"Aalok bhaiya, Sonia Aunty ka kamra kahan hoga?"
"Idhar se second right aur left mein pehla room."
"Achha, thank you bhaiya."
Second right aur left mein-
"Shaivi, pandit ji ka number hai kya? Jia ma'am ne bola tumhare paas hai."
"Pandit ji ko roka mein nahi, sagai mein bulana hai." Neha sir hilakar chali jati hai.
Haan, second left aur phir right mein pehla kamra, got it.
Shaivi darwaza khat- khatati hai aur andar chali jati hai.
"Aalok, mera juice le aaye? Itna der kyu- tum yahan kya kar rahi ho?"
"Tum ye sawal har baar puchhte ho, thak nahi jaate? Main Sonia Aunty ko dhoondh rahi hoon."
"Achha, ab jhooth bol rahi ho. Sonia Aunty- mera matlab Badi Ma ka kamra to dusre corridor mein hai. Log galti se galat kamre mein ghus jaate hain, tum to galat corridor mein hi ghus gayi. Kaise man loon main ki tum mere kamre mein nahi aana chahti thi? Sach batao, kis liye aayi ho? Kuchh churane aayi ho?"
Churana to tumhara dil chahti thi, par jabse pata chala hai ki tum hi wo bike wale insaan ho, maine wo khayal badal diya hai. "Ajeeb insan ho. Na mujhe theek se jante ho na pehchante ho, lekin mujhe judge kar rahe ho. Trust issues hai kya? Chakkar kya hai? Jab se aayi hoon tum mere pichhe pad gaye ho. Bigada kya hai maine tumhara?" Veer gussa hone lagta hai Shaivi ki baat sunkar. Shaivi lambi saans leti hai. "Dekho, main chor nahi hoon. Main tumhare bhaiya ki shaadi karwane aayi hoon."
"Kaise yakeen kar loon? Jaisa tumne kaha, main tumhe janta- pehchanta nahi hoon. Tum ek stranger ho aur stranger pe vishwas kaise kar loon?"
"To mat karo. Tum us kone mein jakar shak karo, main chali Sonia Aunty ko dhoondhne."
"Veer! Veer, tum andar ho?" Veer ke kamre ka darwaza khulta hai aur Maya, Anshuman aur Veer ki ma, andar aati hai.
"Veer, dekho main tumhare liye kya layi hoon."
"Mummy! Aap wapas kab aayin? Nani kaisi hain ab?" Veer apni ma ko gale lagata hai.
"Abhi kuchh der pehle hi aayi. Fresh hote hi tumse milne aa gayi kyunki tumhe to yaad nahi rahega ki aaj main wapas aane wali hoon. Nani ab thik hai, she's better."
Maya Shaivi ki ore dekhti hai. Shaivi bolti hai, "Hello, Aunty. Main Shaivi hoon, Kunal bhaiya ki wedding planner. Galat room mein aa gayi thi to bas Sir se puchh rahi thi Sonia Aunty ka room kahan hai."
Achha, mummy ke saamne 'Sir' ho gaya. Akele mein kahan jata hai yeh respect?
Aunty ki respect karti hoon is liye tumhari kar rahi hoon. Warna main tumhe 'Sir' kabhi na bulaun.
"Bhabhi ka room corridor se right side mein hai."
"Thank you, Aunty."
Shaivi wahan se chali jati hai. "Mummy, ab mera gift?"
"Tumhe to sirf gift ki padi rehti hai." Room ke darwaze pe knock hota hai. "Girish, kya hua?"
"Dadi sab ko neeche bula rahi hain, Aarohi ma'am ke roka ke bare mein baat karne."
"Abhi? Theek hai, ham sab aate hain."
---☆---
Pata nahi Rachna ma'am kahan chali gayi. Subah se nahi dikh rahi hai. Ham call kar ke dekh lete hain. "Ma'am, Aarohi Mehrotra ke roke ke baare mein baat hone wali hai. Aap kahan hain?"
YOU ARE READING
Uljhe Dor (The Mehrotras book 1)
RomansaThe Mehrotras series: Book 1: Uljhe Dor Book 2: Ulajhte Dil Yeh kahani teen bhaiyon, Mehrotra pariwar ke vaaris Kunal, Anshuman aur Veer ki hai. Kunal bhale hi dono ka cousin hai, lekin teeno ke beech pyaar sage bhaiyon se bhi badhkar hai. Inki zind...