Huqooq-ul-Ibaad

230 21 11
                                    

Inaya jub uthi to soraj nikal chuka tha or pardy se halki halki roshni ander ati thi. raat ko wo khana khany k baad rest karny gai or ab uthi thi. wo uthi waqt dekha to 8 baj rahy thy. wo bed se uth k khirki ki taraf ai or parda hataya lawn main chair pe Saeeda Khala bethi Quran shareef ki tilawat kar rahi then. unka chehra bohut roshan or pur sukoon tha. Inaya ko samajh nahi aya k Zohaib ny Saeeda Khala ki bemaari ka jhoot bola tha ya wo waqae bemar then khair use ghussa nahi aya tha ajeeb baat thi. wo abhi bhi khirki se bahir dekh rahi thi jub use isi lawn ka ik purana waqea yaad aya. jub wo log tyyar ho k nikal rahy thy Zohaib or Manahil bahir khary hansty huy koi baat kar rahy thy or Inaya ko unko dekh k laga k wo waqae ik dosry k liye bany hain. manzar ghayab hoa to us ny pardah band kardya. aj bohut arsy baad use Manahil boht yaad aa rahi thi. wo soch rahi thi k wo pta nahi ab kesi hogi .. pta nahi use khana bnana aa gaya hoga ya ye kaam us ne shohar k sapurd kar dya hoga. shadi k baad kuch arse to logon se us k baary main pta chalta rehta tha lakin ab khabron ka wo silsila bhi khatam huy bohut waqt beet chuka tha.

............************............

Zohaib subah utha to mobile dekha budh ka din tha or 9 baj chuky thy us ny itminan ka sans lya k aaj to nashta kitchen main bana rakha hoga kuin k aj Inaya ki baari hy jub office jany k liye tyyar ho k nikla or kitchen main pohuncha to nashta na pa kar yaad aya k Inaya to Islamabad ja chuki hy ik dum dil bohut udaas hogaya. wo aesy hi dining table pe betha or sochny laga k uski biwi sub masail hony k bawajood bhi ideal hy haan thori akhar hogai hy. baat nahi karti lakin kuch cheezen us k mizaj main aesi ghundhi hui theen k wo chahty hy bhi use chor nahi pai thi. wo anjany main bhi Zohaib ka khayal rakhti thi us k khany ka us ki routine ka. use Inaya k haath ka khana bohut pasand tha lakin ab tak wo use ye bta nahi paya tha. wo kisi sahi moqy ki talaash main tha or wohi moqa haath nahi aa raha tha. bus yahi cheezen then k itna waqt larai k bawajood bhi use Inaya ki kisi baat se seshikayat nahi hoti thi. phone ki ghanti ny use chonka dya to phone kaan se lagaty huy wo baghair nashta kiye bahar nikal gaya. Inaya k khaanon ko yaad kar k hi usny apna pait bhar lya tha.  

............************............

wo fresh ho k kamry se nikli to kitchen main maasi nashta bnati hui nazar ai to wo waheen chali gai. usny us k saath mil k omelette banaya or khana lawn main hi ly ai.

"ao ao beta neend sahi ai tumhain?" Saeeda Khala ny aadatan mushfiqana andaazse pocha.

"g khala bilkul" usny muskura k jawab dia or donon khany main mashghool hogai.

"haan beta hafty ko Zohaib k ammi abbu ki barsi hy to isi silsily main wo hur saal yahan quran khwani rakhwata hy yaheen se kuch mery janny waly log or kuch madarsy k bachy aa jaty hain. acha hoa is baar tum bhi ho." char saal pehly jub Zohaib k ami abu ki hadsati mot hui to ye sub k liye ik bohut gehra sadma tha. kuch waqt to logon ny bohut humdardi dekhai lakin waqt k saath saath sub aa gy barh gai. maan baap k saath saath Zohaib k maan baap se jury rishtidaar bhi choot gai. Zohaib bohut mail jol rakhny wala shakhas tha. rishtydaaron se bohut gehry taalluqat na sahi lakin salam dua rakhta tha. lakin maan baap ki pehli barsi pe jub koi na aya to us ny is baat ko bohut shiddat se mehsoos kya. logon ka rawayya badal gaya tha. lihaza us ny bhi ahista ahista saary rishty khatam kar dya. ab ik Saeeda Khala theen.

"lakin wo khud nahi aaingy?" Inaya ko ye baat ajeeb lagi thi. uski shakhsiyat bohut pur asar na thi lakin wo hur baat k mutalliq raye trakhti thi.

"haan mujhy to laga tha wo bhi aa jaiga tumhary saath lakin bara Masroof rehta hy ab?"

"G!" Inaya thora bokhla gai usy andaza nahi tha wo kya wazahat de. wo to khud nahi janti thi k Zohaib ki kya masroofiat hain.

"acha tum baat karo kya pta aa jaye is week." Saeeda khala ny kaha or us ny chaye ka sip lya or sochny lagi mere kehny se kab aany lagy.

nashty k baad us ny chand kaam nimtai or phir kitab parhny lagi. Saeeda Khala kitaabain parhny ki shoqeen then. unhon ny apny ghar main hi ik choti se library bna rakhi thi. jiski aadhi books to un ki bhanjy bhatijy ly gaye thy or wapisi k koi asraat nahi thy. Inaya ka demagh kitaab pe nahi lag raha tha to wo Saeeda Khala k saath ja k beth gai or idher udher ki baatain karny lagi. or akhir wo baat bhi hogai jis ny uski zindagi ko ik ketehry main la k khara kardya.

"beta tumhara ab Manahil se raabta nahi hy?" Inaya pehly to un ki baat pe kuch bokhla gai lakin phir boli

"nahi bus ab itni masroofiyat hoti hy k kisi se baat hi nahi hopati."

"sahi. lakin beta achy log ziada nahi milty to jo mil jai unko chorna nahi chahiye." Inaya ny unki baat pe sur hila dya. phir kuch dair sochny k baad akhir kaar poch hi lya.

"kesy hy wo?" ye sawal to us ka usi din se zehen main ghoom raha tha jis din Manahil ki shadi hui thi. bs himmat nahi thi k wo apni best friend se pooch saky k wo kesy hy. ya phir shayad use jawab se khof tha agar wo khush na hui to .. ye baat usy bohut takleef deti thi k wo apni dost k liye mushkilaat ka bais bani. wo mujrim na sahi mulzim zaroor thi.

............************............

Saalam guys!

sorry everyone pichly week mids ki waja se episode nahi likh pai.  :(

agli episode KAMAL honi wali hy IA ;)

KEEP SUPPORTING, VOTING AND COMMENTING :)

Thank you for reading :)

Khuloos e dilWhere stories live. Discover now