Wo log car main bethy Lahore k hudood main dakhil ho rahy thy. Or Inaya soch rahi thi k pta nahi Zohaib ko kaisa lagy ga jub use pta chaly ga k main us k baghair hi Lahore aa gai hon. Wo sara waqt yahi sochti rahi k jub Zohaib jagy ga to wo kya kahega or wo kya jawab degi. Jub wo btaigi k wo wedding anniversary ka gift dekh chuki hy to uska kya reaction hoga. Phir soch ki koi hud thori hoti hy wo to la mehdood hoti hy.
.............************............
Taha ny ghar ka lock khola or donon ander dakhil huy. Ik ajeeb se wahshat ho rahi thi Inaya ko us ghar se. Taha lounge main betha or Inaya baghair kuch kahy Zohaib k kamry main gai. Taha k liye bohut mushkil waqt tha. Us se pochy baghair usy bara bna dya gaya tha. Wo chahta tha Inaya us se baat kary. us ny socha that wo roi gi to wo usy dilasa dega lakin yahan to kuch bhi aesa nahi ho raha tha. Taha ko laga k wo tooty gi to wo jor lega lakin wo to mazboot thi lakin ajnabi lagti thi.
............************............
Inaya Zohaib k kamry main enter hui or cheezon ko dekhny lagi. Bed pe kuch shirts rakhi then Jo packing k doran us ny chor de then. Kamry main us k cologne ki mehek ab bhi mojood thi. Wo kamry main ik ik cheez ko baghor dekhny lagi jaise koi naya ghar lyny ata hy to dekhta hy. Phir bahir nikli Taha kitchen main khara tha. Us ny kuch khana mang waya tha wo khol raha tha.
"Main kamry main ja k saman dekhti hon tum khana kha k so jana. Phir uthain gy to wapis jana hy." Us ny dispenser se paani ki bottle bharty hui kaha or baghair koi jawab suny wapis kamry main chali gai. Or Zohaib k wardrobe k samny khari hui or note main se dekh k zaroorat ki cheezen nikalny lagi. Ik k baad ik teezi se or phir jub note ki gai cheezen khatam hogai to wahin dewar se take laga k bethi or paani ki bottle mon se lagai or adhi khatam kar k mon se hatai. Phir kisi khayal k tahat uthi or dressing table se iski cheezen nikalny lagi. Phir thak k bed pe laiti or pta hi nahi chala k kab neend main chali gai. Qareeb derh ghanty baad jaag hui to khayal aya k 2 din see usne koi namaz nahi parhi. Uthi or wodhoo Kar k musallah pe khari hui or 2 ghantoon main namazain parh k jo samaan jama kya tha usko atachi main rakha or bahir aa gai. Samny sofy pe Taha so raha tha.
............************...........
Inaya k kamry main jaany k baad Taha ny thora sa khaya or waheen Beth gaya use samajh nahi aa raha tha k wo Inaya k paas jaye ya yahen rahy. Or ab zara si thak thak se uski jaag hui to dekha Inaya ny poora atachi tyyar Kar rakha hy. Use samajh nahi aya is sub ki Kya zaroorat thi.
"Main ny call kardi hy thori dair main car aa jaigi phir nikalty hain" bus itna keh k wo khamosh hogaya. Khoni rishty bohut ajeeb hoty hain jitni qurbat hoti hy utni hi uljhanain hoti hain. Jis tarah sub se ziada khushi rishtydaaron k saath baant k milti hy usi tarah kuch baaten rishtydaaron se karna sub se mushkil hota hy.
.............************............
Car tezi se sarak pe dor rahi thi or Taha ka phone bajny laga number bahar ka tha.
"Hello"
"Walaikum asalam Manahil baji"
"Wo coma main hain lakin Dr pur umeed hain."
"G wo yahen bethi hain." Or phir usne phone se Inaya ki taraf ishara kya. Inaya ny nafi main sur hilaya or wapis bahir dekhny lagi. Pta nahi kiun lakin wo abhi Manahil se baat kar k Zohaib k baare main tasallian sunny k mood main nahi thi. Taha ny koi bahana bna k phone band kardya.
"Wo keh rahi then k aap ko call kar rahi hain aap utha nahi rahen." Taha ny pocha.
"Haan mera phone band ho gaya hy." Inaya ny sathi sa jawab dya.
"Ary to charge karten na ab hur koi call kar raha hoga tabiat pochny k liye." Inaya ny use dekha or bus kuch kahy baghair apna phone or charger nikal k use de dia or phir bahir dekhny main mashghool hogai. Uski Zindagi main phone sunny se ziada zaroori kaam thy. Taha ny uska phone car ki cable se connect kya or phir khamosh hogaya wo samajh gaya tha k Inaya kisi ka phone nahi sunna chahti thi. Jub car hospital ki parking main pohunchi to subah subah ka waqt tha. Inaya car sy utri or hospital main enter hui. Is jaga pe bhi subah k waqt khamoshi thi. Wo rahdari pe chalti hui ander ai to use wo rahdari jo kal logon se bhari hui thi ik dum weraan lagi. Parson jis hud ko paar na karny k liye police waly khary thy aaj wahan koi police wala na tha phir bhi koi hud paar nahi Kar raha tha. Unhon ny hospital staff see baat Kar k ik kamra book karaya tha. Wo darwaza khol k ander dakhil hui wahan us k maa baap. Saeeda Khala unki beti or damaad bethy thy. Uska demagh ghoom gaya. Bus yahi log. Us k aty hi sub use mily or phir wo apni ammi k saath beth gai. aesa nahi tha k ziada logon ki mojoodgi main Zohaib ny uth jana tha. lakin kabhi kabhi bus mojood hona bhi kaafi hota hy.
"Sub kahan gaye?" Usny pocha.
"Beta kal shaam ko chaly gaye thy sub log. Yahan kesy bethty." Uska dil chaha k wo Zohaib ko btaye ja k k koi nahi rukta kisi k liye. us ny socha wo use shikayat karygi. Uski ammi dobara bolen.
"Zohaib ki halat to wasi hi hy lakin use room main shift kya hy tum ja sakti ho ander. Or phir wo uthen or Inaya ko saath laga k ly gain. Lakri ka darwaza khola or ander dakhil huy bed pe ik shakhsh lyta tha jis k ander na jany kitni tubes ghusi hui then.
............************.............
Salam!
haan g kesi lagi episode. MS_HUMA thanks for reminding me every time to upload. :)
and thanks to Sadiarajper for just waiting for the episode and sending me awesome voice note after every episode :)
well or kuch nahi kehna aap ko pta hy jb achi ep parhty hain to kya karty hain. :)
![](https://img.wattpad.com/cover/99703630-288-k580848.jpg)
VOCÊ ESTÁ LENDO
Khuloos e dil
DiversosThis is my first novel. It is #1in Random 😍 It is in roman urdu. Hope you like it :) "koi agar kholoos e dil sy parhy mujhy main sur basar kitab e tamanna dikhai don hur aib sahi mujh main magar aj bhi mujh ko apnon main khafa hony ka andaz na aya"