Jab dono ki aankh khulti hai, tab subah ho chuki hoti hai. Shaivi bahar jaa kar dekhti hai.
Shaivi Veer ko hilati hai use uthane ke liye. "Veer, subah ho chuki hai aur baarish bhi band ho gayi."
Veer chauk ke uthta hai. "Kya hua?"
"Kuchh nahi, baarish band ho gayi. Nikalte hain yahan se."
"Yaar, thodi der sone deti. Aur aise kaun uthata hai?"
"Apne ghar jaakar apne comfortable bed par so jaana. Filhaal, isse pehle ki koi yahan aa jaye, ham dono yahan se chalte hain."
"Chalo, main tumhe station chhod doon."
"Ab koi fayeda nahi hai. Waise bhi, Lucknow ki train hafte mein teen din hi chalti hai aur agli train do din baad hai."
"To main tumhe ghar chhod doon?"
"Theek hai."
Shaivi aur Veer bike tak chal kar jaate hain. Raaste mein Shaivi ko apna toota par kaam kar raha phone aur apna baksa milta hai. "Mere gehne le gaye. Lekin saare nakli the. Buddhu ban gaye wo log."
"Meri bike!" Veer chillata hai.
"Kya hua tumhari bike ko?"
"Keechad lag gaya." Veer dukhi hokar bolta hai.
"Bas? Mujhe laga tire puncture ho gayi ya chori ho gayi."
"'Bas'? How insensitive of you, Shaivi. Meri pyaari bike par keechad lag gaya aur tum 'bas' keh rahi ho. This is why I hate bloody monsoon. Tumhe andaaza bhi nahi hai is mehengi bike ko khareedne ke liye kitna mehnat karna pada tha mujhe. Bohot papad belne ke baad Bhaiya jakar maane the. Kunal bhaiya to jaldi maan bhi jaate, lekin us Ansh ne Kunal ko maanne nahi diya."
"Kitne bade dramebaaz ho tum, Veer. Baad mein ro lena, pehle yahan se chalo isse pehle ki wo gunde log wapas aa jaye."
Veer Shaivi ko wapas uske Chachi ke ghar le jaata hai. Wo use bike se utarne mein help kar raha hota hai jab uski Chachi unhe dekh leti hai.
"Shaivi, tu to Lucknow ja rahi thi, phir raat bhar kahan gulchharrey uda kar aa rahi hai?"
"Chachi..."
"Huliya dekh apni, nirlaj kahin ki." Kaamini pehle Veer ko dekhti hai, jiske kapde phat gaye hain aur keechad ki wajah se gande bhi ho gaye hain, phir Kaamini Veer ki bike ko dekhti hai. "Yeh bheekari kaun hai aur kiski bike chori kar li tumne?" Kaamini apna matha thokti hai. "Iske baap ne pehle se hi khaandaan ka naak katwa ke rakha hai, khud to chal diye lekin apni kartoot mere seene par bojh banne ke liye chhod gaye taaki yeh hamara muh kaala kar sake."
"Bas, aunty. Yeh kya bakwas kar rahi ho aap? Apni hi niece ke baare mein aise kaise bol sakte ho aap?"
"Nice hoti to mujhe bolna hi nahi padta, lekin yeh chhokri bilkul bhi nice nahi hai, besharam, behaya."
"Bhatiji, aap apni bhatiji ke baare mein aise kaise bol sakte ho? Aur Shaivi nice bhi hai, lekin aapko dekhkar nahi lagta aap nice ho."
"Tujhe itni pasand hai to rakh le ise, waise bhi mere seene par baithkar naachte rehti hai."
Kaamini ke bagal mein ek aurat kehti hai, "Lagta hai Narayan Sahab ki beti dengue ki tarah apne harkat ise bhi laga di. Ek din hua nahi ki ek aur ladki aisi nikli."
"Is liye ladkiyon ko jyada padha likha kar sir par nahi chadhana chaahiye," Dusri aurat kehti hai, "Bahar jaa kar aashiqi karne ke alawa kuchh nahi seekhti hai."
"Aap log kaise insaan ho, yaar?" Veer ko gussa aane lagta hai. "Ek aurat ho kar dusri aurat par aise gande gande ilzaam laga rahe ho. Ise kitni chot aayi hai, iski halat dekhiye. Iska haal puchhne ke bajaye aap log ispar ungli utha rahe hain. Agar aap iska haal nahi puchh kaste, kuchh achha nahi keh sakte hain to iska raasta rokne ki jagah apni gardan mod kar chalte baniye."
YOU ARE READING
Uljhe Dor (The Mehrotras book 1)
RomanceThe Mehrotras series: Book 1: Uljhe Dor Book 2: Ulajhte Dil Yeh kahani teen bhaiyon, Mehrotra pariwar ke vaaris Kunal, Anshuman aur Veer ki hai. Kunal bhale hi dono ka cousin hai, lekin teeno ke beech pyaar sage bhaiyon se bhi badhkar hai. Inki zind...