Inaya or Manahil aj wapis ja rahy thy jis pe Saeeda chachi bohut udaas theen
"kya chala jata agar chand din or theher jaty."
"Chachi mera bus chaly to main yahin shift ho jaon lakin meri jo amma abba hain na wo meri khushi nai dekh sakty" Manahil ny apni azli hiz main kaha.
Saeeda Chachi donon se milen. Inaya ka matha chooma or us k haath main ik packet thamaya jis ko usny kuch hichkichaty huy lylia. unka to bus nahi chal raha tha k Zohaib or Inaya ki abhi shadi kara dain.
"ye kya chachi! ye to khula tazad hy! chachi aap meri hain or sari muhabbatain Inaya k liye. that's not fair." Manahil ny naraz hoty huy kaha.
"toba hy ye larki to. ary wo mehman hy or pehli baar ai hy uper se bohut khas mehman hy" Saeeda chachi ny Inaya ko pyar karty huy kaha. wo us per sadqay wari ja rahi then.
"thank you. bohut maza aya aap k saath." Inaya itni importance milny per kuch sharminda si ho rahi thi. usy Saeeda chachi shuro hi se achi lagin then wo burhi theen lakin un k saath bilkul doston ki tarah rahi then.
Saeeda chachi boht khush then aaj un ki ik bohut bari zimmedari poori hogai thi. hum log aksar apny buzurgon ko farigh chor dety hain. hamain lagta hy k hum unhen araam de rahy hain lakin ye un k liye mushkil ho jata hy. agar hum apny buzurgon ko choti choti zimme darion main masroof rakhain to baghair mehnat k bhi hum unko bohut pur sukoon zindagi de sakty hain. kiun k insan ko bnaya hi is tarah hy k wo kaam kary. hamari zindagi main khwahish hoti hy k koi kaam na ho koi zimmedari kuch na ho lakin agar aesa ho to hum buri tarah chir jaingy. zindagi main insan ko thrill chahiye hota hy koi maqsad chahiye hota hy jin ko achieve karny se wo khush hota hy.
Saeeda chachi apni behen behnoi se bohut attach then. Hasan or Safia bohut hi khush rehny waly log thy. wo Saeeda chachi k ghar se hi ja rahy jub Islamabad k qareeb unki gari taiz raftari ki waja se khai main ja giri. wo waqt sub k liye bohut mushkil tha bil khusoos Zohaib k liye jis ny chand minton k waqfy se apny sub se qareebi log kho diye thy. pta nai jin logon se hum muhabbat karty hain wo jald kiun chaly jaty hain is dunya se. aksar dekha hy k marny se pehly insan bohut si baten aesi kar jata hy k baad main lagta hy k usy pta tha k uski mot qareeb hy. Safia halan k bilkul tandurust then lakin Saeeda chachi ko jaty huy keh gain theen k Zohaib to ab aap k zimmy hy.
............************............
kal raat Zohaib k sard rawayye k baad Inaya bohut uljhi si thi. wo tyyar ho kar kitchen main ai to fridge pe ik chit nazar ai
"aaj office mut jana ik zaroori kam hy." Inaya kafi heran hui aesa pehli baar hoa tha. wo apna nashta kamry main ly ai or Zohaib ka kitchen main dhak k rakh dia tha. ab office nai jana tha to wo aram se nashta karny lagi saath main ajeeb se khyalat aa rahy thy or ab tak pta bhi nai chala tha k wo kal raat ko lait kiun hoa tha. abhi wo inhen sochon main uljhi hui thi k darwaz knock hoa or phir Zohaib ander aaya. wo seedhi ho kar bethi. is ghar main unko taqreeban saal ho gaya tha lakin aaj wo pehli baar us k kamry main aya tha kam az kam uski mojoodgi main to pehli baar hi aesa hoa tha. wo bed pe bethi thi. Zohaib bed k dosri side pe beth gaya. thori dair wo chup chap betha raha jaise baat karny k liye lafz ikathy kar raha ho Inaya ko pareshani hony lagi.
"tmhain officese kuch dinon k liye chutti mil sakti hy?"
"kiun? kis liye?" Inaya ko pareshani hui.
"abu theek hain?" pehla khayal usy apny ghar ka aya.
