai.Arab ko dekh kar Asad chok jata hai or darwaze par dekhne lagta hai.
Asad,
Ye ander kaise aya
(Wo zor se kehta hai)
gaurds gaurds kaha mar gaye sab, Asad k awaz lagte hi 10 20 gaurds darwaza khol kar ander ate hai, Asad khada hota hai, pakdo isse.Ariha arab ko dekh kar khush ho jati hai, arab ariha ko dekhta hai uski ankho me ansu hote hai or arab ko waha jo bhi hoa hota hai sab pata hota hai wo bahot gusse me hota hai uska gussa uski aankho me saaf dekha ja sakta tha,
Sare gaurds arab ki taraf badhte hai , arab apni ankho se ishara karte hai Sare k Sare log apni jagah par hi rok jate hai (pause ho jate hai) arab Asad ki taraf badhta hai arab k badhaye ek ek kadmo ki awaz itni tez hoti hai k sun kar koi bhi dar jaye Asad k samne a kar arab usse zor dar mukka muh par marta hai , Asad gir jata hai arab usse uthata hai.

आप पढ़ रहे हैं
jin ka pyar
Fantasyye kahaani hai ek Jin or insan k pyar ki , the magical journey of love , Jo k impossible Hoti hai .