Chapter 19

454 43 65
                                    


Har roz gir kar bhi mukammal khare hain, Ae zindagi dekh mere hosle tujhse bhi bare hain...

—unknown—

________

Ghar ke bahir horn baja to Seherunnisa ne apna bag haath me pakra aur jhuk kar apni heels ke strap band karne lagi magar ajeeb baat thi strap woh sahi se pakar nahi paa rahi thi woh pehle apni heels ko dekhti rahi phir bahir se aane wali horn ki awaaz per usne sar jhatka aur unhe utaara aur saath pari saadi jooti pehni aur bahir nikal gayi. Gari ki backseat per bethi to Nadia khush ekhlaaki se boli.

"Kesi ho Seher?"

"Main theek hun tum theek ho? Aur itni achanak plan banaya tumne"

Usne kaha to driver ne gaari nikaal li thi.

"Kya bataun jab se pregnancy hui he Shahzaib kahin nikal ne kahan dete hain ab to Alhumdulilah last months hain aur main ghar beth ke thak chuki thi!"

Usne kaha to Seherunnisa muskurayi.

"Acha kiya aaj meei bhi off thi main bore ho rahi thi"

Usne kaha to Nadia uski chout ka puchne lagi jis per ab choti si bandaid bachi thi jo yakeenan jald utarne wali thi. Woh dono lunch ke liye restaurant gayi thi jahan un dono ne achi gupshup ki thi. Nadia Seherunnisa jitni hi khush ikhlaak thi to un dono ki shuru din se kafi bani thi.

"Waise Nadia kya tum bhi Zaryan aur Shahzaib bhai se same university me parti thi?"

"Haan hum same university me parte the magar main ek saal junior thi"

"Oh acha to tum unke aas paas ke logon ko kaafi jaanti ho gi nahi?"

"Umm...almost sab ka idea to hai kyun ke Zaryan bhai aur Shahzaib ka group kafi famous tha University me dono ke peeche larkiyan marti thi"

Usne haste hue kaha.

"Shahzaib ki to har dusre din kisi nayi girlfriend ke saath aamad hoti thi jisse main kafi disheartened ho jati thi mera crush jo the. Magar Zaryan bhai to ek hi dafa Imaan ke-"

Woh apni hi dhun me bolti hui yak dam chonk kar ruki phir Seherunnisa ki shakal dekhi jo uski baat me ziyada mutawajjah hui thi.

"Woh Seherunnisa um.."

"Daro mat bataa chuke hain mujhe uske baare me"

Seher ne halka sa has jar apne juice ka ek ghunt lete hue kaha to Nadia ne ek sakoon ka sans liya.

"Khair is topic ko choro"

"Nahi bhai batao kya bohat khubsoorat thi?"

Seherunnisa use dekhte hue boli to Nadia ne usse ankhe churayi phir boli.

"Kyun mujhe awkward situation me daal rahi ho larki?"

"Matlab kafi pyaari thi"

"Seher yar-"

"Acha acha sorry mazaaq kar rahi hun mujhse pyaari nahi ho sakti pata hai mujhe"

Woh use ankh maar ke shararti muskurahat liye boli to Nadia has pari.

"Bachi ho tum!"

"Achi baat nahi he?"

"Haan he"

Un dono ne usku baad bhi ek dusre ki company ko khoob enjoy kiya aur phir jab Seherunnisa ko Nadia ne wapis ghar chora aur Seherunnisa ne aa kar Zaryan ki call milayi to uska phone off aya jis per woh thora heran hui magar use laga shayad woh kisi meeting me ho ga. Woh apne kamre ki taraf bar gayi.

Tu woh chaand Where stories live. Discover now