"haan koi bara masla nai hy. Saeeda khala bemar hain or wo tumhain yaad bhi karti hain to main chah raha tha k tum un k pas chali jao." Zohaib ny theher theher kar poori baat btai wo bohut uljha hoa lag raha tha.
"pta nai dekhna pary ga pehly len nai chuttian kabhi." Inaya ko apny ghar se tasalli hui to usny baat ko taal dya.
"dekho Inaya main janta hoon k hamary darmian koi aesa taalluq nai hy k tum kabhi out of the way ja k meri koi madad karo. or main tumse aesa kuch expect bhi nai karonga lakin Saeeda khala kafi bemar hain or wo meri wahid family hain." usy ahsas hi nai hoa k wo uski wahid family nai hain wo jis se baat kar raha hy wo uski biwi hy. usny baat jari rakhi "mera channel k saath contract hy to main chor kl nai ja sakta is liye tumse favour mang raha hon." wo apni baat kar k khamosh ho gaya tha lakin abhi gaya nai tha shayad wo abhi jawab chahta tha lakin Inaya abhi bhi uljhi hui thi.
"theek hy main kal boss se baat karongi." Inaya ny kaha.
"thank you." wo bohut ahsanmand lag raha tha.
............************............
Manahil aur Inaya ko murree se loty huy char din hogai thy or aj Manahil k ghar rishty waly aa rahy thy. ghar main hulchul machi hui thi. kaam koi khas nai tha phir bhi sub masroof thy. Inaya bhi kitchen main thi. sub bohut khush thy. agar kisi ko ye sub bohut bura lag raha tha to wo Manahil thi. larka inka university main class fellow raha tha. lakin kabhi koi khas baat cheet nai hui thi us se. isi baat pe Manahil hur ik se ulajh rahi thi k wo usy janti tak nai hain or wo mohtaram rishta ly kar aa rahy hain waghaira waghira. lakin yahi baat Inaya ko bohut achi lag rahi thi k bajai wo Manahil se baat karta or bekar qism k talluqat rakhta wo shareefon ki tarah uska rishta la raha tha.
phone musalsal baj raha tha. lakin kisi k pas time hi nai tha k uthaiye. Manahil bed pe laiti thi jub uski ammi ki awaz ai
"Manahil phone uthalo! koi kaam to karlo." Manahil bohut uktai hui uthi or usny phone uthaya.
"hello" Saeeda Chachi ki call thi.
"beta main ny isliye call ki hy k ammi ko bta dena k main or Zohaib kal karachi aa rahy hain." wo jaldi main lag rahi then.
"achaa!!" Manahil ki to khushi ka koi thikana nai raha tha.
"haan bus ammi ko bta dena. main zara jaldi main hon bahir Zohaib wait kar raha hy. main ny kaha tumhari ammi ko ittela kardon." phir unhon ny phone band kardia lakin Manahil k liye itna bohut tha. wo jaldi se Inaya ko apny kamry main khench lai or pholi hui sans k saath usko poori baat btai.
"wo to theek hy lakin unhon ny to tumhary rishty ki koi baat nai ki or zaroori thori hy k wo is liye aa rahy hon." Inaya ny apny khadshy ka izhar kya.
"haan lakin unhon nhy kaha k Zohaib bhi saath aa raha hy. or aesi koi baat na hoti to wo kiun aten abhi or hum kuch din pehly to mil k aye hain unse." Inaya bhi us k liye bohut khush thi.
............*************.............
Salam guys!!
ok to story us lamhy pe pohunch gai hy jub likha hoa ata hy "INTERMISSION" :)
Next episode bohut important hogi and Insha Allah aap log usko bohut enjoy bhi karaingy.
I kept thinking about my grandmother while writing this. She was the most inspiring woman i have seen in my life so please remember her in your precious prayers.
don't forget to vote and comment :)
thanksssss
![](https://img.wattpad.com/cover/99703630-288-k580848.jpg)
ВИ ЧИТАЄТЕ
Khuloos e dil
РізнеThis is my first novel. It is #1in Random 😍 It is in roman urdu. Hope you like it :) "koi agar kholoos e dil sy parhy mujhy main sur basar kitab e tamanna dikhai don hur aib sahi mujh main magar aj bhi mujh ko apnon main khafa hony ka andaz na aya"