Assalamualaikum,
Jin ka pyar,
Online novel by;
Chahat Akhtar Shaikh💖.Sare log apne apne ghar chale jate hai arab ko ariha se milne ka dil karta hai par wo subah ka intezar karta hai q k ariha us se naraz hai.
Sufiyan farah sath baithe hote hai.Sufiyan,
Pata hai bahot khush ho mujhe toh yakeen hi nahi jo raha hai k tum meri ho gai ho.Farah,
Ha par mujhe is rishte ko apna ne k liye time chahiye.Sufiyan,
Janta ho tumhe jitna time chahiye le lo koi baat nahi ha par is baar koi chal mat chalna Farah mai chahta ho k hum bhi ache se rahe or arab bhi. Wo bhai hai mera.Farah,
Kya matlab hai tumhara mai natak kar rahi ho chale chal rahi ho.Sufiyan,
Mera wo matlab nahi tha tum galat mat samjho.Farah,
Galat nahi sahi samajh rahi ho, tumhe yahi lagta hai na k arab jo keh raha tha sach hai.Sufiyan,
Acha maine aisa toh nahi kaha.Farah,
Pls rahne do, mujhe tumse bahas nahi karni sona hai bahut thak gayi ho neend ari hai.
(Ye keh kar Farah let jati hai sufiyan usse dekhta hai or phir wo bhi let jata hai sochte sochte usse neend a jati hai or wo so jata hai)Yaha asad zehra k pani me neend k goli mila deta hai jise pite hi wo so jati hai, or asad uske pass baith jata hai.
Sorry par jab tak mai ariha or arab ko alag nahi kar donga chain se nahi rah sakta.
(Wo bhi so jata hai)Next day,
Arab fajar ki namaz padh kar apne ammi abbu k pass ata hai, mujhe ap se kuch baat karni hai.Abba,
Kya bolo?Arab,,
Wo mujhe shadi karni hai.Abba,
Kya matlab?Arab,
Matlab mai chahta ho k ap mere sath ariha k ghar chal k shadi ki baat kare or jaldi se meri or ariha ka nikah kara de.Abba,
Acha or koi huqum?Arab,
Nahi bas kal sufiyan ka walima ho jaye phir hum chalte hai or ek hafte k ander hi nikah kara de mera.Ammi,
Par achanak q keh rahe ho tum ye sab?Arab,
Wo mai apko ghar jana k baad bata donga or ha is bare me ap kisi ko bhi nahi batana pls.Abba,
Hmm thik hai Parso chalna hai na thik hai, waise bhi mujhe tumhe sardaar bana na tha wo tum ban gaye ho ab mujhe koi problem nahi hai.Arab,
Thank you Abba ammi.
(Arab apne room me chala jata hai jao ariha se milne k liye ya nahi kahi abhi bhi naraz hoyi toh mana longa or wo gayab ho kar sidha college me a jata hai)Sardaar k ghar me,
Rahbar,
Abba us ladki ariha ko utha kar yaha le ate hai, phir Arab wahi karega jo hum kahenge.
![](https://img.wattpad.com/cover/219051840-288-k710989.jpg)
आप पढ़ रहे हैं
jin ka pyar
خيال (فانتازيا)ye kahaani hai ek Jin or insan k pyar ki , the magical journey of love , Jo k impossible Hoti hai .