JIN KA PYAR (PART 42)

165 20 46
                                        

Assalamualaikum
Jin ka pyar,
Online novel by;
Chahat Akhtar shaikh💖.

Farah Arab ki baat sun kar waha se chali jati hai or apne ghar par a jati hai uski abba usse jate hoye dekhte hai unhe uski fikar hone lagti hai k akhir wo itne gusse me yaha se q gayi.

Arab sari baat sufiyan ko batata hai uski khushi ka koi thikana hi nahi hota hai usse aisa lagta hai k iske baad uski or koi khuwaish hi nahi hai. Sufiyan bhi usse dekh kar khush hota hai.

Sufiyan,
Acha toh aram kar mai chalta ho baad me aonga.

Arab,
Ha thik hai.

Sufiyan chala jata hai, Arab apne bad par baitha hota hai.
Arab,
Ammi kaha hai unhe bhi batana hai ye khushi ki khabar wo uth kar apni ammi k room ki taraf jata hai.

Arab,
Ammi ammi meri pyari ammi.
(Wo ja kar apni ammi k kadmo me baith jata hai)

Ammi,
Mashallah
kya baat baat hai jo mera beta aj itna khush hai.

Arab,
Wahi toh batane aya ho, ammi apko pata hai jis pal ka intezar mai itne waqt se kar raha tha wo pal a gay ammi ariha ne keh diya k wo mujhse pyar karti hai.
(Wo zor se kehta hai)

Ammi,
(Wo muskurati hai) dhere kaho kahi kisi ne sun liye toh acha nahi hoga.
Ye toh bahot achi khabar hai. Toh ab kya karna hai Arab.

Arab,
Matlab?

Ammi,
Matlab ab tak toh tum ariha ko mana rahe the usse tumne mana bhi liya par ab yaha k logo ko kaise manao ge or abba ko?

Arab,
(Wo soch me pad jata hai or ek gahri saas leta hai)
Ahhh ammi maine faisla le liya hai mai wapas ja raha ho or mai waha raha kar hi sochonga k kya karna hai.

Or mujhe koi fark nahi padta k ye log mante hai ya nahi bas abba ki baat hai toh mai unhe mana longa.

Ammi,
Acha tumhe ye sab itna asan lag raha hai?

Arab,
Nahi ammi mujhe ye jo ho raha hai kabhi bhi asan nahi laga or mai apni marzi se ariha k pyar me nahi pada ho, or na hi mai apni marzi se usse dor ho sakta ho.
Mujhe aisa lagta hai jaise khuda ne uske sath meri saase jud di hai uske bina khud ka tassavvor bhi mujhe bejaan lagta hai dam gutne lagta hai mera.
Mujhe har haal me wo chahiye.

Ammi,
(Arab ka haal dekh kar kehti hai)
Beta ek baat hamesha yaad rakhna ye jitne bhi makhloq hai na is duniya me insan, jin or bhi allah har kisi ko azmata hai, har tarah se azmata hai, kabhi le kar toh kabhi de kar.
Phir ye kaise mumkin hai k jis ko behad chaho us par apki azmaish na ho wo apko asani se faraham kar di jaye.
Tumhe himmat rakhni hai, Or sahi rasta par chal kar hi ariha ko apna banana hai.
Abhi toh bas pahla or sabse asan padhao paar kiya hai tumne ab jo mushkilat ayengi uska samna karna mushkil hai toh tumhe khud par or khuda par yakeen rakh kar sab kaam karne hai.

Arab,
Ji ammi.
Ap abba se baat kar le k mujhe jald se jald wapas jana hai.

Ammi,
Ha mai baat karti ho tum fikar mat karo.

                            jin ka pyarजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें