Inaya musalsal be chain thi. Halan k usny socha tha k wo Zohaib k jaany k foran baad so jaigi lakin neend ankhon se koson door thi. Saeeda Khala kisi k ghar beti ki mubarakbaad deny gai thin. Wo poory ghar main tehel rahi thi. Phir usny bore ho k TV on kiya to breaking news chal rahi thi. Siren ki awaz .. ambulance .. Zohaib .. khoon .. golyaan .. use laga us ny kuch ghalat suna hy. Usko laga k bus sub khatam.. use apna aap mehsoos hi nai ho raha tha .. tabhi ptcl bajny laga .. door kahen se us k mobile k bajny ki awaz aa rahi then .. lakin wo saakt thi. Ye kya hogaya? Use yaqeen hi nai aa raha tha.. use laga wo dobara kabhi khari nahi ho saki gi. Repoter kisi gaari k samny khara musalsal chilla raha tha jaise Inaya ko awaz na aa rahi ho .. Or phir is sub main ik or awaz bhi shamil hui koi ro raha tha.. zor se .. hichkion k saath .. Wo samajh nai pa rahi thi k kon hy jub use Saeeda Khala Nazar aain. Abhi bhi wo khamosh .. jaise use zabaan ki naimat ata hi na ki gai ho .. wo aain or usko galy laga k roin bohut ziada or wo khamoshi se tv pe dekh rahi thi jahan ab tak breaking news chal rahi thi .. ab tak reporter chilla raha tha .. lakin manzar badal gaya tha .. ab reporter kisi hospital k samny tha .. wo bol raha tha k wo ye khabar sub se pehly de raha hy .. Inaya pochna chahti thi k ye khabar kiun de raha hy .. Inaya ka dil chaha k reporter ka gala band ho jai wo phir kabhi bol na pai .. Wo us sub se nawaqif nazar ati thi .. Lakin wohi to janti thi kya hoa hy. Us k baad Jo kuch hoa wo use sahi yaad nahi bus itna yaad hy k wo or Saeeda Khala Islamabad gaye thy wahan kisi hospital ki rahdari pe bethy thy. Saeeda Khala roti jati then or unki tasbeeh k daany taiz hoty jaty thy. chand log rahdari main any ki koshish main thy. unhon ny haath main mike uthai thy police waly nko rokny ki koshish main thy. Waqt guzarta gaya second minton main or phir ghanton main tabdeel hoty rahy soraj apna kaam kar k dhal gaya. Or phir use chand log nazar ai wo bhi ro rahy thy kuch zor se or kuch sirf aansoo se wo log Inaya ko galy laga k dilasa de rahy thy. or wo unko pehchanny ki koshish kar rahi thi. haan un main se kuch ko usny apni shadi pe dikha tha. to wo sub kya Zohaib k rishtidaar thy. use Zohaib ki baat yaad ai.
"Saeeda Khala meri wahid family hain." bohut jhoot bolta tha wo.
Use hairat ho rahi thi. Rony waly log kiun use dilasa de rahy hain. Uski aankhon se to ik ansoo bhi nahi tapka tha. Or phir use Taha nazar aya us k peechy us k maan baap thy. Wo uthi or Taha ko galy lagaya. Use hairat hui uski ankhain bhi sooji hui then. Wo sub se mili or phir us ny ik shakhsh ko darwaza kholty dekha usny green colour ki shirt usi rang ka trouser or wasi hi topi pehen rakhi thi. chehry pe green mask jo ab thori pe kardya tha. Haath main off white gloves thy. phir apny saath bethy logon ko uski taraf dorty dekha or phir in sub ko nafi main sir hilaty. or phir Taha ny us k kaan main kuch bola or use apny galy se laga lya. Taha bara bara lag raha tha.
............************............
Inaya ki jaag hui to wo Taha ki goad main laiti thi. Wo uth k bethi or usny apny aap ko pochty huy suna.
"Zohaib kesy hain?"
"Abhi tak koi behteri nai hy wo coma main hain." kehty hain buri khabar deny se pehly agly bande ko us k liye tyyar karna chahiye. Taha janta tha buri khabar hy lakin kuch khabrain kisi tareqy se bhi sunai jain wo buri hi rehti hain.
"acha Inaya! Zoahib bhai ka kuch samaan chahiye to tum chal sakti ho saath Lahore ya phir mujhy btado main..."
"nahi main saath jaongi." Inaya uski baat kat ty huy boli. use waqt laga tha sanmbhalny main lakin ab use himmat karni thi. use Zohaib k liye wo sb karna tha jo us k bus main tha.
"acha chalo main abbu se kehta hoon tickets book karain. hum donon chalty hain."
"Zohaib ka kuch samaan murree main bhi hy."
"haan wo Saeeda Khala ny mangwa lya tha. wo aya hoa hy. tum dekhlo."
Inaya ny bagpack khola or ander se zaroorat ki cheezen nikalen. phir use ik box nazar aya saath hi ik card tha. "Happy first marriage anniversary to us" box main locket or ear rings then. card pe aaj ki tareekh raqam thi.
"pta nahi is shakhs ko sahi waqt pe sahi baat karna kab aiga." or muskra k wapis bag main rakh dya. Abhi wo bag ko liye bethi thi k Taha wapis aya.
"Inaya Abu keh rahy hain aaj ki booking hona mushkil hy hamain by road jana hy. Aap Zohaib Bhai ko dekh aain phir hum nikalty hain."
Taha nahi janta tha usny kitna bhari kaam de dya hy Inaya ko.............************.............
Assalam-o-Alikum!
i hope k aap logon ka ghussa kuch hud tak utar chuka hoga. ye episode bohut mehnat se likhi hy to aap bila jhijhak tareef kar sakty hain. Zohaib ki tarah dair na lagain. :)
Aaj main ny ik faisla kya hy aaj se main kisi ko nahi kahoongi vote karny ka.
Agar pasand ai to khudi vote karain .. kuch kehna chahty hain to khudi comment 😂
Haan yar tabiat theek nai hy Dua karain and exams start hony waly hain uski bhi .. or haan meri poori koshish hy exams k doran episode miss na ho 😂
thanks :)
YOU ARE READING
Khuloos e dil
RandomThis is my first novel. It is #1in Random 😍 It is in roman urdu. Hope you like it :) "koi agar kholoos e dil sy parhy mujhy main sur basar kitab e tamanna dikhai don hur aib sahi mujh main magar aj bhi mujh ko apnon main khafa hony ka andaz na aya"