"Hamein lagta hai hamein Dadi se baat karna chaahiye. Wo hamari baat sunengi aur samjhengi. Ek galat chaal aur sab chaupat ho jayega."
"What 'chaal' and 'chaupat'? You make sound as if ham Dadi ke TV serials ki evil bahu hain jo sab ko jaan se maarna chaahti hain."
"Ab move ko hindi mein chaal hi kahenge. Tum wo chhodo, yojna par dhyaan do. Hamein pura bharosa nahi hai hamare yojna ka dhancha majboot hai. Agar Dadi ne bhi Kunal ki tarah hamein mana kar diya to?"
"Dhancha?"
"Bhabhi, base, plan ka base," Shaivi kehti hai.
"Nahi. Dadi bohot chill hain. Unke liye apni family se bada kuchh nahi hai aur unka ego beech mein nahi aayega jaisa Anshuman ka aata hai. In fact, I think agar main Mom se baat karun to wo samjhengi."
"Mujhe lagta hai sab ko yeh samjhana thoda mushkil hoga, Bhabhi. Jab Bela Bhabhi ko Bade Bhaiya ne ghar se haldi wale din nikaal diya tha, us din unhe jo laga tha wo baat unhone sab ko bata diya tha. Uske baad Bade Bhaiya ne baaki sab ko nahi bataya ki unhe galat fehmi hui thi. Aur us samay Badi Maa Bhabhi ko bilkul pasand nahi karti thi. Ab agar Badi Maa ko batayange to vishwaas shayad na ho."
"To ham Chhoti Maa se baat kar sakte hain."
"Sach kahun to mujhe nahi lagta hai. Wo ham sab ki saas hai aur pata nahi yeh mare man mein hai ya aisa sach mein kuchh hai, lekin unhe bohot manana padega ya apne aap ko prove karna padega hamein accept karne ke liye."
"Dadi is the most chill and open minded literally pure ghar mein. We should stick to her," Maan kehti hai.
"Ganga Maiyya kare tum jaisa keh rahi ho, waisa hi ho. Kab baat karna chaahiye Dadi se?"
"After function? Abhi Dadi already ready ho kar baaki sabke saath hongi, final deco dekh rahi hongi. Baad mein wo free hongi, tab baat kar lenge."
"Ya unke sone se pehle unke kamre mein jaakar baat kar lenge," Shaivi suggest karti hai.
"Yeah. Teeno bhai Aarohi ke room mein honge us samay. Most likely unki moms bhi wahin hongi. Waise bhi, ab function mein jyada time nahi hai aur hamein ready hona bhi baaki hai. Achha hua maine Mom ko makeup artist bulwane se mana kar diya. Pata nahi kitna unhygienic hote honge unke products. Aur apna makeup mujhse better koi nahi kar sakta hai."
---☆---
"Shaivi, do (2) minute hain tumhare paas?"
"Uh... kuchh kaam tha Bade Bhaiya? Mujhe Badi Maa aur Dadi bula rahi hain."
"Jyada samay nahi lagega. Tumse kuchh puchhhna tha."
"Puchhiye."
"Bela aur Maan ke beech kya khichdi pak rahi hai?"
"Kya?"
"Dono ajeeb behave kar rahe hain. Dono jhagadte rehte the, phir ab achanak ek saath itne pyaar se bartaav kaise karne lagein? Saath mein ghoomne bhi gaye aaj."
"Bade Bhaiya, kahan dono pyaar se baat kar rahe hain? Veer bata raha tha aapne aaj phone par suna tha kaise dono lad rahe the. Aur Maan Bhabhi ko kuchh kaam tha is liye wo nikal rahi thi. Mujhe aur Bela Bhabhi ko jaana hi tha, socha wo hamein raaste mein chhod dengi aur wapsi mein hamein le lengi. Itne kaam the, haldi ki rasm thi, is liye jaldi jaana pada. Waise, maine socha nahi tha mujhe aisi safai deni padegi apne sasural mein."
"Nahi, main tumse koi safai nahi maang raha hoon, galat mat samjho mujhe. Mujhe 'Bade Bhaiya' kehti ho, kya main bada bhai ke naate tumse baat nahi kar sakta hoon?"
YOU ARE READING
Uljhe Dor (The Mehrotras book 1)
RomanceThe Mehrotras series: Book 1: Uljhe Dor Book 2: Ulajhte Dil Yeh kahani teen bhaiyon, Mehrotra pariwar ke vaaris Kunal, Anshuman aur Veer ki hai. Kunal bhale hi dono ka cousin hai, lekin teeno ke beech pyaar sage bhaiyon se bhi badhkar hai. Inki zind...