Wapsi ka safar

262 28 9
                                        

Saeeda Khala us k sawal pe muskurai or kehny lageen

"wo to hur call main tumhara pochti hai or ye bhi pochti hy k tum us k bary main pochti ho?" Inaya ny ik dum apna sur utha k unhen dekha. Saeeda Khala uski kaifyat se be nyaz muskuraty huy btany lageen.

"abhi kal hi baat hui hy usse Masha Allah bohut khush hy. abhi bhi aafat hy. Shadi k baad zara jo badli ho abhi tak wasay hi hy bacha hogaya lakin bachon wali hurkateen nai khatam hueen."

Saeeda Khala ka hur jumla use ajnabi or khokhla lag raha tha. wasay to use ye sub sun k khush ho jana chahiye tha lakin khush to wo tub hoti jub use unki baat pe yaqeen hota. lakin is baat cheet ny use itni himmat dedi thi k usne soch lya k wo Manahil ko call karygi.

"Khala uska number de dain."

"haan de deti hon lakin subah call karny abhi to wahan raat hogi"

"acha" Inaya ny un se number lya or kamry main chali gai phir jaise us ny waqt guzara ye wohi janti hy. us k demagh main hazaroon sawal thy lakin ik ka bhi jawab nahi tha. wo musalsal kabhi mobile or kabhi kitaab uthati to kabhi bed or sofy pe bethti isi asna main usne Fajr ki azaan suni to uthi or wodhoo kar k namaz parhi. dua k liye haath uthaye. wo ajeeb sa waqt tha wo zindagi ki ik mushkil dorahy pe khari thi ik hi waqt main dua karny k liye bohut tha lakin use samajh hi nahi aa raha tha k kya dua mange khair wo jaye namaz se uth gai or waqt ka andaza lagaya to khayal aaya k ab to Australia main dopeher ka waqt hoga wo Manahil ko call kar sakti hy . Yahi soch k bed k kinare pe bethi or phone uthaya kaafi dair wo bethi wattsapp pe lagi Manahil or Arsalan ki bety k saath lagi tasweer ko dekhti rahi. Beta 1 ya 2 din ka lagta tha. Manahil k chehry pe muskurahat thi. Us k chehry pe Inaya ny dukh, gham, majbooti bohut kuch dhoondna chaha lakin use  nai mila. Jub wo picture dekhty dekhty thak gai to us ne call ka button dabaya. Bell ja rahi thi or Inaya intehai tension main bethi thi. Us k haath paaon thande par rahy thy or wo musalsal hont daanton main diye kaat rahi thi. Jub dosri taraf se salam sunai dia. Wo tehr se gai. Kuch samajh nahi aa raha tha k wo kya kahy. Alfaz hi khatam hogai thy. Itni dair main wohi chehekti hui awaz dobara sunai de.
"Hello awaz aa rahi hy Inaya?" Inaya ny jawab k liye lub kholy or phir band kar dye.
"Yar ab call kar hi li hy to bolo bhi" Inaya ko achanak khayal aya k ye to uski best friend hy zahir hy uski kaifiyat jan gaye thi.
"Walikum asalam. Kesi ho?"
"Yar kesi hongi. Khud hi socho" Inaya ik dum sochny lagi k us ny ghalti ki call kar k tabhi Manahil ny kaha.
"Yar bara mushkil hy ye kaam uper se Uzair to thori thori dair baad uth jata hy. Main to teen din se sahi se soi nahi hon." Inaya ik dum muskurany lagi. Wo kesy bhool gai k ye Manahil hy is k saath yahi masly ho sakty hain.
"Tum sunao Inaya?"
"Main bilkul theek hon. Tum to shadi Kar k chali gai or mujhy ik lamby imtehaan main daal dya. Ab tak samajh nahi ata k tum se kaise baat karon" ik lambi khamoshi cha gai or phir Manahil boli.
"Yaar jo kuch main ny tumse bakwas ki thi us k baad kahan himmat thi tumhara samna karny ki"
Manahil ny dukhi lehjy main jawab dya.
"Nahi tumny sahi kaha mujhy Zohaib see shadi nahi karni chahiye thi."
"Khair choro yar wo to mera bachpana tha. Wasay kitni bewaqoof thi main uff" wo baat Kar k hansny lagi lakin Inaya ko hansi nahi ai us per to na jany kya kya inkishfat ho rahy thy.
"Bachpana .. tum to bohut serious thi tum bhool kesy sakti ho?" Manahil ko uski baat sun k shock laga.
"Tumhary Zohaib k saath kesy taalluqat hain?" Inaya ki khamoshi ny Manahil ko bohut kuch samjha dya.
"Kya hogaya tumhain Inaya itni bewaqoof to tum kabhi nahi thi tum ny meri ik nadani ki waja se apni Zindagi mushkil bna li?" Manahil ab ghussy main thi. "tum mujhy itna bhi nahi janti thi k andaza laga sakti k main itni buri harkat nahi Kar sakti bhaly main bari interested thi Zohaib main lakin uska chapter usi lamhy ikhtimam pazeer hogaya tha jis lamhy main ny nikah namy pe sign kiye thy. Ya Allah main ny to ye soch k tumhain contact nahi k tum apni Zindagi main sukoon see hogi or tum ye kya kar rahi ho." Manahil ik hi saath shadeed ghusse or shadeed sadmy main thi. Or Inaya ki kaifiyat bohut buri thi use mehsoos ho raha tha k jaise wo zameen main dhasain ja rahi ho jaise koi dheery dheery us pe mitti dal raha ho. Donon taraf ka sukoot ik bachy ki rony ki awaz se toota. Tabhi Manahil ny ahista se kaha
"Uzair uth gaya hy main zara us ko dekh lon phir baat karti hon" or phone band ho gaya. Inaya bed se uth k neechy Beth gai or wo ansoo ka phanda jo galy main dard ka bais ban raha than us ko jaari hony dya wo phoot phoot k ro rahi thi. Yahi sahi tareeqa hy jo cheezen takleef ka bais banain khud ko un se azad kardena chahiye chahy wo dost hon ya aansoo.  Wo roti ja rahi thi baghair waja jaany ya shayad wo Khushi k aansoo thy wo bila akhir ketehry see nikal ai thi. Wo saal baad azad fiza main saans ly rahi the. Kafi dair ro lyny k baad wo uth k washroom chali gai or jub mun ponchty huy bahir nikli to mobile pe Zohaib ka number jagmaga raha tha
...........************............
Assalamualaikum 😀
Chalo g baat cheet hogai Manahil or Inaya ki. Kis k liye episode shocking thi or kis ko pehly see andaza tha. Khair do main baateen btani Hain
1) Manahil is back 😉
2) ye novel Random main #1 pe aa gaya hy OMG
Aap sub ki support ka bohut shukriya .. support karty rahain .. vote karty rahain.. or wo log jo vote nahi karty Yar plz karain na 😎
Bye



























Khuloos e dilOù les histoires vivent. Découvrez maintenant