CHAPTER 34 YEH KYA HUA....I

55 5 0
                                    

Authors's note:

!Author's warning!🤣

Due to the era set in this story, there might be sweet-inducing cheesiness further.....Also, since this is my first story, I want it to have a 'happily-ever after' sort of ending. So, please bear with me!!

!Author's warning Ended!🤣

ACP Pradyuman entered the guest room to the heartbreaking scene of a mother consoling her child while the child was sobbing incessantly.

"Pihu beta, aap jaisa chaahoge vaisa hee hoga. Mummy aap ki marzi ke bina kuch bhi nahin karegi", Purvi hugged Pihu tightly.

As Purvi looked up on hearing his steps, ACP Pradyuman nodded his head slightly as if to comfort her.

"Pihu bachcha! Kya hua hai?"

Pihu looked up and on seeing the ACP ran towards him.

"Daadu!". She did not stop crying for even a moment.

"Sir, main aapke liye paani laati hun", Purvi said and left the room as she had understood ACP's gesture before.

"Pihu aap itna ro kyun rahe hain aaj?"

"Dekhiye na daadu. Ro bhaiya keh rahe hain ki Mummy aur Kavin uncle ki...sh..haan, shaadi honi chaahiye!"

"Haan toh kya galat hai isme?"

"Par unhone yeh bhi kaha ki shaadi ke baad Kavin uncle mere Papa ban jaayenge aur Mummy Ro Bhaiya ki bhi Mumma ban jaayengi!"

"Haan yeh toh hai!"

"Par mujhe nahin chaahiye Papa! Aur main apni mummy ko kisi ke saath share nahin karungi! Kabhi nahin!"

"Chalo, pehle yeh bataao aapko Papa kyun nahin chaahiye?"

"Daadu, kyunki mere Papa toh Sameer hain na!"

"Ab woh nahin hain na bachche? Toh socho agar tumhe dobaara Papa milen toh kitna achcha ho. Tum toh bahut lucky ho jaaogi!"

"Nahin na Daadu! Wahi toh problem hai. Agar mujhe Sameer papa dobaara milen toh mujhe bahut khushi hogi. Par Kavin uncle ko main Papa nahin kahungi. Kahin woh bhi Sameer Papa ki tarah chale gaye toh? Main phir akeli ho jaaungi!", she had finally stopped crying now in her earnestness to explain herself.

"Achcha toh yeh baat hai. Meri Pihu ke yeh reasons hai. Chaliye hum is baare mein baat karte hain. Aap meri baat sunengi?"

"Haan Daadu. Main toh aapki favourite hun na. Aap hee ne kaha tha. Isliye main aapki baat hamesha sunti hun!", she said proudly.

"Toh chalo. Main aapko aaj ek baat bataata hun. Main aapke Sameer Papa ko bahut achche se jaanta tha".

"Kya? Aap unse mile the?"

"Haan beta. Aapke Papa is desh ke liye ladte hue shaheed hue the. He was very brave and very loyal towards his nation. Aur aapko pata hai, aapke Papa ne aap hee ke Ro bhaiya ki jaan bachaai thi un gunde uncle se ladte hue aur unko God ji ne apne pass bula liya tha. Mummy ne aapko bataayi thi na yeh baat ke God ji ke pass jab koi jaaye toh woh waapis nahin aa sakta? Aur jab God ji bulaayen toh koi insaan kuch nahin kar sakta?"

Pihu nodded, listening carefully.

"Aapke Papa ko God ji ke pass jaana hee tha, toh koi kuch nahin kar paaya. Agar woh kuch aur bhi kar rahe hote aur phir unhe God ji apne pass bulaate, toh bhi unhe jaana hee padta na? Isme unke aapke Papa hone ki baat kahaan se aayi? Aap unhe Papa bulaate the, isliye thodi na woh aapse door hue. Woh toh desh ke liye shaheed hue hain, jo ki bahut garv ki baat hai! Aapko toh apne Papa pe proud feel hona chaahiye na?"

TERI MERI KAHAANIWhere stories live. Discover now