6. Sorry ka Chakkar

100 5 3
                                    

  Veer apne bed pe letkar gehri soch mein tha. Shaivi ki baatein uske man mein ghoom rahi thi.

  "Ajeeb insan ho. Na mujhe theek se jante ho na pehchante ho, lekin mujhe judge kar rahe ho."

  "Jab se aayi hoon tum mere pichhe pad gaye ho. Bigada kya hai maine tumhara?"

  Lagta hai main usse kuchh zyada hi harsh ho gaya. Stranger pe trust nahi kar sakta, par bina baat ka shak bhi nahi karna chahiye tha mujhe. Abhi mila hoon usse, usne mujhe koi wajah nahi di hai uspe shak karne ki.

  "Kya baat hai, Veer?"

  "Ansh, knock karke nahi aa sakte ho?"

  "Tu apne khayalon mein itna dooba hua tha ki tu knock suna nahi. Kya soch raha tha?"

  "Kuchh nahi, Ansh. Bas aise hi."

  "Veer, apne bhai ko nahi batayega? Kunal ko bulaun? Wo tujhse baat nikalwaega."

  "Kunal ko yaad kiya?" Kunal apne usual attire, three piece suit, mein darwaze pe ek trey pakde hue khada ha.

  "Kya laye ho, Bhaiya?" Veer seedhe baith jata hai.

  "Hot chocolate, mom ham teeno ke liye banayi hain. Ab bata kya soch raha tha."

  "Waise to main meetha nahi khata, par hot chocolate is always an exception."

  "Veer," Kunal aur Ansh saath mein bolte hain. "Koi baat hai jo tujhe pareshan kar rahi hai. Ham tere bhai hain, tu hamse nahi share karega to kisse karega?"

  "Arrey kuchh nahi, bas Shaivi-"

  "Shaivi," Ansh aur Kunal ek dusre ko dekhte hain. "Aaj- kal ye naam bohot sunne ko milta hai, nahi Kunal?"

  "Bas karo aap dono."

  "Achha, bata kya hua."

  "Bhaiyas, mujhe lagta hai main Shaivi ke saath thoda zyada harsh ho gaya tha. Main use theek se janta bhi nahi hoon."

  "To sorry bol de," Kunal apna hot chocolate peete hue bolta hai.

"Yeh aap keh rahe ho? Aapne kabhi zindagi mein sorry bola hai?"

"Kunal apni family ko chhod ke kisi ko sorry nahi bolta, kyunki Kunal Mehrotra kabhi galat nahi hota."

"Family ko chhodkar? Kiski family, Kunal? Tu family mein bhi kisi ko sorry nahi bolta."

"Ansh sahi keh raha hai Bhaiya. Us din aapne gusse mein mera play station tod diya aur sorry bhi nahi bole. Pata hai mujhe papa ko kitna manana pada dusra lene ke liye? Aapko jab gussa aata hai to aap dekhte nahi, seedha todte ho phir chahe wo glass ho, TV ho ya kisi ka phone ho. Agar aapke samne koi insaan aa jaye to aap uska sir tod do."

"Okay, okay. I get it. Baat yahan tumhari ho rahi hai."

"Dekh Veer, galatiyan sabse hoti hai par uska ahsaas hona chahiya, aur jab ahsaas ho to galati sudhar lena chahiye. Tujhe ahsaas ho gaya, tu janta hai tu galat tha to ab mafi bhi mang le."

"Lekin ek aur problem hai."

"Kya?" Kunal puchhta hai.

"Maine kabhi kisi se mafi nahi mangi hai."

"What? Yeh kaisa problem hai?" Kunal puchhta hai.

"Yeh Kunal Mehrotra ke bhai ka problem hai," Ansh bolta hai.

"Tu to aise bol raha hai jaise tu mafi mangne mein mahir hai. Tune Radhika se mafi mangi?"

"Haan, to main bhi tera hi bhai hoon."

Uljhe Dor (The Mehrotras book 1)Where stories live. Discover now