Aarohi aur Adhij ki anguthi hamne apne kamre mein rakhi thi. Jaldi se le aate hain. Agar ham der ho gaye to Kunal hamare sir par tandav karenge.
"Bela!"
Shaitan ka naam liya aur shaktan hazir hai. "Kunal? Aap yahan kya kar rahe hain? Aapko neeche hona chahiye, mehmano ke saath." Bela pichhe mudti hai, haath mein bhaari catalogues pakde hue.
"Subah meri baat puri nahi hui thi."
"Dekhiye Kuanl, aur daatna baki reh gaya hai to rehne dijiye, ham samajh gaye. Ham jante hain ki aap nahi chahte hain ki ham Ansh aur Veer se us baare mein baat karein. Ham aisi koshish nahi karenge dobara, kisi bhi sadasya ko nahi bataenge."
"Ruko! Ek baar shuru karti ho to rukne ka naam hi nahi leti ho, bas train ki tarah chalte jati ho. Maine kuchh kaha bhi nahi lekin tumne maan liya ki main tumhe daatne wala hoon."
"To ismein hamari kya galti hai? Aap jab hamein dekhte hain to hamein daatne lagte hain."
"Main bina reason ke nahi daat-ta hoon. Tum hamesha problems create karte rehti ho."
"Haan to galti hoti hai insaanon se, hamse bhi ho gayi. Aapse nahi hoti hai kya?"
"Kunal Mehrotra galti nahi karta kyunki Kunal ki zindagi aur ghar mein galti ki koi gunjaish nahi hai."
"Is liye ham kehte hain aap insaan hi nahi hain. Aur aap apne aap ko naam se bulana band kariye. Aap itne bhi mahan nahi hain."
"Tum bhi to apne aap ko 'ham' bolti ho, maine kuchh kaha-"
"Haan, pehle din hi aapne tok diya tha hamein."
"Kyunki tum pagal lagti ho. Koi aise baat nahi karta hai."
"Karte hain na, hamare Papa, Chachi, Dada- Dadi, sab aise hi bolte hain. Aapne kabhi UP - Bihar mein kadam nahi rakha hai na, is liye aisa keh rahe hain. Waha sab aise hi baat karte hain. Aur ham jaise bhi baat karein, pagal lagein ya jahil, aapko isse kya? Aapko isse pareshani kyun ho rahi hai?"
"Parshani nahi, use sun ke mujhe... waisa lagta hai-"
"Ak-baki? Akbaki lagta hai?"
"Ak- what?"
"Akbaki matlab ajeeb, michmichi jaisa. Jo suna na jaye, bohot ajeeb lagta hai."
"Ek to pata nahi aisi dictionary kahan se utha ke lati ho. Itne ajeeb words pehle kabhi nahi suna maine."
"Sunenge bhi kaise, Angrez ki aulad. Aap hamesha se-"
"What did you just call me?"
"Angrez ki aulad. Pehle to sirf aankh tha, lagta hai ab inke kaan bhi kharab ho gaye."
"Excuse me, my ears are just fine."
"Lag to nahi raha. Pata nahi ham aapse yahan khade hokar baat karne mein wakt kyun vyarth kar rahein hain? Anguthiyan dena hai Dadi ko."
"Main tumse kehne aaya tha ki-" Bela mud ke jaane wali hoti hai lekin Kunal Bela ka haath pakad ke use wapas apne taraf ghumata hai aur use paas kheechta hai. "Meri baat khatam nahi hui. Jab main tumse baat kar raha hoon, tum aise nahi ja sakti ho."
"To ab aap hamein jabardasti apni baat sunaenge? Bade dheet hain aap."
"Stop calling me names, aur meri baat suno."
"Pehle aap hamein chhodiye."
"Main tumhe chhod dunga lekin meri baat suno." Kunal Bela ko chhod deta hai. "Mere paas tumhara-"
YOU ARE READING
Uljhe Dor (The Mehrotras book 1)
RomanceThe Mehrotras series: Book 1: Uljhe Dor Book 2: Ulajhte Dil Yeh kahani teen bhaiyon, Mehrotra pariwar ke vaaris Kunal, Anshuman aur Veer ki hai. Kunal bhale hi dono ka cousin hai, lekin teeno ke beech pyaar sage bhaiyon se bhi badhkar hai. Inki zind...