Chapter 26

546 34 58
                                    


"Nisa!"

"Zaryan bata rahi hun main yeh nahi de rahi main"

"Yeh mera kebab tha! Chouri he yeh fraud he fareb he!"

Woh bolta hua khara hua aur bed pe chari hui Seherunnisa ke paas gaya.

"Seherunnisa agar yeh khaya to main bata raha hun acha nahi ho ga"

Woh bed per chalang mar ke khara hua aur uske saath hi Seherunnisa bed per gir gayi.

"Ahh...! Kya..batameezi hai Zaryan..!"

Woh apni gardan malti hui boli to Zaryan thora peeche hua.

"Tumhari galati hai.!"

"Konsi meri galati kahan ki meri galati? Ek kebab hi liya tha"

Woh side per ho kar lait gaya to Seherunnisa kuch bolte hue ruki aur hasne lagi.

"Dimaagi tawaazun hil gaya he?"

Zaryan ne chehra mor ke use dekh ke kaha to woh aur hasi.

"Bacho ki tarah lar rahe hain hum nahi?"

Usne kaha to Zaryan bhi muskura diya.

"Woh to humesha bacho ki tarah hi fazool baat hoti hai"

"Mujhe...kabhi nahi laga tha ke haqeeqi zindagi me main kabhi ek aisa dostaana rishta apne shohar se qayam kar paun gi magar aap ne sab kuch mere liye possible kar diya..kabhi change mat huiye ga..!"

"Main jo hun tumse hun. Tum ho to main aisa hi rahun ga"

Woh dheere se bola aur uska haath thaam liya....

Zindagi bhi kya cheez hoti hai woh usi hotel usi kamre me tha magar aaj woh nahi thi...woh kamra us kamre se nazar aata nazaara woh sheher kuch nahi badla tha magar bas is baar naa hi Seherunnisa thi wahan naa hi Seherunnisa ka Zaryan tha wahan.

Woh dheere se aage hua aur Zaina ka kambal sahi kar ke wahn se uth kar khirki ke paas gaya. Istanbul ka sheher raat ke waqt bhi roshnion se jagmagaa raha tha aur us hotel ke samne hi samandar tah jiski lehre us waqt beyhad thami huin thi. Kaash uska dil bhi waise hi tham pahta. Kaash.

Woh apni sochon me gum tha jab uska phone baja aur usne number dekha aur thora uljha magar use uthaya.

"Um..hello?"

Aage se aati nervous si awaaz per usne dheere se apni gehri awaaz me jawaab diya.

"Jee Ms Khan?"

Usne professional andaaz me baat ki magar use bohat bura feel hua tha shayad woh thora rude sound kar raha tha. Woh aisa to nahi tha..

"Aap..busy lag rahe hain..I'm sorry maine aap ko disturb kar diya shayad.."

Woh kuch sharminda si phone rakhne lagi jab uski awaaz per ruki.

"Nahi...nahi..! Main busy nahi hun Aap ko yaqeenan koi kaam ho ga boliye?"

"Actually...main Istanbul pehli baar ayi hun aur mujhe kuch idea nahi hai khane ka aur...language ka bhi...issue tha phir...maine socha koi restaurant search kar lun magar Mujhe..woh bhi samjh nahi ayi to..."

Woh is kadar ghabrayi hui thi goya ke yun lag raha tha ke woh abhi kisi ka qatal kar ke aa rahi ho aur uski tafseel bayaan kar rahi ho.
Zaryan halka sa has diya jis per Waliyah chonki phir uske chehre per muskurahat numaya hui.

Tu woh chaand Where stories live. Discover now