Inaya jub ghar ai to Taha k mun pe smile dekh k usy samajh aa gaya k jo hona tha hogaya tha albatta phir bhi ik umeed thi mohoom si k shayad koi or waja ho lakin phir us k ammi abbu ny raat ko use kamry main bula k Zohaib nama sunaya. or btaya k wo log kitny khush hain or Inaya kitni khushqismat hy. jub k wo chehra neechy kiye unki baat sunti rahi. jaty jaty uski ammi ny btaya
"wo Fatima bhi ai theen wo log Manahil ki mangni kar rahy hain. bus qareebi logon ko bulaya hy. usi din shadi ki date bhi fix kar daingy."
"itna jaldi kiun?" Inaya ko andaza hi nai tha k Manahil waqae sanjeeda thi jaldi shadi k baary main.
"beta wo Arsalan ki job Behrain main hy. ab wo log jaldi shadi kerna chah rahy hain ta k visa waghaira ban jaye or Manahil us k saath hi chali jaye" Uski ammi ny tafseel btai.
"wesi bhi jub rishta ho gaya hy to bilawaja kiun latka k rakhain." uski ammi khush theen.
"acha." Inaya khamoshi sy kamry main chali gai.
............************...........
Itwar ka din tha. aj Manahil ki engagement thi. Inaya ko musalsal koi na koi kehta k wo Manahil k ghar chali jaye ta k koi help kara dy lakin wo musalsal taal rahi thi. uska to bus nai chalta tha k wo mangni main bhi na jaye. dopeher k waqt Fatima aunty or Zohaib un k ghar aa gaye. Us k liye Saeeda chachi ny kapry bhaijy thy jo us ny aaj Manahil ki mangni pe pehenny thy. lakin baad main usy Fatima anty ny bta dya tha k Saeeda chachi ka to bahana hy suit khud Zohaib ly kar aya hy. Wo mushkil se paanch mint mehmanoon k saath bethi thi or phir uth k kamry main chali gai. Jub wo kamry main tyar ho rahi thi to Saeeda Chachi ki call ai.
"Assalam o Alikum! kesi ho beta?" unki awaz se hi pta chal raha tha k wo kitni khush hain.
"Walaikum Asalam! main bilkul theek hon. aap kesi hain?" Inaya ny kuch jhijhakty huy jawab dya.
"beta main to bohut achi hon. main ny ye poochny k liye call ki thi k aap ko kapry pasand ai?"
"G chachi bohut achy hain." Inaya unka khuloos dekh k bohut sharminda ho rahi thi.
"bus main ny bhi aany main jaldi ki. warna ye mangni bhi attend kar leti." wo shayad baat karny k mood main thin. ya phir un ki aadat thi k wo agly ko bohut khobsoorti se engage kar leti theen.
"haan aap hoti to maza ata." Inaya bhi un se baaten karny lag gai.
"bus beta main to pareeshan thi k tumhain kapry pasand aain gy ya nahi. or saath main Zohaib ny alag pareeshan kya hoa tha k mujhy larkion ki shopping ka bilkul ilm nai hy." wo tafseel bta rahi theen.
"nahi aap fikar na karain mujhy bohut achy lagy hain." Inaya un ki pareeshani khatam karna chahti thi. halan k dil main soch rahy thi k pta nahi kitnion ko kapry dilai hongy Zohaib ny.
"uski pasand to achi hi hy. chalo tumhain tyar hona hoga. main ny tumhain baaton main laga dya." Saeeda chachi ny phone bund karty huy kaha. warna un ka jumla sun k to wo kuch ajeeb si hi hogai thi.
"nai koi baat nahi." Inaya ny jawab dya.
"acha haan tyyar ho k mujhy picture bhi bhej dena." unhon ny takeed ki.
"theek hy." wo bus itna hi bol pai.
............************............
Zohaib sheeshy k samny tyyar khara tha. usny navy blue kurty k saath white shalwar pehny hui thi. kurty k baazo aadatan upper ki taraf mory hy thy. haath main ghari thi. baal gel laga kar peechy ko kiye huy thy. wo bohut jazib nazar lag raha tha. wo cologne laga raha tha jub Fatima anty darwaza knock kar k ander aain.
"oho! bhai ab to rishta hogaya ab kis ko impress karny k liye ye tyarian ki ja rahi hain?" Fatima anty khshgawar hairat se boleen.
"kiun jis se rishta hua hy us ko impress nai karna?" wo shokhi se bola.
"haan haan kiun nai chalo ab bahir aa jao itni dair to Inaya ny bhi tyyar hony main nai lagai hogi." wo muskura k kehty huy bahir chaleen gain.
jub wo bahar nikla to bilkul samny se Inaya or Taha aty huy nazar ai. Inaya ny uska dya hoa baby pink colour ka frock choori dar pajama k saath pehna hoa tha. us k kaly syah baal halky se clip main bandhy thy or phir khuly huy kamar tak aty thy. Ankhon pe eye liner laga tha jisny us k ankhon ko mazeed khobsoorat bna dya tha. ik side pe dopatta lya hoa tha. Zohaib ny wo suit lyty huy Inaya ko us main imagine zaroor kya tha lakin ab wo us Inaya se bohut hi achi lag rahi thi. us ko dekhty huy Zohaib ko khayal aya k us ny aj se pehly usko make up main kabhi nai dekha. wo murree main bhi bilkul make up nai karti thi. Zohaib us ko dekhny main itna magan tha k khayal hi nai raha or wo darwaze se chalty hy bilkul nazdeek aa gai. Taha ruk kar us se baat karny laga jub k Inaya us ko bilkul ignore karty huy aagay barh gai. usy apni harkat per halki se sharmindagi hui lakin phir Inaya k jaany k baad use ahsaas hoa k kuch problem zaroor hy. Hur khushi apny saath kuch imtehaan bhi to lati hy.
............************............
Assalam-o-Alikum!!
dair se episode upload karny per bohut maazrat khuwah hoon. please guys ab story kaafi aagay aa gai hi to tammam khamosh readers awaz uthain vote karain or apni qeemti raye se aagah karain. aap ki hosla afzai mujhy mazeed likhny or writing ko continue rakhny main madad degi. agar aap novel ki information se update rehna chaty hain to follow my page on Instagram @novel_therapy.
Or ye to btain k Manahil ki mangni pe donon lag kesy rahy hain?? or kya koi baat cheet bhi hogi??😉😉thanks!!
ESTÁS LEYENDO
Khuloos e dil
De TodoThis is my first novel. It is #1in Random 😍 It is in roman urdu. Hope you like it :) "koi agar kholoos e dil sy parhy mujhy main sur basar kitab e tamanna dikhai don hur aib sahi mujh main magar aj bhi mujh ko apnon main khafa hony ka andaz na aya"