"Zaryan ek baat kahun?"
Lounge ke sofey per bethe hue uska sar Zaryan ke seene per tha aur Zaryan ke dono baazu uske aas paaas samne tv per koi movie lagi hui thi jo woh dono dekh to rahe the magar dimaag kahin aur hi tha.
"Nahi kahun ga tab nahi kaho gi?"
Usne chehre ko jhuka kar kaha to woh muskura di.
"Aap mujhe chup nahi karwa sakte Zaryan sahab..!"
Woh boli to dono has pare.
"Pata hai mujhe begam sahiba ab bolo kya baat hai?"
Usne narmi se uske ek haath per apna angutha pherte hue kaha.
"Main apni book publish karwana chahti hun"
Usne kuch der sochne ke baad kaha to Zaryan ne uska chehra bagour dekha.
"Main apni is khouf aur dukh me khuda ka diya waqt zaya nahi karna chahti..shayad main ab kaam nahi kar sakun gi magar main apni book complete kar ke us opportunity ko avail karna chahti hun jo khuda ne mujhe di hai aap ke zariye!"
Woh use dekhta raha phir uske haath ko apne haath me thaam kar use khud ke aur kareeb kiya.
"I am proud of you Nisa...main har kadam pe tumhare saath hun tum jaanti ho yeh baat haina..?"
Seherunnisa ne uske dil ke kareeb apne sar ko rakha aur ankhe band kar lin.
"Jaanti hun aur is baat ke liye khuda ka bohat shukar bhi adaa karti hun"
Woh ahista se boli to Zaryan ne uske sar ko chooma.
Shayad uske jisam ka har hissa jald kaam karna band kar jaaye magar use ek baat pata thi woh shaks humesha uske paas tha he aur uski akhri saans tak rahe ga._______
"Sir?"
Woh yak dam chonka aur apne samne khare us larke ko dekha jisne haath me dhero files pakri hui thi aur uske aage hukam ka muntazir tha.
"Hm..?"
"Woh main us project ka puch raha tha file bhej dun designs ki?"
Usne apne laptop ko ek nazar dekha phir us larke ko dekh ke sar ko kham kiya.
"Han...Fareed sahab se ek dafa designs check kar len.."
Usne kaha to larka kuch ulajh kar unhe dekhne laga phir thora hich kicha kar bola.
"Sir yeh designs Fareed sahab ne hi banaye hain..."
Zaryan use dekhta raha phir ankho ko zor se band kar liya.
"Sir agar ijazat ho to ek baat kahun?"
Us larke ne kaha to Zaryan ne ankho ko khol kar thakawat bhari ankho se use dekh ke sar ko haan me hilaya.
"Aap ko araam ki zaroorat hai Zaryan sir aap bohat thake hue lag rahe hain....agar aap ko theek lage to aap ghar jaa ke araam kar len?"
Us larke ne kaha to Zaryan ne ek gehra sans liya aur use Shukriya keh kar aur use file aage bhejne ki hidayat de kar woh khud bhi ghar ki taraf nikal para.
Darwaza ke saath pari choti table pe chabiyan rakhte hue woh andar aya aur mulazima ko awaaz dene laga jo uske pukaarne per bhi nahi ayi thi aur woh kuch heran hua aur apne kamre ki taraf chal diya.
Kamre ka darwaza khol kar dakhil hote hi usne foran bed ki taraf bhaagte hue Seher ko pukara."Nisa kya kar rahi ho?"
Woh pareshan sa uake paas aya jo bed ke neeche se kisi cheez ko nikaal ne ki koshish kar rahi thi magar naa hi usse sahi se jhuka jaa raha tha naa hi uski unhliya us cheez ko pakar paa rahi thi.
Woh uski awaaz per thora uthi aur use dekha jo foran uske paas aa kar uskebaazu aur kandhe ko pakar ke upar kar raha tha.
YOU ARE READING
Tu woh chaand
RomanceZaryan Saeed & Seherunnisa Afnan Kuch rishte aap ki zindagi me ek thande hawa ke jhonke ki tarah aate hain aur kabhi do pal ka sakoon de kar chale jate hain to kabhi zindagi bhar ka gam de kar ke... __________ "Baba is diary me kya he?" Usne pucha t...