44. Mission 'Shaadi Roko' Shuru!

39 6 3
                                    

A/N:

This is the longest chapter with 4200+ words. Last week update nahi kar payi thi to is chapter mein saari kasar nikaal di. Enjoy!

Love,
SilverStar

--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------

Kuchh din baad...

  Bela Kunal ke kamre mein khidki ke paas baith kar dhalte suraj ki dhimi kirno mein apne khayalon mein doobi hoti hai.

  Kamre ka darwaja khulta hai, lekin Bela ko pata nahi chalta hai. Jab batti jalti hai to Bela hosh mein aati hai aur darwaje ki ore dekhti hai. "Kunal?"

  Kunal Bela ke saamne aakar baith jaata hai. "Main jaanta hoon aaj ka din tumhare liye easy nahi raha hoga. Aur ham dono ke beech bohot kuchh hai, bohot gussa, bohot misunderstandings. Lekin, I think hamein un sab cheezon ko side mein rakh dein.

  Tum mujhe blame karti ho apne Papa ki halat ke liye, aur main tumhe mujhe maaf karne nahi bol raha hoon. But I want you to know, main kabhi unhe ya kisi aur ko hurt nahi karna chaahta tha. Main sirf apni family ko protect karna chaahta tha aur main wahi kar raha tha. And now, no matter what you say, lekin ab tum meri family ho aur main tumhe protect karunga, apni jaan laga kar. Aur yeh ek aisa line hai jise main lightly nahi leta hoon. Aaj se pehle mujhe yeh baat kisi ko kehne ki jaroorat nahi padi, sab jaante hain, lekin tumhara aana mujhe force kar raha hai mujhe tumhe yeh baat prove karne par. Lekin, I'm not complaining. Tum mujhe jaanti nahi ho, abhi trust nahi karti ho. But, I will never give you a reason to not trust me."

  Hamein nahi lagta aap hampar abhi bhi bharosa karte hain. Agar ham aaj phir se wo baat kahenge jo ham sangeet ki raat se kehte aa rahe hain, aap aaj bhi hamari baat nahi par yakeen nahi karenge. Is liye hamein aapke peeth ke pichhe jaakar Maan aur Shaivi ke saath hi shaadi rokna hoga. Aap chaahe koyi bhi dawa kar lein, lekin aapse dekha nahi jayega koi aur sahi hai  aur aap galat hain. Lekin jab aapko sach pata chalega, to shayad bohot der ho chuki hogi. Ham sirf aapko hi nahi, pure ghar ki madad kar rahe hain.

  "Kunal, aap hampar bharosa nahi karte hain, aur jab bharosa hi nahi hai to aap hamein kya bachayenge?" Balki aap hamein aur musibat mein dhakel rahe hain.

  "Tumhare Papa ko maine promise kiya tha, Bela, aur Kunal Mehrotra kabhi apna promise nahi todta hai. Never. Mujhe us promise ko honour karne ke liye jo bhi karna padega, main karunga. Any-goddamn-thing." Dono shaant ho jaate hain, lekin man mein, dono ke hi, toofaan uth raha hai.

  Bela dheemi aawaj mein bolti hai, "Aap kya chaahte hain, ham kya karein?"

  "Kya?"

  "Ham kya karein, Kunal? Ham jab aapko dekhte hain hamein yahi yaad aata hai kaise aapne hamein sab ke saamne jaleel kiya," Bela ka bhadaas nikal jaata hai. "Ek baar nahi, do baar. Do baar aapne hamein is ghar se nikaal diya, unmein se ek baar kyunki aap hamse shaadi ke bandhan mein nahi rehna chaahte the. Phir aapko jab apna matlab dikha to aap hamein jabardasti, kheech kar wapas le aaye. Aap jo bhi karte hain apne matlab ke liye karte hain. To aap hamein kyun bachayenge? Kisse? Aur hamein aapse kaun bachayega?" Bela bifar padti hai.

  "Bela, is duniya mein selfless hokar dusron ka koi nahi sochta hai. This is the real world jahan acche logon ki koi jagah nahi hai, aur yeh main tumhare liye keh raha hoon. Sab apna apna sochte hain aur maine bhi apna, apne pariwaar ka socha. I know maine jo kiya wo bohot extreme tha aur main better tareeke se, calm way mein kar sakta tha. Us cheez ke liye main guitly hoon aur mujhe regret rahega. Is liye maine tumhse maafi bhi maang li thi."

  "Ek minute, aapne kab hamse maafi maangi?"

  "Maangi to thi. Maine tumhe naya phone diya."

  "Sadak par chalta insaan bhi agar phone tod de to use paise dena chaahiye, aapne wahi kiya. Aapne maafi nahi maangi."

Uljhe Dor (The Mehrotras book 1)Where stories live. Discover now