Zohaib ki call aa rahi thi aur Inaya apni sooji hui aankhon k saath us number ko dehti rahi. Marree any k baad us ki sirf ik baar Zohaib se message pe baat hui thi or wo bhi ye k wo ye pochny k liye k wo pohunch gai. ab use samajh hi nahi aa raha tha k wo kesy baat kary bus wo number ko dekh rahi thi. or akhir kaar jub us ny faisla kya k wo phone uthai to ring band hogai. wo jaan gai thi usny dair kar di. usy aj andaza ho raha tha k wo hur kaam main dair kar deti hy. Jaise hi wo bed pe bethi to mobile dobara bajny laga. usny foran answer press kya ab wo mazeed takheer afford nahi karsakti thi.
"Assalam-o-alikum" dosri taraf se Zohaib ki awaz ai.
"Walikum Assalam" Inaya ny jawab dya.
"Kesi ho?" us ny itni tasalli se pocha k jaise yahi janny k liye call ki ho.
"aap yahan nahi aa rahy?" Inaya ki awaz bharra gai. usny bari mushkil se apny aap ko control kya hoa tha.
"nahi mera ana to mushkil hy." Zohaib ny jawab dya. usko Inaya ka lehja mukhtalif laga.
"lakin aap k ami abu ki barsi hy parson aap ko ana chahiye." Inaya baghir sochy samjhy kahy ja rahi thi. us k demagh main bus yahi khayal tha k use is shakhs k saath ki zaroorat hy.
"wo to hy lakin main ny Saeeda Khala ko bta dya hy k wo quran khwani kara laingi. qareeb hi madarsa hy wahan baat karain gy to wo tulaba ko bhaij daingy." Zohaib ny use apny irady se aagah kya.
"aap k maan baap ny aap k liye itna kuch kya or ab jub aapki baari hy to wo kaam aap dosron main baant rahy hain" Inaya ko uski ye baat achi nahi lagi thi.
"kya matlab?" Zohaib ko uski baat samajh aa gai thi bus wo us se kuch dair or baat karna chahta tha.
"matlab ye k jub lyny ki baari ati hy to hum logon ko dhakailty huy qatar main subse pehly ja k khary hoty hain or jub lotany ki baari hoty hy to dosron ko aagay kar dety hain." Inaya ny use zindagi ka falsafa or huqooq o faraiz ki jung do minton main samjha di thi. Logon ko mutaassir karny wala shakhsh aaj apni biwi se mutassir hoa betha tha. Inaya ki awaz main aesa kuch tha k Zohaib apny aap ko rok na paya usny faisla kar lya tha k wo aaj hi Murree rawana ho jaiga lakin usny is faisly se Inaya ko aagah nahi kya.
"tmhain kya lagta hy k main apny maa baap k huqooq nahi poory karta?" pta nahi wo kya janna chahta tha. aaj Inaya azaad thi aaj wo hur wo baat keh sakti thi jo wo chahti thi. aaj us k samny koi checklist nahi thi jis main se wo hur point ko dekh k baat kary.
"pta nahi! main ny to kabhi aap se aap k walidain ki koi baat nahi suni. main to un k baary main jitna janti hon wo mujhy Saeeda Khala ya ..Manahil ny btaya hy." wo Manahil ka naam lyty hui kuch atki thi. Zohaib use kya btata k usne to aesa hi socha tha k akhikaar use koi aesa shakhs mila hy jis se wo baat kar sakta hy. apni baaten share kar sakta hy. lakin shadi k baad use moqa hi kab dya tha Inaya ny.
"Zohaib! zindagi main bohut huqooq hoty hain maan baap k lakin un ki wafaat k baad to sirf un k liye duaa karni hoti hy. jitny achy se koi beta apny maan baap k liye dua karskata hy utny achy se to koi bhi nahi kar sakta." Zohaib uski baaton se maroob hoa betha tha. Inaya ny shayad pehli baar us se baat karty huy use us k naam se pukara tha. Saath hi Zohaib ko laga k baat bohut sanjeeda hogai hy to usny mozu badalty huy kaha.
"Saeeda Khala tumhari khala kab se banen? jahan tak mujhy yaad hy unko to tum chachi bulaya karti thi." Inaya uski baat sun k hans di. ye to use bhi nahi maloom hoa tha k kab us k rishty badal gaye ye to sub kuch anjany main hoa tha.
"aap ko kesy pta chala k main kya bolti thi." Inaya ny sawal kya.
"ye to lambi kahani ho jaigi .. isko choro k main kya kya janta hon." kuch dair wo mazeed baat karty rahy. aaj Inaya ko laga k wo us Zohaib se mili jis ko wo saal pehly Manhail ki tawassut se janti thi. jisy Manahil pasand karti thi. jiska Taha fan tha.
............************............
Zohaib ny call pe tickets book karai or wo packing karny laga wo is dafa bohut kuch discover karny ja raha tha lakin sub se ahem wo apny tamam huqooq poory karny ja raha tha. wo sirf weekend pe hi ja raha tha usny soch lya tha k wo sunday ki flight se wapis aa jaiga.
kuch hi arsa pehly us ny kuch nami garami politicians k khilaf ik show kya tha. jis k baad use kuch dhamkian milen then. lakin us k profession main ye sab aam tha is liye us ny dhehan na dya. bul k kuch log to isy kamyabi ki alamat bhi samajhty thy. lakin jub Inaya k pass any wali call ka pta chala to sahi manoon main us k pairon se zameen nikal gai. is liye usny bahana bna k Inaya ko Murree bhaijna behter samjhy lakin qismat ko kuch or manzoor tha....
............************............
Assalam o Alikum!
We have reached 1000+ reads Alhamdulillah. ye mery zindagi ki subse pehli story hy and itni kamyab wow Masha Allah. all thanks to you guys. umeed hy ye kahani aap k ander kuch masbat changes laigi. aaj main aap ko ik ahem baat sikhana chahti hon.
neechy dya gaya star nazar aa raha hy. usko press karain.
Thank you for voting #sastishohrat :)
keep pressing this star after every episode and ziada time ho to comment bhi kar dain.
![](https://img.wattpad.com/cover/99703630-288-k580848.jpg)
ŞİMDİ OKUDUĞUN
Khuloos e dil
RastgeleThis is my first novel. It is #1in Random 😍 It is in roman urdu. Hope you like it :) "koi agar kholoos e dil sy parhy mujhy main sur basar kitab e tamanna dikhai don hur aib sahi mujh main magar aj bhi mujh ko apnon main khafa hony ka andaz na aya"