"Aapka kamra is taraf hai, neeche," Aalok Bela ko raasta dikhate hue kehta hai.
"Neeche? Basement mein? Dhoop to aati hai na wahan?"
"Neeche basement nahi hai, Bela ma'am-"
"Ek to aap hamein 'ma'am' mat kahiye. Bela naam hai hamara. Bela Narayan from Banaras."
"Theek hai, Bela ji. Bas yahan se chaar seedhi neeche utar jaane par guest rooms hain. Baaki log bhi yahin ruke hain. Aur chinta mat kariye, bohot dhoop aati hai wahan. Corridor ke end mein garden bhi hai."
"Kitna achha ghar hai aapka- hamara matkab hai, Kunal ka."
"Yeh aapka kamra hai. Is room mein Kunal sir ki wedding planner bhi rukengi. Aapko kisi bhi cheez ki jaroorat ho to mujhe bula lijiyega." Aalok wahan se chala jaata hai.
Bela apne kamre ke andar jaati hai aur apna saman wahan dekhti hai. "Wah, Aalok bhaiya, aap hamara samaan le bhi aaye."
Bathroom ka darwaja khulta hai aur Shaivi andar se nikalti hai.
"Aap? Aap yahan kya kar rahi hain? Aap mera peechha karte karte yahan bhi aa gayin?"
"Tum sun bhi rahi tum kya bol rahi ho? Tumko lagta hai ki Mehrotra Mansion jaise bade ghar mein koi bhi kisi ka peechha karte karte andar ghus jayega? Aur duniya tumhare ird- gird nahi ghoomti hai. Itni bhi badi insaan nahi ho."
"Par aap dekhiyega, main bohot badi insaan bankar dikhaungi. Phir aapki himmat nahi hogi meri aur meri Chachi ji ki bejjati karne ki."
"Pehle khud to badi ho jao, baad mein badi insaan banna."
"Dekhiye, aap mujhe chhota mat aakiye. Bhale hi main aapee chhoti hoon umar mein aur aap mujhse bohot badi lagti hain, lekin kaam ke mamle mein main aapse kam nahi hoon. Kya pata main aapse zyada achhi hoon? Aaj- kal ke logon ko kya pasand hai mujhe pata hoga, aakhir main bhi aaj ki hi hoon na."
"Tum mujhe budhi keh rahi ho?" Bela gussa hote hue bolti hai.
"Aunty ji, aap khud hi mujhe chhoti chhoti kehte rehti hain. Main 22 saal ki hoon. Agar aap aise bol rahi hain to yani aap mujhse kafi badi hongi, aur aise logon ko hamare desh mein commonly aunty hi kehte hain."
"Tum hame aunty kaise-"
"Bela di! Aap andar hain kya?" Aarohi ki aawaz aati hai bahar se.
"Haan, ham andar hain. Aaye." Bela Shaivi ki ore dekhti hai gusse se. "Ham tumhe baad mein dekh lenge. Aur haan, ham budhe nahi hain, hamari shaadi bhi nahi hui hai abhi tak."
Bela jaise hi room se nikalti hai, Shaivi apni hasi aur rok nahi paati. Aap to senti ho gayi, aunty ji.
"Haan, boliye Aarohi ji."
"Aap mujhe Aarohi ji mat boliye. Budhon walj feeling aati hai."
Andar hasne ki aawaz tez ho jati hai. Lagta hai wo ladki hamari baat sun rahi hai. " Aap mujhe sirf Aarohi bulaiye. Aur 'tum' chalega."
"Achha, theek hai. Bolo, kya kaam tha?"
"Do mahinon mein meri shaadi hai aur main bohot excited hoon. Kitni saari baatein karni hain aapse. Aap free hain kya?"
"Haan, ham free-"
"Aarohi, main janta hoon tu bohot excited hai par unhe aram to karne de. Abhi aayi hai bechari, thak gayi hogi."
"Point hai teri baat mein. Bela di, main aapko shaam mein milun?"
"Theek hai."
"Perfect. Take rest, Bela di."
YOU ARE READING
Uljhe Dor (The Mehrotras book 1)
RomanceThe Mehrotras series: Book 1: Uljhe Dor Book 2: Ulajhte Dil Yeh kahani teen bhaiyon, Mehrotra pariwar ke vaaris Kunal, Anshuman aur Veer ki hai. Kunal bhale hi dono ka cousin hai, lekin teeno ke beech pyaar sage bhaiyon se bhi badhkar hai. Inki zind...