Tabdeeli

253 22 9
                                    

Manahil ki shadi ki taareekh ty ho gai thi. or shadi mangni k derh maheeny baad thi. Manahil shopping main busy ho gai jub k Inaya office main. donon ki ya to mulaqaat hi na hoti ya phir sub k samny hoti. Inaya ny apna poora dhehan office mai lagaya hoa tha. Zohaib mangni k next day hi Lahore chala gaya tha. us k baad se Inaya ki us se bilkul baat nahi hui thi or hoti bhi kiun? jub k Saeeda Chachi se taqreeban hur hafty baat cheet ho jati thi. Inaya ko wo shuro se pasand theen.

Phir wo waqt bhi aa gaya jub Manahil ki shadi thi. Manhail kaafi hud tak badal chuki thi wo ab kaafi mature ho gai thi. kam az kam Inaya ko to aesy hi laga tha. Inaya uski maturity se to tub khush hoti agar wo donon ab bhi pehly ki tarah dost rehteen lakin is k kuch asaar nahi nazar aty thy. Hum bohut jazbati log hain agar koi masla dekhty hain jo hamain pareshan kare to us se bachny k liye foran aesa nateeja akhaz kar lety hain jis se hamain tasalli mil jaye. Inaya or Manahil k darmian sard mehri to sub ko mehsoos ho rahi thi. lakin sub ny khud hi faisla kar lya k bachian ab bari hogai hain. pehly ki tarah to nahi reh sakteen. Inaya jo kaafi arsa Manahil se bachny ki koshish karti rahi thi ab use is mamly main mazeed pareeshan nahi hona parta tha kiun k ab Manahil ny bhi use mukammal tareeqy se cut off kardya tha. Agar un se ye baat koi ik saal pehly karta to wo inhen hansi ati par aesa hi tha. Logon ki jaga badalti rehti hy kabhi koi shakhs aap ki zindagi main ita ahem hota hy k koi baat us se discuss kiye baghair khana hazam nahi hota or kuch saalon baad kabhi kabhi to maheno baad phone list scroll karty huy naam nazar aa jaye to yaad hi nahi ata k kon hy. shayad isi ko tabdeeli kehty hain.

Manahil k mehndi ka function tha jub Saeeda Chachi aain. Inaya k parents ny un ki dawat ki or unhon ny baaton baaton main Inaya or Zohaib ki shadi ka zikar kardya. tub Inaya ko sahi maanoon main mamly ki sangeeni ka ahsaas hoa ab tak to wo jis rishty ko ignore kar rahi thi mazeed nahi kar sakti thi. Zohaib busy tha is liye shadi pe nahi aa saka tha. lakin Saeeda chachi chahti theen k wo ab tareekh ty kar k jain. is baare main unhon ny Zohaib se baat ki to us ny kaha>

"Aap pehly un logon se pooch lai un k liye konsa time best rahy ga."

"wo to sahi hy magar tum bhi btao zahir hy ghar to tumhain set karna hy. wo bechari jo dosry shehr se aaegi aa gy koi proper ghar to set kya hoa mily usy." Saeeda Khala ny us ko tafseel btai.

"ary aap un se pooch to lain k wo log kab karna chahty hain shadi main to phir usi hisab se arrangement karonga." pta nahi usko kya khadshat thy.

lihaza ab wo Inaya k maa baap se baat kar rahi theen. or wo log to ready thy shadi k liye. us ki ammi ny to keh dya tha

"main koi lambi mangni k haq main nahi hoon."

akhir kar agly maheeny ki 20 tareekh ko un ka nikah rakh dya. or phir teen din baad Murree main valima.

Manahil ki shadi hogai or shadi k baad wo Australia shift hogai thi. Arsalan ki job thi wahan. us k baad Inaya ki us se mulaqat nahi hui.

............************..............

Shadi ki tyarian zor o shor se chal rahi theen. mehndi k function pe Inaya ko Manahil bohut yaad ai. Manahil k pas ik lambi list hoti thi k wo Inaya ki shadi pe kya kya karygi. shadi pe jub Saeeda Chachi ny poocha k us ki kitni dostain aingi valima pe to wo bilkl la jawab hogai. us poori raat wo Manahil ko yaad karti rahi ik wohi to thi jis ny behen, dost, razdar saary rishty poory kiye huy thy or aaj wo nahi thi or jis shakhs ki waja se nahi thi wo us se nikah kar rahi thi. kuch faisly zindagi main hum karty hain or phir kuch faisly zindagi hamary mun pe marti hy.

or phir Inaya or Zohaib ki shadi ho gai thi. Zohaib or wo ab bhi utny hi door thy jitna shadi se pehly. shadi k baad Inaya ny apny uper ik khol charha lya tha ab wo pehly jaise nahi rahi thi purani Inaya apny saath apni saari achai bhi ly gai thi. ab ik sakht mizaj, akhar or badtameez Inaya thi jo Manahil ki mangni pe ki jani wali deal pe sakhti se amal karti thi. or Zohaib ko apna ye dawa k usy logon ki pehchan hy ik khush fehmi lagny laga.

.............************............

Inaya Islamabad airport se bahir ai to use Saeeda Khala nazar aain. use boht hairani hui Zohaib ny to kaha tha k wo bohut bemaar hain. use laga wo use Murree main milaingi. wo hamesha ki tarah bohut khuloos se milain. Inaya ko bhi un se mil kar bohut khushi hui agar Zohaib bura tha to iska matlab ye thori tha k wo us se jury rishtoon ko bhi bura samjhy. or rishty thy hi kahan ik yahi khala to theen. Saeeda khala k saath car pe wo Murree gai. unhon ny Inaya k liye bohut ahtamam kya hoa tha. jis ko dekh k wo bohut sharminda hui. pur takalluf khany k baad wo araam karny chali gai.

............************............

hey guys!

samajh hi nahi aa raha k Zohaib or Inaya ki shadi pe khush hon ya nahi :(

khair moral of the story ye hy k dostain bna lain ta k koi aap ki mehndi pe naach saky :D just kidding

keep voting, commenting and enjoy the story.

to keep updated follow novel_therapy page on instagram.

thanks :)

Khuloos e dilWo Geschichten leben. Entdecke jetzt