Tareek kamre ke bed per bethi woh pichle do ghento se zehni uljhano me giri pari thi. Us sarak per khare ho kar uske shohar ka use apne liye khaas kehna aur phir uski baki sab baaten woh sab use aaj puri raat uljha kar rakhne ke liye kaafi thin.
Woh apne saath laite us shaks ko dekhti rahi kabhi kabhi hum kisi ko dekh ke yehi sochte reh jaaten he ke akhir yeh insaan sochta kya he ya phir uske dil ke chal kya raha hai?
Aur amooman hume is baat ka jawaab nahi mil paata kyun ke agla insaan naa hi batane ko taiyar hota hai aur shayad woh samjhae bhi to hum sahi se samjh nahi paate.
Woh yak dam apni jagah se hila aur ahista se uski ankhe khulin.
Woh aadhi band ankho ko kholne ki koshish kar ke kuch heran ho kar apni koni per utha."Seher? Kya hua he?"
Woh khamosh rahi.
"Kya tabiyat kharaab hai?"
Phir sawaal aur phir khamoshi.
Zaryan khamoshi se use dekhta raha phir kuch soch kar bola."Meri baat ki wajah se...pareshan ho?"
Is baar usne apni nazre churayin.
Zaryan ne ek gehra saans liya aur bola."Dekho mera maksad tumhe pareshan karna nahi tha bas main..."
Woh khamosh hua to Seherunnisa boli.
"Kya Zaryan?"
"Meri zindagi me bohat ziyada rishte nahi hai jitne hain unhe main kisi mushkil me nahi dekh sakta."
Usne uski ankho me dekhte hue narmi se kaha aur uska haath thaam liya. Seherunnisa ke andar kuch pighla tha aur usne apne dusre haath ko uske haath ke upar rakha.
"Aap ke is khayal ki kadar karti hun main lekin main kabhi bhi koi baat sakhti se nahi maanti Zaryan mujhe aap narmi se kuch bhi kahen ge shayad me maan lun lekin main koi farishta nahi hun ke aap ki har baat ankhe band kar ke maan lun main bhi ek insaan hun meri apni raye hai."
Usne kaha to Zaryan ne halka sa muskura kar uske chehre per aate baalo ko kaan ke peeche kiya. Magar Seherunnisa uski ankho ki uljhan saaf dekh sakti thi.
"I know Nisa and I'm sorry...! Ab aise nahi ho ga waada"
"Pakka?"
"Pakka!"
Woh bhi muskura pari Zaryan ne use dheere se apni taraf khencha to woh uske kareeb uske kandhe ke paas aa kar uska sar takiye per tika. Seherunnisa ka saans uske halak me atka tha aur Zaryan ki ankho me kuch ankaha sa use nazar aya.
"Z..Zaryan..."
Use khud beyaqeeni hui ke uske mu se ilfaaz nikal sakte the.
"Hmm..?"
Usne apne saath laiti apni zojah ki khubsoorat surat me khoye hue kaha to Seherunnisa ne thook nigla aur kambal apne mu per kar liya.
"Ab sona hai mujhe...!"
Woh kambal ke andar se boli to woh khilkhila kar has para Seherunnisa uska khila hua chehra dekhni ki khuwaish ko dabaa na payi aur kambal ko halka sa hataa kar sar ko peeche kar ke haste Zaryan ko dekha jo ab phir use dekh raha tha Seherunnisa ne uske dekhne per phir apna chehra chupaya.
"Pehle tum decide kar lo begam ke tumhe sona hai ya mujhe ghoorna hai?"
Usne kaha aur uske chehre se kambal hataya to Seherunnisa khuli ankho se use dekhti rahi.
Phir apna rukh puri tarah uski taraf mora aur uski shirt ko apni muthi me bhincha aur khud bhi apna chehra uske seene ke kareeb kiya. Zaryan uski harkat per kuch der sakid reh gaya lekin phir apne apa ko rouk na paya aur chehre per khushi aur ek alag hi sakoon liye usne apne baazu uske aas paas hayal kiye.
Chaand aur taaro ke jagmagati us khamosh raat me yaqeenan unke beech ki dooriyan kuch kam huin thi.
YOU ARE READING
Tu woh chaand
RomanceZaryan Saeed & Seherunnisa Afnan Kuch rishte aap ki zindagi me ek thande hawa ke jhonke ki tarah aate hain aur kabhi do pal ka sakoon de kar chale jate hain to kabhi zindagi bhar ka gam de kar ke... __________ "Baba is diary me kya he?" Usne pucha t...