48. Bela's Confrontation

24 7 0
                                    

  Agle din, jab Kunal apne kamre ka darwaja kholta hai to Bela pehle se hi tayyar hoti hai. Wo kamre se chali jaati hai, bina Kunal ki ore dekhe, Maan ki khoj mein. Use apne kamre se nikalta hua Veer dikhta hai.

  "Bhabhi, good morning," Veer kehta hai, lekin uska chehra utra hua hota hai.

  "Kya hua, Veer? Aise kyun dikh rahe ho?"

  "Kaisa, Bhabhi? Main to hamesha achha lagta hoon."

  "Asie lag rahe ho jaise theek se soye nahi. Kya hua? Behen aaj sasural chali jayegi, yahi soch kar neend nahi aayi?"

  "Haan, Bhabhi, aisa hi kuchh samajh lijiye." Veer raat bhar Shaivi ki baaton ke baare mein sochta raha. Use yeh soch pareshaan karne lagi ki kahin sach mein Adhij Aarohi ke liye bura hua to? "Aapko kya hua? Aap bhi khush nahi lag rahi ho jaise ek bhabhi ko apni nanad ki shaadi mein hona chaahiye. In fact, aap gusse mein lag rahi ho."

  Bela batane wali hoti hai Veer ko lekin ruk jaati hai. Ham Veer se uske bhai ki shikayat kaise kar sakte hain? Yeh hamare aur Kunal ke beech ki baat hai. Aur hamein to pata bhi nahi hai Kunal ne Veer ko bataya bhi hoga ya nahi. "Kuchh nahi. Tum to jaante hi ho shaadi ke kitne kaam hain, aur samay kitna kam. Bas usi ko lekar pareshaan the. Ab ham shaant to tab hi honge jab yeh raat beet jaye."

  "Bhabhi, aapse ek baat puchun?"

  "Haan, puchho."

  "Kya aapko sach mein, matlab 100% lagta hai Adhij Aarohi ke liye sahi nahi hai?"

  "Kunal ne tumhe bata diya?"

  "Haan, Bhabhi. Ham teeno ke beech kabhi koi secret nahi hota hai. Mujhe to lagta hai shayad is liye aap bhi meri tarah so nahi payi hogi, Bhaiya ko Maan Bhabhi ne sab bata diya hai na. Kya aapko sach mein lagta hai Adhij achha nahi hai?"

  "Ek minute, kya kaha tumne? Maan ne Kunal ko bataya?"

  "Haan."

  "Tabhi ham soche Kunal ko kaise pata laga. Hamein to sandeh hone laga tha ki kahin raat ko hamare kamre ke bahar darbaan ki tarah khade hokar hamari baatein to nahi sunte the. Hamein pehle pata hona chaahiye tha Maan bharose ke layak nahi hai. Hamne uske boyfriend se shaadi ki hai, to wo hamara saath kyun degi, wo bhi apne bhai ke khilaaf jaakar. Aur Shaivi, use pata nahi hamse kya dushmani hai. Pichhli baar bhi hamein gaccha de gayi thi, is baar kya badal jaata? Ham hi baklol hain jo sab par bharosa karte phirte hain."

  "Kya de gayi?"

  "Gaccha. Dhokha de gayi. Kunal se to hamein umeed hi nahi thi. Lekin hamein laga ki sab kuchh dekhne ke baad Maan aur Shaivi ko pata hoga Adhij kaisa insaan hai. Pata nahi kisi ko samajh kyun nahi aata hai ki Adhij Aarohi ke liye sahi nahi hai. Aarohi khush nahi rahegi uske saath. Uski jindagi mein bhaukaal mach jayega aur phir koi kuchh nahi kar payega, na tumhare bhai ki taad ke ped par chadhi ahankaar aur na unke paise."

  Kya Bhabhi dono ke compatibility ko lekar pareshaan hai? That makes sense. Unhe lagta hai Adhij Aarohi ko khush nahi rakh payega kyunki dono compatible nahi hain. "Aap aisa is liye keh rahi ho, Bhabhi, kyunki aapne un dono ko shaadi ke kaaran saath mein nahi dekha hai. Bachpan se dono ek dusre ka saath rahe hain, dono same age ke hain na. Kabhi hamare saath nahi khelte the. Hamesha saath khelte the, saath khaate the, saath school jaate the, sleepovers karte the. Sab kuchh saath mein. Ham sab ko bachpan se hi pata tha dono shaadi karenge ek din. Shayad is liye aapko unhe dekh kar nahi lagta hai dono pati-patni jaise hain, kyunki un dono ki dosti hi itni jyada hai. Lekin Bhabhi, main kehta hoon shaadi mein pyaar se jyada dosti honi chaahiye, kyunki wo dosti hi aapko comfort deti hai relationship mein. Aap chinta mat karo, sab sahi hi hoga."

  Veer, jo ab relaxed feel kar raha hai, wahan se chala jaata hai aur usi samay use Maan dikhti hai, guest room se Anshuman ke room ki taraf jaate hue.

Uljhe Dor (The Mehrotras book 1)Where stories live. Discover now