IMPORTANT!

215 14 0
                                    

SALAM!

aaj ik ahem mozu per baat karna main apni responsibility samajh ti hon pichly dinon Qasur main hony waly waqea se aap log bakhabar hongy. iss baat se to hur banda agree kary ga k jo hoa wo darindagi thi.. ghalat tha.. or ab ye sochna hy k hum kya karsakty hain. hum main se aksariyat students hain .. hm kya step ly sakty hain mera personally ye khayal hy k humain apni hifazat ka zimma khud pe lyna hy. apny aap ko kamzor na samjhain .. mazboot banain.. secondly kch bara na karain bus kuch cheezon k baary main apna rawayya badal dain. agar aap k samny koi larka ya larki kisi qism ki koi wahiyat baat ya joke kary to ignore karain aap agar kisi k behuda jokes pe hans lyty hain to aap unko appreciate karty hain aap unki is harkat ko promote karty hain kal ko yahi cheezen itni aam hojati hain k un k ghalat hony ka ahsaas khatam ho jata hy. ye to wo dor hy k gunaah itny aam hain k un ko koi gunah nahi samajhta. bul k gunaah se bachny waly ki zindagi mushkil bna de jati hy. lakin ab ye apny faisla karny hy k aap kis track pe chalna chahty hain. baqi Allah tala sub ko apny hifz o amaan main rakhy (Ameen)

let me know aap logon ka is bary main kya khayal hy?

Khuloos e dilOnde histórias criam vida. Descubra agora