Anirudh bohot try karta hai ki vo bondita se akele me baat kar paye par ghar ke sabhi log bondita ko gher kar beth jate hai.....
Anirudh - bondita zara meri madad karogi vo meri shirt nahi mil rahi hai please zara mere sath chalo....
(Poronita enters)
..... Oohhh badhai ho meri bondu.... Aapko bhi badhai ho anirudh babu... (And hugs bondita)...Anirudh (in his mind) - ishe bhi abhi hi aana tha...
Anirudh (to poronita) - par poronita tumhe kisne bataya ki bondita pregnant hai....
Poronita - arey anirudh babu pure tulsi pur ko pata hai...ki roy chaudhary ki babu pet se hai...
Anirudh 🤦🏻♂️ (in his mind) - anirudh kuch toh karna padega bondita ko samjhana hi padega...
Binoy - arey anirudh kaha khogye... Tum baap banne wale ho tumhe toh khush hona chahiye... Toh ye kya soch bichar me doobe ho...
Batuk - arey baba ab bodi ka pyaar bant jayega na sayad ishi baat se dada dukhi hain..
Kaka - dekho bhai anirudh ab tumhe hi bahu ka pura dhyan dena hai... Chalo jao ab bahu ko upar kamre me le jao aur thoda aaram karbao... Aur haan kuch mahino tak tumhara aur bahu ka kamra neeche hi rahega kyu ki bahu ko seedhi chadhne utarne me takleef hogi na....
Anirudh (in irritating tone) - jiii kaka... Aur kaka kya ab me bahu ko... mera matlab hai bondita ko le ja sakta hu..
Kaka - haan bhai tumhari hi patni hai😉😀
Anirudh mauka dekh kar bondita ko kamre me lejata hai... (And closed the door) anirudh bondita ke chehre par hath rakh kar.... Bondita ye kya hai....
Bondita (in happy tone)- pati babu aap pati babu se pita babu banne wale hai🤩 (and puts anirudh hand on her stomach) dekhiye na humara chota laadla aane wala hai....
Anirudh - bonditaaaaa tum samjh kyu nahi raho... Tum yanha betho aur pani pio...
Bondita - kya hua pati babu... Maana ki aapko meri chinta hai aur apne hone wale bacche ki bhi.... Par aap chinta mat kijiye me samhal lungi sab...
Anirudh - bonditaaa! bonditaa! Me tumhe kese samjhau tum meri baat samjh kyu nahi rahi
.....Bondita - kya nahi samjh rahi me pati babu...🙄
Anirudh- yahi ki tumm......
(Sudden knock at door).....
Anirudh opens the door and.... Arey sumati maa aap...... (Bondita)- maa tu yanha 😄......
Kaka comes - haan hume jese hi pata chala ki bahu pet se hai humne turant birju ko devi pur bahu ki maako lene bhej diya... Tha..
Bondita hugs her mother...
Anirudh - bondita tum maa se baat karo me abhi aaya...
(Anirudh leaves)..... Hey bhagwan me bondita ko kese samjhau.....haan! Aaj raat ko me bondita ko sab samjha dunga.....
(At night dinner time)....
Kaka - bahu aaj se tum koi kaam nahi karogi aur tumhari pariksha bhi samapt ho gyi hai ishliye tum ghar par hi aaram karogi...
Bondita - ji kaka sasur ji... Par ghar ke kam bondita ke bina pure kaha hote hai aur agar me ghar par kaam nahi karugi toh bore nahi hojaungi...
Kaka- bas tark karbalo tumse...ab tum pooja path karna aur ramayan bhi padhna acchi acchi kitabe padhna jisse bacche kaa dimak bhi accha ho... Samjhi...aur chalo jao ab apne kamre me...
Anirudh - haan haan chalo bondita...
Sumati maa (interupts) - jamai babu agar aap bura na maane toh.. kya me bondita ko aaj apne sath sula sakti hu....
Bondita - arey maa pati babu kyu bura maanenge... Vese bhi me bhi toh kab se apni maa ke god me sar rakh kar nahi soyi....
Anirudh reaction 🤦🏻♂️.... (In his mind)... Kya bondita daily toh mere kandhe par sar rakh kar soti ho... Aaj kaha se maa ka pyar yaad aagya...
Bondita 🤨 - pati babu ap ne kuch kaha kya???..
Anirudh - nahi! nahi! nahi! toh...
Anirudh (in his mind)- kaan 👂 toh itne bade hai tumhare bondita ki mere man ki aabaz bhi sunleti ho... Par dimag itna chota hai ki jo me samjhana chah raha hu vo samjh hi nahi paa rahi😬😬....
(Finally at night 2 pm)...
Anirudh (to him self) -mujhe bondita ko sab kuch samjhana hi hoga... Mujhe abhi hi bondita se milkar baat karni hogi... Anirudh covers his face and take torch and moves towards guest room...
Anirudh guest room me pahuchta hai jahan sumati maa aur bondita so rahe hai... Andhera hone ke karan usse ek flower vase gir jata hai... Aur bondita abaz sunkar uth jati hai..
Kaun kaun hai bahan.... Choooooooo.... And anirudh covers his mouth.... Bondita chup me chor nahi me hu anirudh... Pati babu aap yanha aur ye choron jesa haal kyu bana rakha hai... Bondita mujhe tumse bohot jaruri baat karni hai...haan sab janti hu me aap yahi bolne wale hai ki bondita mujhe tumhare bina neend nahi aarahi mujjhe tumhari yaad aarhi hai..... ..Nahi bondita baat vo nahi hai.... Kya matlab pati babu aapko meri yaad nahi aarhi... Arey yaad toh aarhi hai..... Pati babu ap badal gye hai aap pehle wale pati babu nahi rahe....
Anirudh puts finger on bondita's lips chup bondita... (They both are very close) bondita me tumse pyaar karta hu.. toh tumhe yaad kyu nahi karuga bhala..... par bondita abhi me tumhe kuch batana chahta hu tumhe kuch samjhana chahta hu... Please meri baat samjho....
Suddenly sumati maa wakes up and switch on the light... Arey pati babu aap ynha...
(Couple is in awkward moment🤭😍)
Anirudh - vo maa! me...vo me..
Sumati - samjhti hu me jamai babu aap meri bondita ko itna pyaar karte hain ki ek pal bhi uske bina nahi raha jata...
(Anirudh and bondita smiles😊)
Sumati maa - par jamai babu ek din ke liye aapki patni mujhe udhar dedijiye....
Anirudh (smiles and leaves)...
Anirudh in his mind - ab chahe kuch bhi hojaye me kal bondita ko sab samjha ke hi rahunga....
I hope you will like it🍀
![](https://img.wattpad.com/cover/245960406-288-k931259.jpg)