JIN KA PYAR (PART 54)

77 14 39
                                    

Assalamualaikum,
Jin ka pyar,
Online novel by;
Chahat Akhtar Shaikh 💖

Arab Or uske abba Or sufiyan jinnat ki duniya me ate hai pahle wo apne pore khandan me dawat dete hai phir sardaar k pass jate hai, Arab k abba jaise hi sardaar ko engagement k bare me batate hai sardaar ko bahot gussa ata hai par wo koi react nahi karte.

Sardaar,
Itni jaldi kya thi ye sab karne ki khair ab faisla kar hi chuke ho toh allah khush rakhe Arab ko, hum zarur ayenge.
(Sardaar Arab ko gale se lagate hai mubarak ho hone wale sardaar)
Lagta hai tumhari zindagi k Sare aham faisle abhi hi hone wale hai.

Arab,
Shukriya sardaar.
Mai bahot khush ho k ap log ane k liye maan gaye.

Sardaar,
Ha ana tob hai hi.

Arab k abba,
Acha toh ab hum chalte hai, apka intezaar rahega.

Sardaar,
Hmm.
(Arab log k jate hi wazir kehta hai)

Wazir,
Ap ne ha q ki sardaar ye Arab sardaar banne m qabil hi nahi hai isse ishq se fursat mile toh ye hukumat karega na.

Sardaar,
Usse hukumat karni bhi nahi hai, hukumat humari hi hogi wo sirf naam ka sardaar hoga bas char din or phir usse apne kabi me kar k usse apna gulam bana longa.

Wazir,
Ji ap ne socha hai toh sahi hi hoga.

Yaha ariha k ghar wale or sana bhi unke sath hoti hai shoping kar rahe hote hai sab bahot khush hote hai.
Sham ho jati hai ariha ki dadi ammi Arab k bari ka saman tayar kar rahe hote hai unhe kal bari le kar jana hota hai, sab kuch bahot hi acha hota hai.

Yaha farah ko ye sab dekh kar bahot gussa ata hai, uska maan karta hai k wo ariha ko jaan se maar de par uska bas nahi chalta, wo apne room me jati hai or asad ko ek unknown no se call karti hai, or usse batati hai k Arab or ariha ki engagement me hone wali hai Monday ko asad ko uski baat par yakeen nahi hota wo usse pochta hai k wo kon hai farah koi jawab nahi deti or call disconnect kar deti hai.

Next day Asad ariha k ghar jata hai uske ghar ko sajaya ja raha hota hai sab kam me magan hote hai Asad ghar me jata hai ariha k abba usse baitha te hai batein karne lagte hai.

Asad,
Wo mai pass hotel me meeting k liye aya tha, socha ap se mil lo but yaha toh bahot Tayyariya  ho rahi hai jaise kisi ki shadi hi.

Ariha k abba,
Ha beta ariha ki engagement hai kal bas ussi ki tayari ho rahi hai.

Asad,
Ariha ki
Acha apne mujhe bataya nahi uncle, koi baat nahi agar mere layek koi kaam ho toh zarur batana. Waise apne ab tak mujhe invite nahi kiya.

Ariha k abba,
Wo wo mai bas abhi cards le kar ja hi raha tha sabko invite karne k liye.

Asad,
Ohh acha, toh ap mera card mujhe hi de de is tarah apka ek kaam kam ho jaye ga.

Ariha k abba,
Hmm thik hai, (wo ek card par Asad k naam likh k usse de dete hai)

Asad,
Ok uncle mai chalta ho ab waise bhi apko bahot kam hai. Or mai zarur aaonga kal engagement me.

                            jin ka pyarजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें