Karwan Chalta Gaya

584 40 21
                                    

Inaya Taha ki baat sun k shock main chali gai. Ruky huy ansoo phir jaari hogai lakin ab tarz alag tha ab khushi thi jo aansoo na thamny ki waja bani. Aansoo bardasht k hud btaty hain. Khushi ya ghum jub hud se barh jaye to ansoo behny lagty hain. Wo log us k kamry ki taraf barhy lakin abhi doctors ander thy or unka anaa band tha. Dr ny family member ko apny pas bulaya. Inaya or us k abbu un k pas gaye. Dr ny unhen ik buri khabar di k Zohaib k brain tissues damage hony ki waja se filwaqt uski tangain kaam nahi kar rahen lakin therapy ki waja bohut chances hain k wo behter ho jayega.

............************............

Jo log Zohaib ko goli lagny ka sun k aye thy ab us k hosh main aany ka sun k dobara ikhatty thy. Jo bhi Dr ki kahi baat sunta uski khushi peekhi par jati thi. baat hi itni bari thi. jawaan larky ki mazoori koi choti baat na thi. lakin Inaya ko iss khabar ny mayoos nahi kya tha. agar wo ye khabar ik hafte pehly sunti to yaqeenan us k pairon taly se zameen nikal jati lakin ab sub kuch mukhtalif tha. iss hadse ny use ghair mehsoos andaaz se bahadur bnadia tha. or phir yaqeen bhi to tha k jo khuda use mot k mun se nikaal k zindagi ki taraf ly aya hy wo use wheelchair se utha k pairon pe bhi khara kar dega.

............************............

Drs ny Zohaib ko kamry main shift kardya tha. ab sub log us se mil sakty thy. Jaise hi ye khabar Inaya ko mili wo saakt hogai. ajeeb bebasi si bebasi thi. wo jis shakhs k baare main sochti rahi thi ab uska saamna karny ki himmat nahi kar pa rahi thi. Tofaan tham chuka tha lakin dobara ghar ki murammat karna bohut mushkil lag raha tha. Sub log kamry ki taraf barhny lagy. hamary jism ki hur harkaat hamara demagh ty karta hy. lakin kabhi kabhi aqal ki pasbaani bohut ghair ahem ho jati hy. Inaya ny bhi apni hi soch main qadam barha diye.

............************............

Zohaib ny aankhain kholeen to Saeeda Khala samny khari nazar aain. wo roti hui aankhain liye muskura rahi theen. Saeeda Khala ny aagy barh k uska matha chooma. Wahan or bhi bohut sy log khary thy kuch colleague kuch dost Inaya k walidain or haan peechy khari hui Inaya. Usne wohi kapry pehen rakhy thy jo Zohaib k ghar se nikalty huy hui pehny hoy thy. wo musalsal neechy dekh rahi thi. Zohaib ki nazrain us k jhuky huy chehry pe jami then. Inaya waise hi khari thi jaise uska yahaan khara hona bohut mushkil ho jaise wo yahaan se door chali jana chahti ho jahaan koi use na dekh saky. or phir usny chand seconds k liye apna chehra uthaya or Zohaib ko dekha jo abhi use hi dekh raha tha. Inaya ki aankhain laal or sooji hui theen. wo roti rahi thi. kabhi kabhi aap kuch logon ko takleef deny ka soch bhi nahi sakty lakin agar aap ki takleef main wo roeen to acha lagta hy. apnaiyat mehsoos hoti hy. dwaoon ka asar zail ho raha tha. sir k peechy takleef mehsoos ho rahi thi. wo khamoshi se lyta raha ird gird k log halki halki baat kar rahy thy. uski takleef barh rahi thi. use wo awaazen jumly bohut bury lag rahy thy. jub ik awaaz sunai di.

"Mera khayal hy ab hum bahir chalty hain Dr ny kaha hy k Zohaib ko araam ki zaroorat hy." Inaya ny sub ko kaha to aahista aahista sub bahir khisakny lagy. Zohaib ko achanak sukoon mehsoos hoa jaise koi aap ki baat beghair kahy samajh jaye to mehsoos hota hy. sub k jaane k baad Inaya ja k Zohaib k saamny khari hui. wo khamosh raha. Inaya use dekhti rahi lakin kuch nahi kaha jaise kehny or sunny k liye kuch ho hi nahi. or phir Inaya ny ja k khirki k pardy barabar kiye or kaha.

"aap araam karain. hum yaheen bahir bethy hain." or lights off kar k bahir chali gai. wo use kehna chahta tha k Inaya ki mojoodgi use be araam nahi kar rahi lakin khamosh raha.

.............**********............

Zohaib ko hosh main ai huy teen din hogai thy. wo taizi se theek ho raha tha. us k chehry ki ronaq wapis aa gai thi. sub log wapis chaly gai thy. aaj subah Inaya k ammi abbu bhi mutmain ho k Karachi chaly gaye thy. Inaya or Zohaib poora waqt saath hoty. Inaya uski hur hur cheez ka khayal rakhti khana dawaii lakin ik sard si khamoshi thi jo khatam hi nahi ho rahi thi. Inaya chahti thi k Zohaib baat kare. jub k Zohaib ko samajh hi nahi ata tha k baat shuro kahan se kare. donon k darmiaan waqt haail ho gaya tha. Zohaib ki therapy start ho gai thi or Dr ka kehna tha k adhi bemaari ko to insaan ki quwwat e iradi hi maat dedeti hy.

Khuloos e dilKde žijí příběhy. Začni objevovat