Engagement ka event bohut acha tha. sub log bohut khush thy. ziada mehmaan nai bulai thy isi liye function ghar k lawn main hi ho raha tha. Manahil or Arsalan bohut khubsoorat lag rahy thy. unko dekh ker lag raha tha k jaise donon ik dosry k liye hi bnai hain. Manahil ki saas usy saath ly k gai then dress shopping k liye. Manahil ny light purple maxi pehen rakhi thi jub k Arsalan ny white kurta or shalwar k uper purple waistcoat pehna tha. Inaya ki poori koshish thi k bus uska Manahil se aamna samna na ho. lakin thi to akhir dost ye bhi chahti thi k pta chaly k wo khush hy ya nahi. wo sara waqt stage se jitna door reh sakti thi rahi lakin aap jitna chupty ho utna hi wazih hoty ho. dhoondny wala to phir dhoond hi lyta hy or phir us shakhs ko to dhoondny ki zarooraat hi nai jo kabhi ankhoon se ujhal hi na hoa ho. poory function main Zohaib ki markaz e nigah to wohi thi. khana lagny k baad Inaya ny apni plate main tikka lya or peechy pari table pe beth gai. jahan wo bethi thi us jaga light kam thi or usko apny liye subse behter jaga wohi lagi thi. Inaya khush thi k aadhy se ziada function to sukoon se guzar gaya hy baqi bhi guzar jaiga. achanak use yaad aya k Saeeda Chachi ny picture bhaijny ka bola tha to wo khari hui or selfie lyny lagi jub usy camery main peechy se Zohaib ata dikhaye dya tha or achanak click k saath photo main bhi aagaya tha. Zohaib ko uska rawayya bohut ajeeb lag raha tha wo jaan gaya tha k koi masla to hy. itna to wo janta tha k Inaya ko logon k darmian rehna kuch khas pasand nai hy. lakin dost ki engagement main itni ajanabiyyet kiun thi wo samajh nai pa raha tha. Usny jub Inaya ko table pe bethty dekha to usko moqa mil hi gaya k wo pta lagaye. usko apni table pe bethty dekh k wo kuch juzbuz ho gai. wo soch rahi thi k Manahil se bachny k chakkar main us k zehen main hi nai raha k is se bhi bachna hy. Inaya kuch pareshan bhi thi or samajh nai aa raha tha k kya kary.
"Assalam o alikum! aj mulaqat hi nai ho paye tumse" Zohaib ny cold drink ka sip lyty huy kaha.
"walaikum assalam" Inaya bohut uljhi hui thi.
"kya hoa? kha nahi rahi?" Zohaib ny agla sawal daldya.
"khati hon" usko koi jawab nai mil raha tha.
"Shadi k bary main aap ka kya khayal hy?" Zohaib ki aadat thi k baat ka start hi pinch se karta tha. or agla banda khud hi sub ugal deta tha. ye strategy Inaya k mamly main to hamesha hi kaam ai thi.
"kuch nai" usny behadd ghair sanjeedgi se kaha. Zohaib ko andaza ho gaya tha k wo khush nai hy shadi se ab waja pta karni thi.
"Saeeda khala chahti hain k shadi bohut jaldi ho." Inaya ny kaha kuch nai bus ik nazar dali thi or Zohaib ko laga k nazar ander tak cheer gai hy usy.
"tmhara kya khayal hy?" Zohaib ab pareshaan ho gaya tha.
"main shadi k liye tyyar nai hon. aap ko kisi or se shadi karni chahiye." ab to haqeeqatan Zohaib k pairon k neechy se zameen nikal gai. maamla kafi garbar tha.
"khair ab ye to option nahi raha. mera rishta ty ho chuka hy or main darmiaan main chorny waloon main se nahi hoon." pta nahi us ny ye kiun bola tha.
uski baat pe Inaya k chehry pe ik tanzya muskurahat ai or usny stage pe bethi Manahil ko dekha. ye ittefaq hi tha k door bethi Manahil bhi use hi dekh rahi thi. donon ki nazrain milain. Inaya k chehry pe guilt tha.
"tumhain kis baat ki tension hy?" Zohaib bohut be chain tha. ik baat to ty thi k wo usy kisi qeemat pe nai khoye ga.
"main job karna chahti hon. main house wife nai ban sakti. main ghar k kaam nai kar sakti.or na hi main kisi k saath reh sakti hon." wo nazrain jhukai na jany kya bol rahy thi. Zohaib usy bura lagta tha phir bhi wo hamesha us se bila jhijhak baat bol deti thi.khud bhi nai samajh pa rahi thi. lakin Zohaib ik baat samajh gaya tha maamla itna sangeen nahi tha jitna usy kuch dair pehly laga tha.
"yani koi masla nahi hy. main lahore main settled hon. tum wahan bhi job karsakti ho. mujhy bhi shadi ka koi shoq nahi hy lakin main Saeeda Khala ki baat nahi taal sakta. wo mujhy bohut aziz hain or aap k walidain ko bhi aitraz nai hy to hm shadi kar k independent life guzaar sakty hain. kaam distribute kar lain gy. or koi kisi ki life main interfere nai kary ga." wo tamaam masly hul kar lyga lakin filhaal use Inaya ky demagh main paida hony waly fitoor ko khatam karna tha.
"lakin agar aap shadi kar hi rahy hain to un se karain jin ko aap pasand karty hain." Zohaib chonka tha.
"kinse?" usny poocha. tabhi Taha bulany aaya tha or Inaya ko wo bilkul rehmat laga tha.
"main chalti hon." wo uthi plate main tikka wasay hi rakha hoa tha.
............************............
salam guys!!
kya haal chaal hain? subko Manahil or Arsalan ki mangni ki boht bohut mubarak ho. :)
haanji to ye sub hoa tha jis ka hul aaj tak nahi nikla.. aap ka kya khayal hy Zohaib ko kya karna chahiye?
keep voting .. commenting .. sharing .. criticizing .. judging!!
thanks :)
YOU ARE READING
Khuloos e dil
RandomThis is my first novel. It is #1in Random 😍 It is in roman urdu. Hope you like it :) "koi agar kholoos e dil sy parhy mujhy main sur basar kitab e tamanna dikhai don hur aib sahi mujh main magar aj bhi mujh ko apnon main khafa hony ka andaz na aya"