JIN Ka PYAR (PART 9)

445 39 27
                                    

Assalamualaikum
Online novel by:
Chahat Akhtar shaikh 💓.

Jin Ka pyar part 9 is here
Umeed Karti ho ap logo ko meri kahani Pasand a rahi hogi ,vote or comments Kar k meri hosla afzai kare.

Farah sufiyan or Arab Ka hath pakad Kar living room me le Kar ati hai ,jaha sab log baithi hote hai ,or batein Kar rahe hote hai in teeno ko Dekh Kar Arab ki khala kehti hai ,a Gaye tum dono , mashallah Kitni Dino baad puri faimly sath hai ,kash sufiyan k Ammi abba bhi hote bahot Acha lagta ,toh sufiyan kehta hai ha wo bhi jaldi ayenge i

Or sab sath baith Kar batain Karne lagte hai,tabhi Arab Apne room me chala jata hai,Farah Uske piche jati hai .

(Farah)_. O hero uper q a Gaye sab niche hai kitna acha lagra tha ,(wo Arab Ka hath pakad Kar kehti hai) chalo niche .

Tabhi Arab uska hath hata Kar kehta hai mujhe neend Ari hai tum jao Mai thoda Aram Karna Chahta ho.

Farah ko Acha Nahi Lagta par wo chali jati hai ,jate jate wo sufiyan se milti hai sufiyan usse pochta hai,kya hoa ?toh wo usse kehti hai Kuch nai or waha se chali jati hai, sufiyan muskura Kar usse dekhta rahta hai .Arab so jata hai sufiyan Uske room me ata hai Arab ko sota Dekh Kar wo Chala jata hai .

Ariha k Ghar par ,ariha apni dadi k sath unke room me baithi hoti hai.

(Ariha ki dadi)_ beta tum thik ho na?

(Ariha)_ ji dadi.ap aisa q poch rahi hai?

(Ariha ki dadi)_ bas aise hi fikar Hoti hai tumhari isliye,

(Ariha)_ Acha ,thik hai dadi Mai Apne room me jari ho bahot neend Ari hai .

(Ariha ki dadi) _ thik h meri beti ,jao Aram Karo.

Ariha Apne kamre me ati hai wo Arab k bare me hi sochti hai k wo Kitna ache Tarah se aj usse baat Kar Raha tha ,or wo uska best friend bhi banna Chahta hai wo Arab ki sari Kahi hoyi bate Soch Kar muskurati hai ,or phir so jati hai . Or ek Baar phir ariha ko wohi khawab ata hai Jo hamesha usse ata hai ,ki wo andhere me hai koi hath usse bachane Aya par wo usse bacha nai pata or pora andhera ho jata hai ,ariha chekhti hai or uth jati hai, ariha ne pahle bhi Kai Baar ye khawab Dekha hai ,par is Baar wo Kuch jayada hi Der jati hai,or bhag Kar room se bahar a jati hai.

Or apni Ammi se lepat jati hai ,uski Ammi ghabra jati hai or ghabra Kar usse pochti hai.

(Ariha ki ammi)_ kya hoa beta tum thik toh ho na?is tarha q dar rahi ho?

(Ariha) _ wo Ammi Maine phir wohi khawab Dekha , mujhe bahot dar lagra hai. Maine pahle bhi ye khawab Dekha hai ,par aj mujhe bahot dehshat hori hai .

(Ariha ki ammi)_ koi BAAT nai beta hota hai Kabhi Kabhi insan Der jata hai tum baitho Mai tumhare liye chai lati ho .

                            jin ka pyarजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें