CID Headquarters, Mumbai
Dushyant and Ishita entered the front doors looking disturbed. The office was usually bustling with activity but today it was eerily quiet and everyone was looking sad...they had all lost one of their own. Although Kavin did not talk much, but he was a brave officer and had been a part of several missions to defend the country. Everyone respected him and appreciated his efforts.
"Abhijeet, ACP sir ne hum sab ko aadhe ghante mein is case ki briefing ke liye bulaaya hai. Kya tum Nikhil aur Pankaj ko keh sakte ho ki sab evidence collect karke meeting room mein pahunche?".
"Theek hai Daya. Tum baaki sab ko bhi keh dena ki 9:30 tak meeting room mein milen".
Meeting Room, CID Headquarters, 9:30 AM
Everyone stood up as ACP Pradyuman entered the room.
"Yeh jo bhi hua, theek nahin hua. Kavin ki achanak maut, woh bhi aise mission par hamaari CID ke liye bahut bada dhakka hai. Humein jald se jald un kaatilo ko dhundhna hai."
"Haan Pradyuman. Yeh bahut zaruri hai", exclaimed Dr. Salunkhe walking into the room with Dr. Tarika.
"Ji Sir. Actually aapne humein jo kaam diya tha, woh abhi kuch der pehle khatam hua hai. Dr. Salunkhe aur maine sab test reports aur results dhyan se dekhe hain. Kavin ko jo injection diya gaya tha woh ek rare poison tha, Balium-C naam ka", said Dr. Tarika.
"Balium-C ek aisa tatv hai jo sahi maatra mein diya jaaye toh kuch rogon ko theek karne ke kaam aa sakta hai. Par agar iski maatra zyaada ho jaise Kavin ko di gayi toh yeh maut ka kaaran bhi ban sakti hai", Dr. Salunke continued. "Hamaari chinta yeh hai ki iska import Brazil se hota hai aur government ki nigraani mein kuch fixed quantity mein hee ise bharat laya jaata hai. Kuch chuninda labs hai selected states mein jahaan par ise treatment ke liye available kiya jaata hai. Mumbai mein sirf ek hi aisa lab hai, Malaad mein. Agar yeh kisi galat admi ke haath lag gaya toh yeh pure shehar ke liye bahut khatarnaak baat ho sakti hai".
"Hmmm..chinta ki baat toh hai Salunkhe. Shukriya tum dono ka ki tum itni jaldi yeh information le aaye. Ab tum dono apne apne ghar jaao aur aaram karo. Kal raat se tum is research par lage hue ho!"
"Koi baat nahin Pradyuman. Kavin ki maut ka dukh humein bhi hai. Agar kuch aur madad ki zaroorat ho toh humein bula lena. Ab hum chalte hain", saying this both Drs. Salunkhe and Tarika left.
"Sir, Kavin ke kaatilon ko pakadna ab toh aur bhi zyaada zaroori ho gaya hai! Hum apni puri jaan lage denge par Kavin ki maut ko vyarth nahin jaane denge. Aakhir hum bhi kisi se kam nahin hai!", said Abhijeet as all others nodded in vigorous agreement.
Daya continued, "Sir, Purvi aur bachchon ki suraksha ka saara intezaam ho gaya hai. Un par 24 ghante nazar rakhi jaa rahi hai. Hamaare juniors unhe school mein aur unke ghar par apni nazron ke saamne rakhe hue hain. Nikhil, tumne kaam kiya?"
"Ji sir. Humne kal se saare criminal databases chaan maare hain. Us aadmi ki shakal se milte hue humein 3 matches mile hain. 2 yahin Mumbai mein last active the aur 1 Nashik mein kuch dino pehle dekha gaya tha".
"Bahut khub Nikhil! Ab meri baat dhyaan se suno. Main ek team bana raha hun. Abhijeet, tum us team ko lead karoge. Vivek, Tasha, Fredricks, Sachin aur Kajal, tum sab bhi is team ka hissa hoge. Tumhaari team un teen aadmiyon ke baare mein pata karegi jinke matches humein criminal databases se mile hai. Saath hi saath us lab ki chaan-been karo jahaan par Balium-C ki availability hai", ACP Pradyuman instructed Abhijeet and the others."Dushyant, tum kuch kehna chaah rahe the?"
![](https://img.wattpad.com/cover/360744784-288-k561979.jpg)
YOU ARE READING
TERI MERI KAHAANI
FanficFirsts are always special! This is a republishing of my first ever story... Now that I have re-joined, I would really like your support and acknowledgement. You will also see previous chapters with the amount of views, votes etc. included. Hope you...