Zohaib ny packing ki or phir to kuch saman lyny k liye ghar se bahir gaya. Shopping mall main jewellery ki shop ko dekhty hi use Inaya yaad ai or wo mazeed kuch sochy baghir shop main dakhil hogaya. Kuch dair sheeshy main rakhi jewellery dekhny k baad use ik necklace pasand aya wo bohut simple si golden chain thi jis k saath ik flower tha darmian main rakhy safaid moti k ird gird paanch patian then. Us ny use k saath ki baliaan len or payment ker k bahir aa gaya.
.............************............
Inaya subah uthi or phir kitchen main nashta bnany chali gai. Nashta karny k baad wo Saeeda Khala k saath kal k maamlat ty karny lagi. Khana .. dawat namy .. safaid chadrain .. sipary sab karny k baad usny agly din k liye apny kapry nikal k istri kiye or Ishaa parhi. Aaj saara din kaam ki thakawat ki waja se bed pe lait ty hi wo neend main thi.
Azaan ki awaz se hi us ki jaag hogai. Saeeda Khala k Ghar k saath hi masjid thi or azaan ki awaz bohut saaf ati think jub k Lahore main namaz k auqaat k liye alarm lagaya howa tha. Wo uthi or wodhoo Kar k nikli to use lounge se do nihayat sanasha logon ki baaton ki awaz ai use intehai hairat hui wo tezi se bahir nikli to saakt reh gai. Lounge main do zero k bulb jul rahy thy Jin ki waja se halki roshni thi. Aesy main Saeeda Khala or Zohaib sofy pe bethy thy. Zohaib ki pusht thi Inaya ki taraf thi. Jub Saeeda Khala ny Inaya ko dekha to ansoo ponchty huy kaha."Dekha hamari awazon ny Inaya ko jaga dia. acha ab tum log betho main namaz parhoon." Zohaib foran palta or Inaya ko dekha. Uski ankhain sooji hui or laal then. Inaya ny Salam kya jis k jawab main wo khara hogaya or haath agay barhaya. Inaya ny jhijhakty huy use Salam kya.
"Aap kab ai?"
"2 bajy ki flight se. Tumhain call ki to uthya Nai mujhy shayad phone silent pe tha. Is liye Saeeda Khala ko call karni pari bus phir unko neend hi nai ai to baaten karny beth gaye."
"Hmm. Aap ka to koi irada hi nai tha any ka phir achanak kesy?" Zohaib muskuraya
"Haan kisi ki call ai thi or usne convince kya k mera yahan hona zaroori hy.
"Aap kuch khaingy?" Inaya ko achanak khayal aya.
"Haan plz bohut dair see bhook lagi hy. Saeeda Khala ko mana karta raha k wo phir bohut takalluf karti hain. Lakin pehly namaz parhly ty hain. Phir wo kamry ki taraf chaly gaye. Zohaib wodhoo Kar k masjid chala gaya. Inaya ny namaz parhi or kitchen main Zohaib k liye omelette or paratha bnany lagi. Jub Saeeda Khala ain. Wo Zohaib k any pee bohut khush then.
"Acha hoa tum ny use bula lya. Maa baap bohut bari naimat hoty hain. Aaj wo jub se aya hy unko yaad karta raha hy. Insaan jitna bhi bara ho jaye maan baap ki kami kabhi poori nahi hoti." Inaya ny haan main sur hilaya. Or chola jalany lagi. Jub Zohaib wapis aya to nashta ban chuka tha. Wo betha to Inaya ny bola
"ooh main chaye bnana bhool gai." Wo ye keh ker uthny lagi to Zohaib ny roka. or hansty huy bola.
"Nashta karlo. chaye bnany ki baari to meri nai hy." Wo Inaya ko sharminda to nahi karna chahta tha lakin wo ho gai thi. Wo beth gai or phir wo khany lagy. Nashty k baad Inaya kitchen main chaye bnany chali gai to Zohaib bhi saath hi aa gaya.
"Main ny tumhain kabhi btaya nahi. Tum chaye bohut achi bnati ho." Inaya muskurai. Tareef kisko buri lagti hy.
"Acha aj mehmaan kis time aingy?"
"Shayad 11 tak." "Acha phir to chai pi k mujhy sojana chahiye.
" Zohaib ny ghari dekhty huy kaha. Inaya ko uski baaten ajeeb lag rahi then. Wo to do din see ye soch k pareshan thi k wo Zohaib ka samna kesy karegi. Or ye shakhs tha k mehsoos hi nahi hony deta tha k kuch badla hy.
............************............
Us roz Quran khwani ki waja se sub mehmaanon main masroof rahy. Agly din Zohaib ko subah kisi kaam se Islamabad jana tha. wo tyar ho k bahir nikla to Inaya bhi us k peechy ai. wo use khuda hafiz kehny k liye mura to Inaya ka dil chaha k wo use rok ly lakin abhi itni himmat nahi ai thi. lihaza khamosh rahi.
"acha phir main shaam tak aaonga." Zohaib ny btaya.
"acha phir Lahore kab jaana hy?" Inaya ny poocha.
"haan ye aaj ik meeting hy. us main mera schedule pta chaly ga phir us k hisaab se koi faisla karty hain." poora saal guzar gaya tha shadi ko or ye pehli baar tha k donon ik hi baat pe muttafiq huy thy. Khair dair aye durust aye. pta nahi Inaya ko uska jana acha nahi lag raha tha. channel walon ny us k liye gaari bhijwai thi jis main wo betha or rawana ho gaya. Inaya ny aasman ki taraf dekha door soraj tulooa ho raha tha. lakin kisi khabar thi k aaj ka soraj n ki zindagi ko ik ajeeb dorahy pe la khara kary ga.
............************............
wo gaari main betha bahar dekh raha tha. mosam bohut khushgawar tha. ik taraf dekho to soraj tha or dosri taraf kaaly badel. usny gaari ka sheesha neechy kya. theek 10 min baad use do golian chalny ki awaz aai. or phir khoon k qatry us k haath pe girny lagy. or chand second ka khail tha or us ki aankhon k samny andhera cha gaya.
............************.............
Asalam o Alikum
I owe you an apology for not uploading the episode last week and for this episode. yaqeenan aap log ghusse main hongy jo uper hoa mujhy bhi bohut ghussa hy per kya kar sakty hain. :'(
please vote, comment and share with others.
thanks :)
YOU ARE READING
Khuloos e dil
RandomThis is my first novel. It is #1in Random 😍 It is in roman urdu. Hope you like it :) "koi agar kholoos e dil sy parhy mujhy main sur basar kitab e tamanna dikhai don hur aib sahi mujh main magar aj bhi mujh ko apnon main khafa hony ka andaz na aya"