wo jaise hi thaki hui ghar main dakhil hui usy pizza k khali dabby rakhy huy nazar aye or uska mood mazeed kharab ho gaya. "ik to is insan ki social activities hi khatam ho k nahi deten or mery liye bojh barh jata hy." dining table saaf karny k bad usy fridge per ik chit nazar ai. "tumhara khana oven main rakha hy dair ho rahi thi is liye dining table saaf nai ki aa k kar donga."
Inaya ny pizza nikala or shukar kia k aj usy khana nahi bnana pary ga lakin zohaib pe ghussa abhi tak tha wo khatam ho bhi nai sakta tha wo purani baten nahi bhool sakti thi. pizza ly kar wo tv lounge main bethi or tv on kiya. zohaib ka program on air tha. us ny ghussy main tv band kar dia. "ab banda tv bhi na dekhy" or pair patakhty huy kamry main chali ga
............. ***********............"nahi khala main theek hon ... inaya bhi theek hy ... hamara chorain aab btain khadija sy baat hoti hy? ... haan mujhy maloom hy yad to wo ati hy aap ko mujhse to rasman bat karni parti hy ... chalin khala driving kar raha hon phir baat hoti hy ...khuda hafiz" zohaib hamesha un sy bat kar k acha mehsos karta tha. khushi to khair ab us ki zindagi main thi hi nahi. ik wo waqt tha jub wo hur waqt excited state main rehta tha or doston ki ik lambi qatar hoti thi. yahi adaten thin jinhon ny usy maa baap ki ik dum mout k baad bhi sambhal liya tha. lakin ab wo badal gaya tha. ab bari sy bari khushkhabri bhi usy khush nai karti thi. dost ab bhi bohut thy lakin un sy ab wo duty ki tarah milta tha.
...........**************............wo jagi to asar nikal chuki thi or lounge sy tv ki awaz aa rahi thi. bahir nikli to zohaib betha apna aj ka show dekh raha tha. "uff khud parast insan!" wo us k samny sy pair patakhty huy guzar gai. "tum ny khana kha liya?" zohaib ny tv ki awaz ahista karty huy pocha. "han tumhain fikar karny ki koi zaroorat nai" or kamry main chali gai ye do din main un ki pehli baat thi. wo aesy hi thy . Shadi ko saal guzarny k baad bhi inki zindagi main koi tabdeli nai ai thi. siwaye is k k ab wo ik dosry sy ziada chirty thy. Inaya over confident na thi wo janti thi k wo bohut khubsoorat nai hy lakin us ki ankhain bohut haseen thin. jub k Zohaib usy kabhi bhi acha nahi laga na seerat se na hi soorat se . na hi usy apny shohar main kabhi wo kashish nazar ai jis ka zikar us k milny julny waly log karty thy.
............**************............Aj university ka akhri din tha. sub khush thy Inaya or manahil bhi khush thy par kahin na kahin dukhi bhi thy. ik taraf parhai ka dor khatam ho raha tha to dosri university life bhi ikhtatam pazeer thi. University ki zindagi bhi ajeeb hoti hy ik taraf azadi k chasky deti hy to dosri taraf kam ki zanjeeron main bandh deti hy.
"yar i am so excited aj zohaib aa raha hy." Manahil ny 8 ghanton main dasween bar btaya. "bus kardo warna main tumhain aur is bandy ko qatal kardongi" Inaya ab us k Zohaib namy se ukta gai thi. "yar tum usy dekhogi to pagal ho jao gi" Manahil ny bohut aitamad se kaha. "Mujhy to tum logon ki ye bat samajh nai ati kisi ko dekh k do baar mil k kesy us par mar jaty ho? kitni bakwas baat hy ye." Inaya ny apni soch wazeh ki. "do bar nai poory char baar mili hon main usy. or aj paanch baar ho jaiga insha Allah" Manahil bohut khush thi.
Zohaib us ka door ka cousin tha jo Islamabad main rehta tha. ik do saal pehly us k walidaen k inteqal par Manahil us se mili thi or tab se us par fida thi jub k us k bar aks Inaya itny qaseedy sun leny k bad bhi usy dekhny ka shoq nai rekhti thi.
............**************............Inaya aur Manahil bohut arsy se ik dosry ki parosan thin. Donon ik dosry ki akloti dost thin. school se hi saath thin. Donon ki families k bhi achy taalluqat thy. Inaya ka mizaj Manahil se bilkul mukhtalif tha.
Inaya apny parents ki akloti beti thi. behadd suljhi hui aur khamosh tabiat ki malik thi. wo un larkiyon main se na thi jo parhai k baad shadi ka intezar karti hain. wo job karna chahti thi jub k Manahil chulbhuli si thi or wo intehai khush thi k parhai khatam hogai or ab wo araam se ghar pe rahy gi. Tabiat main itna tazaad hony k bawajood wo bohut achi dosten then. Manahil k ilawa Inaya se uska chota bhai qareeb tha. Us ko farigh rehna zeher lagta tha isi liye usne university khatam hony k agly din se hi ghar main tuition parhana start kardia tha or saath saath job ki talaash bhi start kardi thi.............*************............
Inaya jaisi hi maghrib ki namaz se farigh hui Manahil aa gai. "yar ghar chalo Saeeda chachi ny btaya hy k zohaib ko chinese pasand hy or tum to janti ho mujhse ye kaam kabhi sahi nai hoty or ami ko bhi nai bnana ata" Inaya k sau bahanon k bawajood wo usy ly gai. wo kaam kar k farigh hui to ghar k liye nikalny lagi tabhi Manahil ny rok liya aur shararat se kehny lagi "Yar tum bhi ajeeb ho apny behnoi se nai milogi?"Inaya ny sir pakar lya "nai ab to direct tumhari shadi pe dekhongi." tabhi Zohaib room main dakhil hoa. usny ik nazar Inaya par dali aur salam karta hoa Manahil se mukhatib hoa. "Yar washroom kahan hy?" Manahil usy direction btany lagi tabhi Inaya ny ghor kya wo waqai attractive tha lamba qad, halky brown baal, aur thori thori darhi, 25 26 saal ka nojawan tha.
............************............
YOU ARE READING
Khuloos e dil
RandomThis is my first novel. It is #1in Random 😍 It is in roman urdu. Hope you like it :) "koi agar kholoos e dil sy parhy mujhy main sur basar kitab e tamanna dikhai don hur aib sahi mujh main magar aj bhi mujh ko apnon main khafa hony ka andaz na aya"